"qismat ajiib khel dikhaati chali gai jo hans rahe the un ko rulaati chali gai dil goyaa haadsaat-e-musalsal kaa shahr ho dhaDkan bhi chikh ban ke Daraati chali gai kaaghaz ki tarah ho gai bosida zindagi tahrir hasraton ki miTaati chali gai main chaahti nahin thi magar phir bhi jaane kyuun aai jo teri yaad to aati chali gai aankhon ki putliyon se tiraa 'aks bhi gayaa yaa'ni charaagh mein thi jo baati chali gai DhunDaa unhein jo raat ki tanhaai mein 'hayaa' ik kahkashaan si zehan pe chhaati chali gai"
har qadam haadse har nafs talkhiyaan — Lata Haya
"har qadam haadse har nafs talkhiyaan zindagi barq tufaan khizaan aandhiyaan rafta rafta yahi bojh lagne lagin kyuun baDi ho gaiin maan tiri beTiyaan meri duniyaa tiri zaat mein qaid hai mujh ko khairaat mein de na aazaadiyaan tirgi khaamushi bebasi tishnagi hijr ki raat mein khaamiyaan khaamiyaan aap hi aandhiyon se ulajhte rahe main to laai thi daaman mein purvaaiyaan main kitaabon mein rakhkhun ye fitrat nahin phuul sukhe hue be-zabaan titliyaan ye sahifa nahin meri rudaad hai is kaa unvaan hai talkhiyaan talkhiyaan yaad kyaa hai koi mujh se puchhe 'hayaa' ek ehsaas ki chand parchhaaiyaan"
ہر قدم حادثے ہر نفس تلخیاں زندگی برق طوفاں خزاں آندھیاں رفتہ رفتہ یہی بوجھ لگنے لگیں کیوں بڑی ہو گئیں ماں تری بیٹیاں میری دنیا تری ذات میں قید ہے مجھ کو خیرات میں دے نہ آزادیاں تیرگی خامشی بے بسی تشنگی ہجر کی رات میں خامیاں خامیاں آپ ہی آندھیوں سے الجھتے رہے میں تو لائی تھی دامن میں پروائیاں میں کتابوں میں رکھوں یہ فطرت نہیں پھول سوکھے ہوئے بے زباں تتلیاں یہ صحیفہ نہیں میری روداد ہے اس کا عنوان ہے تلخیاں تلخیاں یاد کیا ہے کوئی مجھ سے پوچھے حیاؔ ایک احساس کی چند پرچھائیاں
हर क़दम हादसे हर नफ़्स तल्ख़ियाँ ज़िंदगी बर्क़ तूफ़ाँ ख़िज़ाँ आँधियाँ रफ़्ता रफ़्ता यही बोझ लगने लगीं क्यूँ बड़ी हो गईं माँ तिरी बेटियाँ मेरी दुनिया तिरी ज़ात में क़ैद है मुझ को ख़ैरात में दे न आज़ादियाँ तीरगी ख़ामुशी बेबसी तिश्नगी हिज्र की रात में ख़ामियाँ ख़ामियाँ आप ही आंधियों से उलझते रहे मैं तो लाई थी दामन में पुरवाइयाँ मैं किताबों में रख्खूँ ये फ़ितरत नहीं फूल सूखे हुए बे-ज़बाँ तितलियाँ ये सहीफ़ा नहीं मेरी रूदाद है इस का उनवान है तल्ख़ियाँ तल्ख़ियाँ याद क्या है कोई मुझ से पूछे 'हया' एक एहसास की चंद परछाइयाँ

More by Lata Haya
View all →"main ne viraane ko gulzaar banaa rakkhaa hai kyaa buraa hai jo haqiqat ko chhupaa rakkhaa hai daur-e-haazir mein koi kaash zamin se puchhe aaj insaan kahaan tu ne chhupaa rakkhaa hai vo to khud-gharzi hai laalach hai havas hai jin kaa naam is daur ke insaan ne vafaa rakkhaa hai vo mire sahn mein barsegaa kabhi to khul kar main ne khvaahish kaa shajar kab se lagaa rakkhaa hai main to mushtaaq huun aandhi mein bhi uDne ke liye main ne ye shauq ajab dil ko lagaa rakkhaa hai main ki aurat huun miri sharm hai meraa zevar bas takhallus isi baais to 'hayaa' rakkhaa hai"
"main ghazal huun mujhe jab aap sunaa karte hain chand lamhe miraa gham baanT liyaa karte hain jab vafaa karte hain ham sirf vafaa karte hain aur jafaa karte hain jab sirf jafaa karte hain log chaahat ki kitaabon mein chhupaa kar chehre sirf jismon ki hi tahrir paDhaa karte hain log nafrat ki fazaaon mein bhi ji lete hain ham mohabbat ki havaa se bhi Daraa karte hain apne bachchon ke liye laakh gharibi ho magar maan ke pallu mein kai sikke milaa karte hain jo kabhi khush na hue dekh ke shohrat meri mere apne hain mujhe pyaar kiyaa karte hain jin ke jazbaat huun nuqsaan nafa ki zad mein un ke dil mein kai baazaar sajaa karte hain fikr-o-ehsaas pe parda hai 'hayaa' kaa varna ham ghalat baat na sunte na kahaa karte hain"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"