SHAWORDS

havaa-e-tez ke aage kahaan rahegaa koi — Azhar Abbas

HomeAzhar AbbasGhazal
"havaa-e-tez ke aage kahaan rahegaa koi diye pe vaqt sadaa mehrbaan rahegaa koi ai dost ham bhi zamin par dhuein ki surat hain fazaa mein kitnaa dhuaan hai dhuaan rahegaa koi ajiib naqsh banaae hain vahshat-e-dil ne magar ye ret hai is par nishaan rahegaa koi makaan-e-dil ki sabhi raunaqein makinon se makin hi na rahe to makaan rahegaa koi suraagh laaegi kitne nae jahaanon kaa ye aagahi kaa safar raaegaan rahegaa koi jo dil ki jhiil hi jazbon se ho gai khaali to apni aankh mein aab-e-ravaan rahegaa koi ham apne saath hi le jaaeinge jahaan apnaa hamaare baad to yunhi jahaan rahegaa koi"
Urdu

ہوائے تیز کے آگے کہاں رہے گا کوئی دیے پہ وقت سدا مہرباں رہے گا کوئی اے دوست ہم بھی زمیں پر دھوئیں کی صورت ہیں فضا میں کتنا دھواں ہے دھواں رہے گا کوئی عجیب نقش بنائے ہیں وحشت دل نے مگر یہ ریت ہے اس پر نشاں رہے گا کوئی مکان دل کی سبھی رونقیں مکینوں سے مکین ہی نہ رہے تو مکاں رہے گا کوئی سراغ لائے گی کتنے نئے جہانوں کا یہ آگہی کا سفر رائیگاں رہے گا کوئی جو دل کی جھیل ہی جذبوں سے ہو گئی خالی تو اپنی آنکھ میں آب رواں رہے گا کوئی ہم اپنے ساتھ ہی لے جائیں گے جہاں اپنا ہمارے بعد تو یونہی جہاں رہے گا کوئی

Hindi

हवा-ए-तेज़ के आगे कहाँ रहेगा कोई दिये पे वक़्त सदा मेहरबाँ रहेगा कोई ऐ दोस्त हम भी ज़मीं पर धुएँ की सूरत हैं फ़ज़ा में कितना धुआँ है धुआँ रहेगा कोई अजीब नक़्श बनाए हैं वहशत-ए-दिल ने मगर ये रेत है इस पर निशाँ रहेगा कोई मकान-ए-दिल की सभी रौनक़ें मकीनों से मकीन ही न रहे तो मकाँ रहेगा कोई सुराग़ लाएगी कितने नए जहानों का ये आगही का सफ़र राएगाँ रहेगा कोई जो दिल की झील ही जज़्बों से हो गई ख़ाली तो अपनी आँख में आब-ए-रवाँ रहेगा कोई हम अपने साथ ही ले जाएँगे जहाँ अपना हमारे बअ'द तो यूँही जहाँ रहेगा कोई

havā-e-tez ke aage kahāñ rahegā koī
Azhar Abbas
Azhar Abbas
Azhar Abbas
poet25 quotes

More by Azhar Abbas

View all →
Quote
"ye raat aakhiri lori sunaane vaali hai main thak chukaa huun mujhe niind aane vaali hai hansi mazaaq ki baatein yahin pe khatm huiin ab is ke baad kahaani rulaane vaali hai akelaa main hi nahin jaa rahaa huun basti se ye raushni bhi mire saath jaane vaali hai jo naqsh ham ne banaae the sirf vo hi nahin havaa-e-dasht hamein bhi miTaane vaali hai abhi to koi bhi naam-o-nishaan nahin us kaa hamein jo mauj kinaare lagaane vaali hai har ek shakhs kaa ye haal hai ki jaise yahaan zamin aakhiri chakkar lagaane vaali hai"
Azhar AbbasAzhar Abbas
Quote
"aise paamaal ki pahchaan mein aate hi nahin phuul se chehre mire dhyaan mein aate hi nahin rok leti hai kahin raah mein nauhon ki sadaa khush-navaa giit mire kaan mein aate hi nahin yuun to kyaa kyaa na liyaa zaad-e-safar chalte hue chand sapne hain jo saamaan mein aate hi nahin us taraf laDne pe aamaada hai lashkar apnaa aur saalaar ki maidaan mein aate hi nahin aise sapne hain jinhein ham ne nahin dekhaa abhi aise raste hain jo imkaan mein aate hi nahin jurm aisaa hai ki mujrim hain sabhi shahr ke log aur asiir itne ki zindaan mein aate hi nahin"
Azhar AbbasAzhar Abbas
Quote
"dekh qindil rukh-e-yaar ki jaanib mat dekh tez talvaar hai talvaar ki jaanib mat dekh bol kitni hai tire saamne qimat meri chhoD baazaar ko baazaar ki jaanib mat dekh dekhnaa hai to mujhe dekh ki main kaisaa huun mere ujDe hue ghar-baar ki jaanib mat dekh aur baDh jaaegi tanhaai tujhe kyaa maalum aisi tanhaai mein divaar ki jaanib mat dekh aage niklaa hai to phir aage nikaltaa chalaa jaa pichhe haTte hue saalaar ki jaanib mat dekh tu mire saamne aayaa hai to phir dekh mujhe meri TuuTi hui talvaar ki jaanib mat dekh tu kahaani ke badalte hue manzar ko samajh khuun rote hue kirdaar ki jaanib mat dekh teraa dil hi na kahin kaaT ke rakh de 'azhar' aankh se girti hui dhaar ki jaanib mat dekh"
Azhar AbbasAzhar Abbas

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim