SHAWORDS

ho rang-e-shafaq jaise rukh-e-shaam mein utraa — Ambar Abid

HomeAmbar AbidGhazal
"ho rang-e-shafaq jaise rukh-e-shaam mein utraa vo meri nigaahon ke dar-o-baam mein utraa vaa hone lage saare ummidon ke dariche jab teraa tasavvur dil-e-naa-kaam mein utraa jab khun-e-jigar ghol diyaa ham ne sukhan mein tab jaa ke kahin hai rag-e-hangaam mein utraa jab jazba-e-dil safha-e-qirtaas pe aayaa tab aks-e-darun shisha-e-paighaam mein utraa jab saaraa safar kaT gayaa be-yaar-o-madadgaar ik haath falak se hai tab anjaam mein utraa"
Urdu

ہو رنگ شفق جیسے رخ شام میں اترا وہ میری نگاہوں کے در و بام میں اترا وا ہونے لگے سارے امیدوں کے دریچے جب تیرا تصور دل نا کام میں اترا جب خون جگر گھول دیا ہم نے سخن میں تب جا کے کہیں ہے رگ ہنگام میں اترا جب جذبۂ دل صفحۂ قرطاس پہ آیا تب عکس دروں شیشۂ پیغام میں اترا جب سارا سفر کٹ گیا بے یار و مددگار اک ہاتھ فلک سے ہے تب انجام میں اترا

Hindi

हो रंग-ए-शफ़क़ जैसे रुख़-ए-शाम में उतरा वो मेरी निगाहों के दर-ओ-बाम में उतरा वा होने लगे सारे उम्मीदों के दरीचे जब तेरा तसव्वुर दिल-ए-ना-काम में उतरा जब ख़ून-ए-जिगर घोल दिया हम ने सुख़न में तब जा के कहीं है रग-ए-हंगाम में उतरा जब जज़्बा-ए-दिल सफ़्हा-ए-क़िर्तास पे आया तब अक्स-ए-दरूँ शीशा-ए-पैग़ाम में उतरा जब सारा सफ़र कट गया बे-यार-ओ-मददगार इक हाथ फ़लक से है तब अंजाम में उतरा

ho rañg-e-shafaq jaise ruḳh-e-shām meñ utrā
Ambar Abid
Ambar Abid
Ambar Abid
poet9 quotes

More by Ambar Abid

View all →
Quote
"faisla koi mire haq mein huaa hai shaayad mausam-e-gul mire aangan mein rukaa hai shaayad muddaton baad kiyaa raabta us ne to lagaa us ko ehsaas-e-peshemaani huaa hai shaayad aao ik baar kitaabon ko khangaalaa jaae phuul jo us ne diyaa thaa vo rakhaa hai shaayad naghma-zan taar-e-nafas mein hain usi ki yaadein dhaDkanon mein bhi vahi bol rahaa hai shaayad us se pahle saa ravaabit mein tasalsul na rahaa darmiyaan donon ke ab koi khalaa hai shaayad vaqt-e-rukhsat bhi na chehre pe shikan thi us ke saaf zaahir thaa vo kuchh soch chukaa hai shaayad ratjage karvaTein bechaini udaasi uljhan us ki yaadon kaa varaq koi khulaa hai shaayad muztarib kitne hi sajde hain jabin par meri maabad-e-ishq mein vo jalva-numaa hai shaayad vaadi-e-jism burudat se dahak uThi hai fasl-e-baaraan ki havaaon ne chhuaa hai shaayad baarhaa mushkilein ho jaati hain aasaan 'amabar' tere haq mein bhi kisi lab pe duaa hai shaayad"
Ambar AbidAmbar Abid
Quote
"ulfaton ke saaghar mein saazishein milaate hain dosti ke parde mein dushmani nibhaate hain khaak kar ke baiThe hain aashiyaan hamin apnaa bijliyaan dikhaa kar yuun aap kyaa Daraate hain shaam tere maathe pe raat yuun ibaadat hai jugnu bhi chamakte hain taare jhilmilaate hain koi jaane vaale ko kis tarah ye samjhaae vaapsi mein din itne aap kyon lagaate hain shor sun ke baarish kaa dil machal saa jaataa hai bhige bhige phulon se ham lajaa se jaate hain fikr bhi hai jazba bhi ranj bhi khushi bhi hai shaairi nahin ham to haal-e-dil sunaate hain mushkilon se sikhaa hai ham ne ye hunar 'amabar' raaste judaa apne kis tarah banaate hain"
Ambar AbidAmbar Abid
Quote
"charaagh jal to rahaa hai ziyaa nahin aati havaa bhi tez hai lekin havaa nahin aati ajiib hijr kaa aalam hai kyaa kiyaa jaae sivaae dil ke kisi ki sadaa nahin aati tavaqquaat ki chaadar sameT lete hain hamaare lab pe kabhi badduaa nahin aati tumhaare ishq ne bakhshi hai bekali garche vafaa ki raah mein ham ko jafaa nahin aati siyaah ho gayaa dil us kaa is qadar ab to ki be-hayaai pe apni hayaa nahin aati hayaa hijaab pe karte hain tabsire 'amabar' saron pe jin ke kabhi bhi ridaa nahin aati"
Ambar AbidAmbar Abid

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil