"zikr jab jab tumhaaraa niklegaa lafz lafz isti'aaraa niklegaa barq ke intizaar mein na raho sang ragDo sharaara niklegaa chain se Dubne na degaa mujhe koi tinkaa sahaaraa niklegaa achchhi fehrist hai qavaafi ki ek to she'r pyaaraa niklegaa gham-e-hasti kaa bhi asad juz-marg aur koi to chaara niklegaa laaTri dekhte hain aise roz jaise number hamaaraa niklegaa kis ne sochaa thaa apnaa suraj 'anant' arbon mein ek taaraa niklegaa"
hotaa mumkin to fasaane se miTaa dete tujhe — Ananth Faani
"hotaa mumkin to fasaane se miTaa dete tujhe tu agar shakhs hi hotaa to bhulaa dete tujhe tujh se milne kaa khayaal aataa rahaa jaataa rahaa ye talab daaimi hoti to bataa dete tujhe na mayassar thi ye fursat ki tujhe yaad karein aur na thi utni suhulat ki bhulaa dete tujhe ham ne jo khaas tire hi liye likkhe the vo she'r itne bhi khaas nahin the ki sunaa dete tujhe khush huaa jaataa hai tu jiit ke kis se 'faani' vo to khele hi nahin the jo haraa dete tujhe"
ہوتا ممکن تو فسانے سے مٹا دیتے تجھے تو اگر شخص ہی ہوتا تو بھلا دیتے تجھے تجھ سے ملنے کا خیال آتا رہا جاتا رہا یہ طلب دائمی ہوتی تو بتا دیتے تجھے نہ میسر تھی یہ فرصت کہ تجھے یاد کریں اور نہ تھی اتنی سہولت کہ بھلا دیتے تجھے ہم نے جو خاص ترے ہی لیے لکھے تھے وہ شعر اتنے بھی خاص نہیں تھے کہ سنا دیتے تجھے خوش ہوا جاتا ہے تو جیت کے کس سے فانیؔ وہ تو کھیلے ہی نہیں تھے جو ہرا دیتے تجھے
होता मुमकिन तो फ़साने से मिटा देते तुझे तू अगर शख़्स ही होता तो भुला देते तुझे तुझ से मिलने का ख़याल आता रहा जाता रहा ये तलब दाइमी होती तो बता देते तुझे न मयस्सर थी ये फ़ुर्सत कि तुझे याद करें और न थी उतनी सुहूलत कि भुला देते तुझे हम ने जो ख़ास तिरे ही लिए लिक्खे थे वो शे'र इतने भी ख़ास नहीं थे कि सुना देते तुझे ख़ुश हुआ जाता है तू जीत के किस से 'फ़ानी' वो तो खेले ही नहीं थे जो हरा देते तुझे

More by Ananth Faani
View all →"kabhi chaaragari karnaa kabhi bimaar ho jaanaa kahe jis vaqt jaisaa hone ko sansaar ho jaanaa ghazal-go prism jaisaa hi to kuchh hotaa hai khud dekho khamoshi kaa guzarnaa us se aur ash'aar ho jaanaa chuninda log hain jin ko mayassar ye suhulat hai kabhi akhbaar paDh lenaa kabhi akhbaar ho jaanaa jo tum se baDh na paayaa raasta meraa kabhi aage to darvaaze ki surat mein tum ik divaar ho jaanaa samajhnaa inqalaab aur 'ishq mein antar nahin kuchh bhi hai 'faani' vir-ras kaa khud-bakhud shringaar ho jaanaa"
"junun se 'umr ki taraf sarak rahaa huun aaj-kal qadam baDhaane se bhi pahle thak rahaa huun aaj-kal ghasiT laao mujh ko ghar se aur kaam par lagaao zaraa zaraa si baat par bhaDak rahaa huun aaj-kal qafas se sach mein 'ishq hi na ho rahaa ho ai khudaa samajh na aae itnaa kyon chahak rahaa huun aaj-kal nishaana yaar khaas hai nahin tumhaaraa is liye tamaam jism dil banaa dhaDak rahaa huun aaj-kal dukaan jo chalaani hai sukhan ki kyaa karun 'anant' ghazal kaa naam de ke kuchh bhi bak rahaa huun aaj-kal"
"sisakte nahin kyaa vahaan ke parinde chahakte nahin kyaa yahaan ke parinde kahaan aab-o-daana kahaan aashiyaanaa kahaan aa base hain kahaan ke parinde raheinge bhi to saath kab tak raheinge zamin ke hain peD aasmaan ke parinde qafas kaa hai chhoTaa baDaa daaera bas qafas mein hain saare jahaan ke parinde"
"main sach mein dekh ke aayaa huun kaaenaat ki had nazar kahin bhi nahin aai mujh ko raat ki had ye aarzu miri har had ke paar jaa chuki hai ki paar kar luun kabhi to main apni zaat ki had na bhuuk ki na havas ki na raaegaani ki qubul hi nahin ham ko kisi bhi baat ki had yahi sabab hai ki khaamoshi mujh ko bhaati hai is ik zabaan mein nahin hai kahin lughaat ki had hayaat ki to hadein tai-shuda hi hoti hain samaa sakegi kahaan in mein khvaahishaat ki had gharaz ki ham hain jahaan ye hai shaahkaar teraa to ye jahaan hai tere takhaiyyulaat ki had phir is ke baa'd ke ash'aar hashv lagte hain 'anant' is liye rakhte hain paanch saat ki had"
"muskaan kaa bhi jab koi imkaan nahin thaa tab hansnaa vo bhi zor se aasaan nahin thaa kuchh mutmain aankhon mein bhi chaahat ki kami thi kuchh khvaab mein hi chaah kaa saamaan nahin thaa bichhDe to khulaa mujh pe ki bas kahne ko thaa sab main asl mein yaaro kisi ki jaan nahin thaa ruk jaa kahun main aur tu ruk jaae ye kab se tu kaun hai pahle to ye insaan nahin thaa main maan luun vo fikr uDaataa thaa dhuein mein aur itne dhuein se vo pareshaan nahin thaa"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"