Quote
"phuul saa jism na raste mein jalaayaa kijiye main sanobar huun miri chhaanv mein aayaa kijiye aur kyaa chaahiye is daur ke insaanon ko sirf do chaar ghaDi saath bitaayaa kijiye aap saagar hain to sairaab karein pyaase ko aap baadal hain to mujh dasht pe saayaa kijiye aap se nuur ki khairaat talab karte hain ban ke khurshid na phulon ko jalaayaa kijiye kam se kam dekh sakun apni haqiqat kyaa hai meri aankhon se na aaina chhupaayaa kijiye"
