SHAWORDS

is gham-e-dil kaa koi siraa hi nahin — Amaan Ali Khan

HomeAmaan Ali KhanGhazal
"is gham-e-dil kaa koi siraa hi nahin raah-e-manzil kaa koi siraa hi nahin saans ukhaDne lagi dil bhi naa-saaz hai daur-e-mushkil kaa koi siraa hi nahin tum bhale chhoD jaaoge mujh ko sanam 'ishq-bismil kaa koi siraa hi nahin main rafiqon mein baiThaa huaa huun magar fikr-e-qaatil kaa koi siraa hi nahin ye 'azaabon mein bhi DhunDh legaa khushi himmat-e-dil kaa koi siraa hi nahin"
Urdu

اس غم دل کا کوئی سرا ہی نہیں راہ منزل کا کوئی سرا ہی نہیں سانس اکھڑنے لگی دل بھی ناساز ہے دور مشکل کا کوئی سرا ہی نہیں تم بھلے چھوڑ جاؤ گے مجھ کو صنم عشق بسمل کا کوئی سرا ہی نہیں میں رفیقوں میں بیٹھا ہوا ہوں مگر فکر قاتل کا کوئی سرا ہی نہیں یہ عذابوں میں بھی ڈھونڈھ لے گا خوشی ہمت دل کا کوئی سرا ہی نہیں

Hindi

इस ग़म-ए-दिल का कोई सिरा ही नहीं राह-ए-मंज़िल का कोई सिरा ही नहीं साँस उखड़ने लगी दिल भी ना-साज़ है दौर-ए-मुश्किल का कोई सिरा ही नहीं तुम भले छोड़ जाओगे मुझ को सनम 'इश्क़-बिस्मिल का कोई सिरा ही नहीं मैं रफ़ीक़ों में बैठा हुआ हूँ मगर फ़िक्र-ए-क़ातिल का कोई सिरा ही नहीं ये 'अज़ाबों में भी ढूँढ लेगा ख़ुशी हिम्मत-ए-दिल का कोई सिरा ही नहीं

is ġham-e-dil kā koī sirā hī nahīñ
Amaan Ali Khan
Amaan Ali Khan
Amaan Ali Khan
poet19 quotes

More by Amaan Ali Khan

View all →
Quote
"ye zindagi tamaam bitaa di hai pyaas mein phir kyon har ek raat bitaate hain aas mein sab yaar sochte the rahegaa vahi samaan ik main hi bas bachaa huun koi sau pachaas mein main ghol kar ke pi gayaa huun zindagi ko yuun puuri kitaab bas gai hai iqtibaas mein ham ne bhi to nikaale hain naasur kaaT kar ham ne bhi din guzaare hain kaale libaas mein tum jaam maangte ho baDi chhoTi chiiz hai main dhaDkanein rakhun jo kaho is gilaas mein kaise 'amaan' ab ye sudhar jaaein 'aadatein ham ne bitaae din hain kharaabon ke paas mein"
Amaan Ali KhanAmaan Ali Khan
Quote
"qaid se baahar main aanaa chaahtaa huun aaj phir se muskuraanaa chaahtaa huun raat ho kitni hi kaali khatm hogi is ghazal mein ye bataanaa chaahtaa huun main bhale bebas huun lekin tu nahin hai phir tiri chaukhaT pe aanaa chaahtaa huun kaash mil jaaein puraane yaar phir se phir puraane giit gaanaa chaahtaa huun main ne apni jaan ki baazi lagaa di haar kar tujh ko haraanaa chaahtaa huun jaa nikal jaa 'ishq ab tu dil se mere tujh se main pichhaa chhuDaanaa chaahtaa huun ab na ghar TuuTe kisi 'aashiq kaa maulaa main bas apnaa ghar basaanaa chaahtaa huun"
Amaan Ali KhanAmaan Ali Khan
Quote
"akelaa jo rahaa har dam kisi kaa ho nahin saktaa bhale ho mustaqil gardish magar vo ro nahin saktaa hasin itni hai tu zauq-e-nazar to ban gayaa huun main magar dil ki kiyaari mein nayaa kuchh bo nahin saktaa sanbhal jaa dil ye kyaa sapne bune jaataa hai tu din-raat milegaa kyaa tujhe vo soch kar jo ho nahin saktaa main apni be-qaraari kaa tujhe 'aalam bataaun kyaa badaltaa huun main karvaT raat-bhar ab so nahin saktaa kahaa jo krishn ne giitaa mein rakkhegaa agar tu yaad bhale jitnaa ghanaa jangal ho par tu kho nahin saktaa"
Amaan Ali KhanAmaan Ali Khan

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil