"phir is ke baad to saat aasmaan udaas rahe vo chaahtaa thaa meraa saaebaan udaas rahe kise paDi hai ki kyaa baat thi ki har koi bahut hi khush thaa jahaan ham vahaan udaas rahe to kyaa huaa jo bichhaDne kaa gham nahin thaa use tum apni socho na tum bhi kahaan udaas rahe koi hanse mire aage to ronaa aataa hai main huun udaas to saaraa jahaan udaas rahe main jal rahaa huun ye hansne ki baat hai koi use kaho ki ye meraa dhuaan udaas rahe ye meraa dil hai ki har rang sokh letaa hai na aae koi bhi vo jo yahaan udaas rahe"
is se pahle ki sahaaron ko tu aadat kar le — G. R. Vashishth
"is se pahle ki sahaaron ko tu aadat kar le dil baghair us ke sambhalne ki bhi himmat kar le fan-e-yakjaai kaa maahir koi aae tab tak hai koi jo mire TukDon ki hifaazat kar le kitnaa saada hai tu is mein bhi razaa chaahtaa hai mujh ko barbaad karegaa hai ijaazat kar le niind ne maan liyaa jo miri aankhon ke khilaaf tere khvaabon ne kahaa thaa ki baghaavat kar le kitnaa aasaan hai hunar aankh ki dushvaari kaa zindagi bhar jise ronaa ho mohabbat kar le"
اس سے پہلے کہ سہاروں کو تو عادت کر لے دل بغیر اس کے سنبھلنے کی بھی ہمت کر لے فن یکجائی کا ماہر کوئی آئے تب تک ہے کوئی جو مرے ٹکڑوں کی حفاظت کر لے کتنا سادہ ہے تو اس میں بھی رضا چاہتا ہے مجھ کو برباد کرے گا ہے اجازت کر لے نیند نے مان لیا جو مری آنکھوں کے خلاف تیرے خوابوں نے کہا تھا کہ بغاوت کر لے کتنا آساں ہے ہنر آنکھ کی دشواری کا زندگی بھر جسے رونا ہو محبت کر لے
इस से पहले कि सहारों को तू आदत कर ले दिल बग़ैर उस के सँभलने की भी हिम्मत कर ले फ़न-ए-यकजाई का माहिर कोई आए तब तक है कोई जो मिरे टुकड़ों की हिफ़ाज़त कर ले कितना सादा है तू इस में भी रज़ा चाहता है मुझ को बर्बाद करेगा है इजाज़त कर ले नींद ने मान लिया जो मिरी आँखों के ख़िलाफ़ तेरे ख़्वाबों ने कहा था कि बग़ावत कर ले कितना आसाँ है हुनर आँख की दुश्वारी का ज़िंदगी भर जिसे रोना हो मोहब्बत कर ले

More by G. R. Vashishth
View all →"main shaair huun to kyaa rotaa rahungaa lahu ke daagh hi dhotaa rahungaa zamin aankhon ki ho jaaegi banjar musalsal khvaab agar botaa rahungaa teri zulfein nahin hongi to phir main shajar ki chhaanv kaa hotaa rahungaa ye kab sochaa thaa jab kho jaaoge tum jise bhi paaungaa khotaa rahungaa teri aankhein khuleingi tab talak to main yuun so jaaungaa sotaa rahungaa"
"kabhi Daraae kabhi khud hi Darne lagti hai hayaat harakat-e-atfaal karne lagti hai main tang aa ke jahaan se jo dekhtaa huun tujhe meri nazar ki thakaavaT utarne lagti hai meri ragon mein lahu shor ban ke dauDtaa hai mere labon pe khamoshi Thaharne lagti hai main apne kamre mein cigarette piitaa rahtaa huun dhuaan dhuaan teri surat ubharne lagti hai vo jis gali se guzartaa hai us gali ki khabar tamaam galiyon se ho kar guzar ne lagti hai kisi ki ruuh ko dil se lagaae rahtaa huun kisi ke jism ki chaahat mukarne lagti hai"
"dost ban kar aae koi aur gale hans kar lage ek 'arsa ho gayaa hai piiTh mein khanjar lage kis qadar bechain rahtaa huun ki mujh bimaar ko duur se aataa huaa har shakhs chaaraagar lage ek muddat kaa main jaagaa is bharam mein so gayaa kyaa pata mujh ko ye duniyaa khvaab mein behtar lage qabl to meraa ye ronaa thaa koi nazdik ho ab ye 'aalam hai ki mujh ko mahfilon se Dar lage itne chehre aankh se guzre hain us ki khoj mein 'ain mumkin hai miraa ho jaae to digar lage ab to mujh ko rang hi bhaate nahin tab to teri zulf ke saae dhanak ke rangon se baDh kar lage"
"jo chaahiye thaa vo na milaa aasmaan se Thukraa ke lauT aae sitaaron ko shaan se ye soch kar ke chhaanv mein baiThaa na main kabhi TuuTe na hausla tiraa meri thakaan se talvon ko chaaTne se har ik kaam ban paDaa mehnat na de saki vo jo paayaa zabaan se lekin vo zakhm bhar gayaa dahshat nahin gai sab shab aane lagtaa hai us ke nishaan se ham se zaraa saa aage agar ho bhi tum to kyaa ham apne aap se bane tum khaandaan se lauTaa jo khaali haath to main muskuraa diyaa ummid bhi nahin thi tere aastaan se ai dil tu raah-e-ishq ki Thokar se le sabaq jo ho gayaa so ho gayaa aainda dhyaan se sar se bhaTak rahaa hai tumhaaraa har ek lafz dil kyaa sunegaa jo na sunaa jaae kaan se"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"