SHAWORDS

jab kabhi dil ne tamannaaon ko mehmaan kiyaa — Abid Akhtar

HomeAbid AkhtarGhazal
"jab kabhi dil ne tamannaaon ko mehmaan kiyaa daaman-e-hosh ko vahshat ne garebaan kiyaa qatl-gaahon se ye aai hai sadaa rah-rah kar kaun hai kis ne yahaan jiine kaa armaan kiyaa sajda-e-dil se baDhaate rahe jin ki qimat un buton ne hi sanam-khaanon ko viraan kiyaa yuun to gumnaami muqaddar mein likhi thi lekin azm ne qatra-e-be-naam ko tufaan kiyaa lazzat-e-dard kahaan DhunDne jaate 'akhtar' ajnabi ho ke baDaa aap ne ehsaan kiyaa"
Urdu

جب کبھی دل نے تمناؤں کو مہمان کیا دامن ہوش کو وحشت نے گریبان کیا قتل گاہوں سے یہ آئی ہے صدا رہ رہ کر کون ہے کس نے یہاں جینے کا ارمان کیا سجدۂ دل سے بڑھاتے رہے جن کی قیمت ان بتوں نے ہی صنم خانوں کو ویران کیا یوں تو گمنامی مقدر میں لکھی تھی لیکن عزم نے قطرۂ بے نام کو طوفان کیا لذت درد کہاں ڈھونڈنے جاتے اخترؔ اجنبی ہو کے بڑا آپ نے احسان کیا

Hindi

जब कभी दिल ने तमन्नाओं को मेहमान किया दामन-ए-होश को वहशत ने गरेबान किया क़त्ल-गाहों से ये आई है सदा रह-रह कर कौन है किस ने यहाँ जीने का अरमान किया सज्दा-ए-दिल से बढ़ाते रहे जिन की क़ीमत उन बुतों ने ही सनम-ख़ानों को वीरान किया यूँ तो गुमनामी मुक़द्दर में लिखी थी लेकिन अज़्म ने क़तरा-ए-बे-नाम को तूफ़ान किया लज़्ज़त-ए-दर्द कहाँ ढूँडने जाते 'अख़्तर' अजनबी हो के बड़ा आप ने एहसान किया

jab kabhī dil ne tamannāoñ ko mehmān kiyā
Abid Akhtar
Abid Akhtar
Abid Akhtar
poet27 quotes

More by Abid Akhtar

View all →
Quote
"jo andheron mein misaal-e-yad-e-baizaa Thahre bas vahi log zamaane mein tamaashaa Thahre jo masihaa ki tavajjoh ho kisi aur taraf manzil-e-dard mein kis tarah mudaavaa Thahre aap ko rang-e-mohabbat bhi nazar aa jaae meri aankhon mein zaraa khuun kaa dariyaa Thahre darmiyaan apne agar dard kaa rishta na rahe phir to duniyaa mein har ik shakhs akelaa Thahre dosto sang-e-malaamat pe na israar karo ham se ye baar na uTThegaa ki shisha Thahre ab na shirin hai na vo vaa’da-e-fardaa kaa yaqin dast-e-farhaad mein phir kis liye tesha Thahre"
Abid AkhtarAbid Akhtar
Quote
"kucha-e-tamannaa se kaar-gaah-e-aazar tak sang sang milte hain vaqt ke payambar tak kaam ki kharaabi se naam Duub jaate hain gaaliyon ki zad mein hain qaatilon ke khanjar tak intizaar karte hain log kyon masihaa kaa faasla nazar kaa hai zakhm-e-dil se nashtar tak tishnagi kaa ruumaa hai ab unhin ke honTon par jo sulagti raaton mein pi gae samundar tak jo ghaTaaein bo kar bhi tishnagi ugaataa hai us ki naa-muraadi par hans diyaa muqaddar tak khud ko maan lo yusuf is liye nahin hai ye aaine ki siDhi se pahunchiye sikandar tak un ke paanv ke niche maah TuuT jaataa hai tum ki aa nahin sakte apne ghar ke 'akhtar' tak"
Abid AkhtarAbid Akhtar
Quote
"dil bahut be-taab thaa un ko muqaabil dekh kar haan magar main hosh mein thaa rang-e-mahfil dekh kar kyaa kahun mauj-e-havaadis ke guzar jaane ke baad kyon uThaa tufaan miri aankhon mein saahil dekh kar sham’-e-dil raushan rakho jahd-o-amal ki raah mein varna zulmat luuT legi tum ko ghaafil dekh kar ab taghaaful kaa gila bejaa hai daur-e-hijr mein dil ko dete vaqt dete laaiq-e-dil dekh kar kyon mire chehre pe gard-e-gham na ho ai ham-nafas aa rahaa huun aandhiyaan manzil-ba-manzil dekh kar maah-e-kaamil ki haqiqat ho gai ham par ayaan ham ne jab bhi un ko dekhaa maah-e-kaamil dekh kar"
Abid AkhtarAbid Akhtar
Quote
"apni kami se puchh na us ki kami se puchh ismat kaa bhaav jism ki bechaargi se puchh ghaaron mein rahne vaalon ki shaaistagi kaa qad saDkon pe raqs karti hui aagahi se puchh mujh mein ye intishaar ye nafrat hai kis liye guzre hue samaaj ki divaangi se puchh Daali se chhuT jaane kaa anjaam kyaa huaa barg-e-khizaan-rasida ki aavaargi se puchh ashkon mein iltijaaon mein taaqat nahin hai kyuun zehnon pe raaj karti hui be-hisi se puchh khulne ke intizaar mein jo zard ho gai rang-e-suluk baad-e-sabaa us kali se puchh bandon ke silsile mein bahut tu ne kah liyaa allaah apne baare mein kuchh aadmi se puchh"
Abid AkhtarAbid Akhtar
Quote
"haan aur nahin ki baahami takraar dekhiye inkaar ke libaas mein iqraar dekhiye jo chhu rahe hain azmat-o-rifat ki sarhadein vo raaste azal se hain dushvaar dekhiye aavaaz de rahaa hai yahi vaqt kaa naqib muD muD ke ab na saaya-e-divaar dekhiye bahke qadam machalti nigaahon ke saath saath Thahri hui havaa ki bhi raftaar dekhiye aankhon mein jaag jaae na nafrat kaa devtaa duniyaa ke saath khud ko bhi ik baar dekhiye zarf-o-zamir bech rahe hain agar janaab ik baar samt ru-e-kharidaar dekhiye kirdaar aadmi ke liye laazmi sahi shaair ki zaat chhoDiye ashaar dekhiye"
Abid AkhtarAbid Akhtar

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari