SHAWORDS

jab se mere baagh mein angur ke daane lage — Jameel Usman

HomeJameel UsmanGhazal
"jab se mere baagh mein angur ke daane lage mujh ko duniyaa mein hi jannat ke maze aane lage mai-kashon ne hi nahin DhunDaa mire ghar kaa pata shaikh saahab bhi mujhe ab yaad farmaane lage ik surur-o-kaif kaa aalam hai taari bin piye pyaale saade paani ke bhi mai ke paimaane lage jagmagaa uTThe hain atraaf-o-javaanib mein diye sham-e-mahfil ki paziraai mein parvaane lage mah-rukhon ki bazm mein shirkat nazar aane lagi aur tasavvur mein dhanak ke rang lahraane lage taaeron ki chahchahaahaT se huaa yuun dil gudaaz mere ham-mashrab mujhe naghmon pe uksaane lage ham pe ik mashur-kun si kaifiyat taari hui aur ham is kaifiyat mein jhuum kar gaane lage is tilism-e-rang-o-bu ke sehr se nikle hain jab ham ko aksar din mein bhi taare nazar aane lage"
Urdu

جب سے میرے باغ میں انگور کے دانے لگے مجھ کو دنیا میں ہی جنت کے مزے آنے لگے مے کشوں نے ہی نہیں ڈھونڈا مرے گھر کا پتہ شیخ صاحب بھی مجھے اب یاد فرمانے لگے اک سرور و کیف کا عالم ہے طاری بن پئے پیالے سادہ پانی کے بھی مے کے پیمانے لگے جگمگا اٹھے ہیں اطراف و جوانب میں دئیے شمع محفل کی پذیرائی میں پروانے لگے مہ رخوں کی بزم میں شرکت نظر آنے لگی اور تصور میں دھنک کے رنگ لہرانے لگے طائروں کی چہچہاہٹ سے ہوا یوں دل گداز میرے ہم مشرب مجھے نغموں پہ اکسانے لگے ہم پہ اک مسحور کن سی کیفیت طاری ہوئی اور ہم اس کیفیت میں جھوم کر گانے لگے اس طلسم رنگ و بو کے سحر سے نکلے ہیں جب ہم کو اکثر دن میں بھی تارے نظر آنے لگے

Hindi

जब से मेरे बाग़ में अंगूर के दाने लगे मुझ को दुनिया में ही जन्नत के मज़े आने लगे मय-कशों ने ही नहीं ढूँडा मिरे घर का पता शैख़ साहब भी मुझे अब याद फ़रमाने लगे इक सुरूर-ओ-कैफ़ का आलम है तारी बिन पिए प्याले सादे पानी के भी मय के पैमाने लगे जगमगा उट्ठे हैं अतराफ़-ओ-जवानिब में दिए शम-ए-महफ़िल की पज़ीराई में परवाने लगे मह-रुख़ों की बज़्म में शिरकत नज़र आने लगी और तसव्वुर में धनक के रंग लहराने लगे ताएरों की चहचहाहट से हुआ यूँ दिल गुदाज़ मेरे हम-मशरब मुझे नग़्मों पे उकसाने लगे हम पे इक मसहूर-कुन सी कैफ़ियत तारी हुई और हम इस कैफ़ियत में झूम कर गाने लगे इस तिलिस्म-ए-रंग-ओ-बू के सेहर से निकले हैं जब हम को अक्सर दिन में भी तारे नज़र आने लगे

jab se mere baaġh meñ añgūr ke daane lage
J
Jameel Usman
Jameel Usman
poet10 quotes

More by Jameel Usman

View all →
Quote
"ye zindagi azaab agar ho to kyaa karein ik talkh si sharaab agar ho to kyaa karein tum se hamaare qalb o nazar kaa muaamla ik vajh-e-iztiraab agar ho to kyaa karein sidq-o-safaa ki aarzu ab kyaa kare koi band aagahi kaa baab agar ho to kyaa karein fitrat mein jis ki roz-e-azal se hijaab hai vo husn be-hijaab agar ho to kyaa karein rukh ko tumhaare chaand se tashbih de to dein gahnaayaa maahtaab agar ho to kyaa karein ham raaz-e-dil chhupaate magar apni zindagi puuri khuli kitaab agar ho to kyaa karein kar li hai tauba ham ne magar dukhtar-e-enab masjid mein dastiyaab agar ho to kyaa karein"
J
Jameel Usman
Quote
"tohfa-e-sher-o-sukhan laae hain hadiya-e-tauba-shikan laae hain aap ki bazm mein a ham-sukhano apnaa sarmaaya-e-fan laae hain sher kuchh laae hain jiddat-aamez kuchh ba-andaaz-e-kuhan laae hain rang-o-aahang ke gul-daste mein phuul kyaa saaraa chaman laae hain sher ki shakl mein qirtaas pe ham gauhar-o-laal-e-yaman laae hain dil-figaari ke sanam-khaane mein dil-navaazi kaa chalan laae hain lafz mein nikhat-e-gul Dhaal ke ham dasht-e-ghurbat mein vatan laae hain aaj ki tira-shabi mein yaaro nuur ki ek karan laae hain"
J
Jameel Usman
Quote
"badlegi kaaenaat miri baat maan lo mujh se milaao haat miri baat maan lo ham se qadam milaa ke chaloge to dekhnaa sar honge shash-jahaat miri baat maan lo bigDi hui jo baat baDi muddaton se hai ban jaaegi vo baat miri baat maan lo hai zindagi baghair tumhaare ik iztiraab de do ise sabaat miri baat maan lo kis ne kahaa hai tum se ki taa-umr saath do hai chaar din ki baat miri baat maan lo piinaa paDe kahin na tumhein bhi miri tarah talkhaaba-e-hayaat miri baat maan lo main jaantaa huun meri tarah chaahti ho tum tanhaai se najaat miri baat maan lo"
J
Jameel Usman

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb