"mire siine mein rah kar khud mujhi se dushmani kab tak dil-e-naadaan khaaegaa fareb-e-dosti kab tak mire ehsaas ke sahraa jalegaa tu yunhi kab tak bujhaaun roz ashkon se main teri tishnagi kab tak alam-bardaar ho tum laisa-lil-insaan ke logo rahoge tum zamaane mein shikaar-e-be-hisi kab tak masaail kaa tumhaare hal nahin taqlid-e-maghrib mein kisi gum-karda manzil se umid-e-rahbari kab tak 'ghazaali' 'raazi'-o-'rumi' ki takhliqaat bhi dekho karoge marx hegel Darvin ki pairvi kab tak jhukaao sar khudaa ke saamne ye sar-kashi chhoDo jabin-e-kibr aakhir be-niyaaz-e-bandagi kab tak jahaan-e-chand-roza mein kisi se dushmani kaisi hamaari zindagi kitni hamaari dushmani kab tak jafaa-pesha zamaane mein vafaa ki justuju 'nashtar' guzaaregaa saraabon ke sahaare zindagi kab tak"
jafaa-ju ne ki thi vafaa ittifaaqan — Anwar Ahmad Qureshi Nashtar
"jafaa-ju ne ki thi vafaa ittifaaqan bashar hai hui thi khataa ittifaaqan zamaana mujhe rind kahne lagaa hai kabhi chakh liyaa thaa mazaa ittifaaqan miri zindagi Dhal gai naghmagi mein suni thi kisi ki sadaa ittifaaqan tire ek khat ne kiyaa raaz ifshaa paDaa rah gayaa thaa khulaa ittifaaqan miri be-khudi ne jahaan laa ke chhoDaa tire ghar kaa thaa raastaa ittifaaqan dhare rah gae azm-o-himmat ke daave chali thi mukhaalif havaa ittifaaqan baDi tez thi dhuup nashtar ghamon ki paDaa raah mein mai-kada ittifaaqan"
جفا جو نے کی تھی وفا اتفاقاً بشر ہے ہوئی تھی خطا اتفاقاً زمانہ مجھے رند کہنے لگا ہے کبھی چکھ لیا تھا مزا اتفاقاً مری زندگی ڈھل گئی نغمگی میں سنی تھی کسی کی صدا اتفاقاً ترے ایک خط نے کیا راز افشا پڑا رہ گیا تھا کھلا اتفاقاً مری بے خودی نے جہاں لا کے چھوڑا ترے گھر کا تھا راستا اتفاقاً دھرے رہ گئے عزم و ہمت کے دعوے چلی تھی مخالف ہوا اتفاقاً بڑی تیز تھی دھوپ نشتر غموں کی پڑا راہ میں میکدہ اتفاقاً
जफ़ा-जू ने की थी वफ़ा इत्तिफ़ाक़न बशर है हुई थी ख़ता इत्तिफ़ाक़न ज़माना मुझे रिंद कहने लगा है कभी चख लिया था मज़ा इत्तिफ़ाक़न मिरी ज़िंदगी ढल गई नग़मगी में सुनी थी किसी की सदा इत्तिफ़ाक़न तिरे एक ख़त ने किया राज़ इफ़्शा पड़ा रह गया था खुला इत्तिफ़ाक़न मिरी बे-ख़ुदी ने जहाँ ला के छोड़ा तिरे घर का था रास्ता इत्तिफ़ाक़न धरे रह गए अज़्म-ओ-हिम्मत के दा'वे चली थी मुख़ालिफ़ हवा इत्तिफ़ाक़न बड़ी तेज़ थी धूप नश्तर ग़मों की पड़ा राह में मै-कदा इत्तिफ़ाक़न
More by Anwar Ahmad Qureshi Nashtar
View all →"bol duniyaa ke rasile ho gae phir ye lahje kyon kaTile ho gae itni kam baarish mein kyaa hotaa bhalaa khushk patte sirf giile ho gae ek gurda bik gayaa to kyaa huaa haath to beTi ke piile ho gae chithDe pahle the ab ujlaa kafan mar gae to ham sajile ho gae zahr ugalnaa jin kaa sheva kal rahaa aaj un ke honT niile ho gae jaante hain par nahin hain maante log 'nashtar' kyaa haTile ho gae"
"raat ik badnaam ghar ki ho rahi thi chaandni ek maili chaandni ko dho rahi thi chaandni ik baDe hotel ki viraan chaandni par let kar jaane kyon apnaa taqaddus kho rahi thi chaandni doston ke saath vo thaa mai-kade mein raat bhar aur bistar par akeli so rahi thi chaandni shahr mein jalte makaan bahte lahu ko dekh kar jangalon mein munh chhupaate ro rahi thi chaandni dhuup jhulsaati rahi din bhar jo kheton ko to kyaa raat ko apni shuaaein bo rahi thi chaandni raat thi viraan khanDar thaa main thaa meraa karb thaa bojh mere dard-o-gham kaa Dho rahi thi chaandni gham kaa saathi kaun hai ye soch kar tanhaa thaa main saath lekin mere 'nashtar' ro rahi thi chaandni"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"