"shikve gile ke baad shikaayat hi chhoD di ab ham ne har kisi se mohabbat hi chhoD di cigarette sharaab jaisi buri lat hi chhoD di aadat buri balaa thi ye aadat hi chhoD di ham bhi tamaam umr bhaTakte kahaan kahaan ulfat se tang aae the ulfat hi chhoD di us ne bhi apni khiDki pe parda giraa diyaa ham ne bhi us ke diid ki hasrat hi chhoD di in ko khudaa milaa na visaal-e-sanam milaa ab to kabutaron ne tiri chhat hi chhoD di"
jhuuT par jhuuT key bhar-maar liye phirtaa hai — Irfan Abid
"jhuuT par jhuuT key bhar-maar liye phirtaa hai vo mere shahar mein akhbaar liye phirtaa hai zindagi film hai is film mein rahne ke liye aadmi saikDon kirdaar liye phirtaa hai us ko allaah key taaqat pe bharosa hi nahin haath mein apne jo talvaar liye phirtaa hai teri rahmat ke farishton ko ai mere maulaa apne kaandhon pe gunahgaar liye phirtaa hai saal-haa-saal jiyun us key duaa thi varna kab davaa shauq mein bimaar liye phirtaa hai shaairi sirf bahaanaa hai meri jaan-e-ghazal dar-ba-dar mujh ko teraa pyaar liye phirtaa hai tujh ko maalum ho teri hi gali mein 'aabid' tere didaar key darkaar liye phirtaa hai"
جھوٹ پر جھوٹ کی بھر مار لیے پھرتا ہے وہ میرے شہر میں اخبار لیے پھرتا ہے زندگی فلم ہے اس فلم میں رہنے کے لیے آدمی سیکڑوں کردار لیے پھرتا ہے اس کو اللہ کی طاقت پہ بھروسہ ہی نہیں ہاتھ میں اپنے جو تلوار لیے پھرتا ہے تیری رحمت کے فرشتوں کو اے میرے مولیٰ اپنے کاندھوں پہ گنہ گار لیے پھرتا ہے سال ہا سال جیوں اس کی دعا تھی ورنہ کب دوا شوق میں بیمار لیے پھرتا ہے شاعری صرف بہانا ہے میری جان غزل در بدر مجھ کو تیرا پیار لیے پھرتا ہے تجھ کو معلوم ہو تیری ہی گلی میں عابدؔ تیرے دیدار کی درکار لیے پھرتا ہے
झूट पर झूट की भर-मार लिए फिरता है वो मेरे शहर में अख़बार लिए फिरता है ज़िंदगी फ़िल्म है इस फ़िल्म में रहने के लिए आदमी सैकड़ों किरदार लिए फिरता है उस को अल्लाह की ताक़त पे भरोसा ही नहीं हाथ में अपने जो तलवार लिए फिरता है तेरी रहमत के फ़रिश्तों को ऐ मेरे मौला अपने काँधों पे गुनहगार लिए फिरता है साल-हा-साल जियूँ उस की दुआ थी वर्ना कब दवा शौक़ में बीमार लिए फिरता है शाइ'री सिर्फ़ बहाना है मेरी जान-ए-ग़ज़ल दर-ब-दर मुझ को तेरा प्यार लिए फिरता है तुझ को मालूम हो तेरी ही गली में 'आबिद' तेरे दीदार की दरकार लिए फिरता है

More by Irfan Abid
View all →"jin ko maalum nahin pir-paraai kyaa hai khaak samjheinge mohabbat mein judaai kyaa hai chand khat aur kai sukhe hue gul-daste ek aashiq ko bhalaa aur kamaai kyaa hai ham to donon hi amiron ki tarah dete hain ham faqiron ko duaa aur duhaai kyaa hai baa-khudaa ham se mohabbat ke marizon ke liye un ke didaar se behtar bhi davaai kyaa hai naam sunte hi mohabbat kaa khudaa yaad aaya tum ne bhi meri tarah khuub nibhaai kyaa hai"
"soch mein Duubaa huaa huun kuchh kahin pe rah gayaa zindagi kaa faisla thaa bas nahin pe rah gayaa un ki mahfil se uThaa laayaa huun aankhein to magar yaad ab aaya ki meraa dil vahin pe rah gayaa main jo apne saath laayaa thaa vo mere saath hai naam hi tum ne diyaa thaa so zamin pe rah gayaa ye hai teraa ye hai meraa bas yahi karte rahe aur is mein jo kamaayaa sab yahin pe rah gayaa main bhi aakhir thak chukaa thaa joDte hi joDte aur dil TuuTaa huaa hi dil-nashin pe rah gayaa"
"meraa ho ke bhi mujhe ghair bataane vaale aa kabhi dekh mujhe chhoD ke jaane vaale is nae saal mein kuchh bhi to nahin badlaa hai teraa kahte hain mujhe ab bhi zamaane vaale teraa aur meraa ye qissa bhi ajab qissa hai rone lagte hain use sunne sunaane vaale main na paagal huun na bahsi huun na hi matvaalaa phir bhi man bhar ke sataate hain sataane vaale chand logon ne mohabbat kaa uDaayaa thaa mazaaq ab mohabbat hi bachi hai na nibhaane vaale jaane vaalon kaa bharosa to nahin hai 'aabid' lauT aate hain magar lauT ke aane vaale"
"tum se bichhDeinge to bolo na kidhar jaaeinge ghar bhi kaaTegaa agar lauT ke ghar jaaeinge toD kar rasm-e-mohabbat ko agar jaaeinge khud zamaane ki nigaahon se utar jaaeinge ham ko tanhaai ke aadaab sikhaa do varna ek do roz mein tanhaai se mar jaaeinge imtihaan tu ne kai baar liye hain ham se kyaa samajhtaa hai tire khauf se Dar jaaeinge naaz thaa jin ki vafaaon pe hamein ai 'aabid' kyaa khabar thi ki mohabbat se mukar jaaeinge"
"apne to rahe apne aghyaar nahin karte aise to mohabbat se inkaar nahin karte ye kaisi mohabbat hai har baat pe kahte ho jaao ji haTo jaao ham pyaar nahin karte matlab key mohabbat ye tum ko hi mubaarak ho ham pyaar to karte hain bevpaar nahin karte ik-tarfa mohabbat mein din-raat taDapte hain jo log mohabbat mein izhaar nahin karte karte hain mohabbat to aataa hai nibhaanaa bhi ham sirf mohabbat mein begaar nahin karte qudrat ne unhein 'aabid' kuchh aisaa banaayaa hai jab ghar se nikalte hain shringaar nahin karte"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"