"kabhi marhalaat-e-hayaat mein koi ham-navaa hi nahin milaa ab is ittifaaq ko kyaa kahun mujhe aasraa nahin milaa jo tire qadam kaa javaab ho jo tire jamaal kaa aks ho mujhe aisaa manzil-e-shauq mein koi naqsh-e-paa hi nahin milaa kai raaz-daar-e-butaan bhi the kai raazdaar-e-haram bhi the mire ishtiyaaq-e-nigaah ko sanam-aashnaa hi nahin milaa koi muttaqi koi paarsaa koi rind koi junun-adaa ye sabhi mile hain mujhe magar koi be-khataa hi nahin milaa rah-e-marhalaat-e-khulus mein mire dil se teri nigaah tak mujhe jazb-e-shauq ke maa-sivaa koi rahnumaa hi nahin milaa ye baDi ajiib si baat hai ki taalluqaat-e-hayaat mein mujhe khud-numaa to mile magar koi rahnumaa hi nahin milaa vo junun-maqaam-o-junun-adaa vo tumhaaraa 'baasit'-e-baa-vafaa magar us kaa ham-sar-o-ham-navaa koi dusraa nahin milaa"
jin ko mai-e-‘irfaan-e-vafaa raas na aai — Basit Ujjaini
"jin ko mai-e-‘irfaan-e-vafaa raas na aai un ko kabhi jiine ki adaa raas na aai ik vo ki mayassar hai jinhein zulm ki taaqat ik ham ki hamein koi du'aa raas na aai paaband-e-vafaa meraa muqaddar hai azal se mujh ko magar apni hi vafaa raas na aai aasuda-e-duniyaa mujhe sab kahte hain lekin duniyaa mujhe ab tak ba-khudaa raas na aai jis bazm se ik rabt hai ab tak mire dil ko us bazm ki is dil ko fazaa raas na aai us dil ki jahaan mein koi qimat nahin jis ko saaz-e-gham-e-hasti ki sadaa raas na aai jo shahr ki 'baasit' ki vafaaon kaa chaman thaa us shahr ki 'baasit' ko havaa raas na aai"
جن کو مئے عرفان وفا راس نہ آئی ان کو کبھی جینے کی ادا راس نہ آئی اک وہ کہ میسر ہے جنہیں ظلم کی طاقت اک ہم کہ ہمیں کوئی دعا راس نہ آئی پابند وفا میرا مقدر ہے ازل سے مجھ کو مگر اپنی ہی وفا راس نہ آئی آسودۂ دنیا مجھے سب کہتے ہیں لیکن دنیا مجھے اب تک بہ خدا راس نہ آئی جس بزم سے اک ربط ہے اب تک مرے دل کو اس بزم کی اس دل کو فضا راس نہ آئی اس دل کی جہاں میں کوئی قیمت نہیں جس کو ساز غم ہستی کی صدا راس نہ آئی جو شہر کہ باسطؔ کی وفاؤں کا چمن تھا اس شہر کی باسطؔ کو ہوا راس نہ آئی
जिन को मय-ए-‘इरफ़ान-ए-वफ़ा रास न आई उन को कभी जीने की अदा रास न आई इक वो कि मयस्सर है जिन्हें ज़ुल्म की ताक़त इक हम कि हमें कोई दु'आ रास न आई पाबंद-ए-वफ़ा मेरा मुक़द्दर है अज़ल से मुझ को मगर अपनी ही वफ़ा रास न आई आसूदा-ए-दुनिया मुझे सब कहते हैं लेकिन दुनिया मुझे अब तक ब-ख़ुदा रास न आई जिस बज़्म से इक रब्त है अब तक मिरे दिल को उस बज़्म की इस दिल को फ़ज़ा रास न आई उस दिल की जहाँ में कोई क़ीमत नहीं जिस को साज़-ए-ग़म-ए-हस्ती की सदा रास न आई जो शहर कि 'बासित' की वफ़ाओं का चमन था उस शहर की 'बासित' को हवा रास न आई

More by Basit Ujjaini
View all →"daagh-e-dil gham ki tapish se yuun sar-e-shaam jale apni naakaami pe jaise koi naakaam jale un ke jalvon ki chamak hai ki dahakte shoale dekhne vaale ye samjhe ki dar-o-baam jale junhi saaqi ne miri samt baDhaayaa saaghar mai-kade mein kai rindaan-e-tahi-jaam jale yuun jalaa kartaa hai dil mein tiri furqat kaa charaagh jaise turbat pe koi shama sar-e-shaam jale ahl-e-irfaan ko parastaar-e-mohabbat paa kar aatish-e-rashk-o-hasad mein kai asnaam jale baat kahne ki nahin phir bhi kahe dete hain ham tire gham se kabhi subh kabhi shaam jale dekh kar 'baasit'-e-khuddaar-tabiat tujh ko kyaa taajjub hai agar gardish-e-ayyaam jale"
"rudaad-e-gham ki jab se shohrat si ho gai hai rangini-e-jahaan se vahshat si ho gai hai tevar bataa rahe hain andaaz be-rukhi ke un ko jafaa se shaayad raghbat si ho gai hai naahaq uThaa rahe ho tufaan tajalliyon ke zauq-e-nazar ko mere ghaflat si ho gai hai mahsus kar rahaa huun taar-e-nafas mein tezi kuchh iztiraab-e-gham mein shiddat si ho gai hai matlab nahin karam se be-mehriyon kaa gham kyaa sabr-o-razaa se ab to ulfat si ho gai hai taaron ki anjuman mein mahv-e-khayaal ho kar raaton ko jaagne ki aadat si ho gai hai dil bujh chukaa hai 'baasit' baaqi nahin tamanna ab zindagi se mujh ko nafrat si ho gai hai"
"umid-o-bim ko haasil baqaa kyaa main kyaa huun aur meraa muddaaa kyaa baraa-e-sajda jhukti hai jabin kyon qarib aaya kisi kaa naqsh-e-paa kyaa ye kyon taarikiyaan chhaai hui hain umidon kaa diyaa bhi bujh gayaa kyaa hamein to gham azal hi se milaa hai hamin ham hain hamaaraa puchhnaa kyaa main is tarz-e-takhaatub ke tasadduq vo farmaate hain mujh ko ho gayaa kyaa mire gham ko khudaa shaadaab rakkhe mujhe ahl-e-jahaan se vaasta kyaa mazaaq-e-ishq ke maare hue hain hamaare gham kaa 'baasit' puchhnaa kyaa"
"sahraa-e-aarzu mein na hargiz qiyaam kar khuddaari-e-junun kaa bhi kuchh ehtiraam kar kaif-e-alam mein Duub khudi ko davaam kar nazm-e-gham-e-hayaat kaa yuun ikhtitaam kar khud ko asir-e-panja-e-sad-ehtimaam kar mansub sarguzasht-e-vafaa un ke naam kar rang-e-shab-e-daraaz badal ashk-e-khun se shaayaan-e-shaan subh-e-tarab ehtimaam kar maanaa ki talkhiyon ke sivaa is mein kuchh nahin saaqi se hai khulus to tauqir-e-jaam kar ab jazba-e-kalim zaruri nahin to phir be-qaid-e-tur tu bhi tajalli ko 'aam kar ye chashm nam hai dil ki tabaahi pe kis liye 'baasit' usul-e-gham ko na mahfil mein 'aam kar"
"jo anis-e-dil nahin hai jo amin-e-gham nahin hai koi aur shai hai shaayad vo tiraa karam nahin hai mujhe koi gham nahin thaa mujhe koi gham nahin hai mire haal par kisi kaa ye karam bhi kam nahin hai mai-e-zindagi bhi hoti mai-e-angbin se saaqi tire mai-kade mein shaayad koi jaam-e-jam nahin hai rah-o-rasm-e-‘aashiqi mein jo kiyaa hai tu ne ab tak vo suluk-e-mujrimaana abhi mukhtatam nahin hai kisi be-rukhi pe un ki na churaao un se nazrein ki mazaaq-e-dilbari hai ye koi sitam nahin hai tiri maslahat pe hamdam mujhe shak nahin hai lekin ye fareb-e-mukhlisaana to javaab-e-gham nahin hai vo shu'ur-e-gham 'ataa hai mujhe fitratan azal se ki shikast-e-dil pe 'baasit' miri aankh nam nahin hai"
More on Sad
View all →"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"