"raat gahri hai magar ek sahaaraa hai mujhe ye miri aankh kaa aansu hi sitaaraa hai mujhe main kisi dhyaan mein baiThaa huun mujhe kyaa maalum ek aahaT ne kai baar pukaaraa hai mujhe aankh se gard haTaataa huun to kyaa dekhtaa huun apne bikhre hue malbe kaa nazaaraa hai mujhe ai mire laaDle ai naaz ke paale hue dil tu ne kis ku-e-malaamat se guzaaraa hai mujhe main to ab jaise bhi guzregi guzaarungaa yahaan tum kahaan jaaoge dhaDkaa to tumhaaraa hai mujhe tu ne kyaa khol ke rakh di hai lapeTi hui umr tu ne kin aakhiri lamhon mein pukaaraa hai mujhe main kahaan jaataa thaa us bazm-e-nazar-baazaan mein lekin ab ke tire abru kaa ishaaraa hai mujhe jaane main kaun thaa logon se bhari duniyaa mein meri tanhaai ne shishe mein utaaraa hai mujhe"
jo dil ko pahle mayassar thaa kyaa huaa us kaa — Faizi
"jo dil ko pahle mayassar thaa kyaa huaa us kaa jo is sukun se behtar thaa kyaa huaa us kaa kahaan liye chali jaati hai mujh ko viraani yahin kahin pe miraa ghar thaa kyaa huaa us kaa kuchh aise ashk piye hain ki ab khabar hi nahin is aankh mein jo samundar thaa kyaa huaa us kaa nazar gai so gai par koi bataae mujhe baDe kamaal kaa manzar thaa kyaa huaa us kaa ye sochne nahin detaa sitamgaron kaa hujum ki vo jo pahlaa sitam-gar thaa kyaa huaa us kaa main subh khvaab se jaagaa to ye khayaal aayaa jo raat mere baraabar thaa kyaa huaa us kaa main jis ke haath lagaa huun use mubaarak ho magar jo meraa muqaddar thaa kyaa huaa us kaa"
جو دل کو پہلے میسر تھا کیا ہوا اس کا جو اس سکون سے بہتر تھا کیا ہوا اس کا کہاں لیے چلی جاتی ہے مجھ کو ویرانی یہیں کہیں پہ مرا گھر تھا کیا ہوا اس کا کچھ ایسے اشک پئے ہیں کہ اب خبر ہی نہیں اس آنکھ میں جو سمندر تھا کیا ہوا اس کا نظر گئی سو گئی پر کوئی بتائے مجھے بڑے کمال کا منظر تھا کیا ہوا اس کا یہ سوچنے نہیں دیتا ستم گروں کا ہجوم کہ وہ جو پہلا ستمگر تھا کیا ہوا اس کا میں صبح خواب سے جاگا تو یہ خیال آیا جو رات میرے برابر تھا کیا ہوا اس کا میں جس کے ہاتھ لگا ہوں اسے مبارک ہو مگر جو میرا مقدر تھا کیا ہوا اس کا
जो दिल को पहले मयस्सर था क्या हुआ उस का जो इस सुकून से बेहतर था क्या हुआ उस का कहाँ लिए चली जाती है मुझ को वीरानी यहीं कहीं पे मिरा घर था क्या हुआ उस का कुछ ऐसे अश्क पिए हैं कि अब ख़बर ही नहीं इस आँख में जो समुंदर था क्या हुआ उस का नज़र गई सो गई पर कोई बताए मुझे बड़े कमाल का मंज़र था क्या हुआ उस का ये सोचने नहीं देता सितमगरों का हुजूम कि वो जो पहला सितम-गर था क्या हुआ उस का मैं सुब्ह ख़्वाब से जागा तो ये ख़याल आया जो रात मेरे बराबर था क्या हुआ उस का मैं जिस के हाथ लगा हूँ उसे मुबारक हो मगर जो मेरा मुक़द्दर था क्या हुआ उस का
More by Faizi
View all →"jaantaa huun ki kai log hain behtar mujh se phir bhi khvaahish hai ki dekho kabhi mil kar mujh se sochtaa kyaa huun tire baare mein chalte chalte tu zaraa puchhnaa ye baat Thahar kar mujh se main yahi soch ke har haal mein khush rahtaa huun ruuTh jaae na kahin meraa muqaddar mujh se mujh pe mat chhoD ki phir baa'd mein pachhtaaegaa faisle Thiik hi ho jaate hain aksar mujh se raat vo khuun rulaati hai udaasi dil ki rone lagtaa hai lipaT kar miraa bistar mujh se ahd-e-aaghaaz-e-mohabbat tire anjaam ki khair ab uThaae nahin uThtaa hai ye patthar mujh se"
"achchhaa hai tu ne in dinon dekhaa nahin mujhe duniyaa ne tere kaam kaa chhoDaa nahin mujhe haan Thiik hai main bhulaa huaa huun jahaan ko lekin khayaal apnaa bhi hotaa nahin mujhe ab apne aansuon pe hai sairaabi-e-hayaat kuchh aur is falak pe bharosaa nahin mujhe hai mehrbaan koi jo kiye jaa rahaa hai kaam varna maaash kaa to saliqa nahin mujhe ai rah-guzaar-e-silsila-e-ishq-e-be-lagaam jaanaa kahaan hai tu ne bataayaa nahin mujhe hai to miraa bhi naam sar-e-fahris-e-junun lekin abhi kisi ne pukaaraa nahin mujhe"
"is liye dil buraa kiyaa hi nahin zindagi meraa faisla hi nahin is qadar shor thaa mire sar mein apni aavaaz par rukaa hi nahin baDi khvaahish thi mujh ko hone ki ho gayaa huun to kuchh huaa hi nahin zulm kartaa huun zulm sahtaa huun main kabhi chain se rahaa hi nahin paD gayaa hai khudaa se kaam mujhe aur khudaa kaa koi pata hi nahin toD Daalo ye haath paanv mire jism kaa to muqaabla hi nahin tum kahaan ho zaraa sadaa to do is se aage to raasta hi nahin"
"koi naam hai na koi nishaan mujhe kyaa huaa main bikhar gayaa huun kahaan kahaan mujhe kyaa huaa kise DhunDtaa huun main apne qurb-o-javaar mein ai firaaq-e-sohbat-e-dostaan mujhe kyaa huaa ye kahaan paDaa huun zamin ke gard-o-ghubaar mein vo kahaan gayaa miraa aasmaan mujhe kyaa huaa koi raat thi koi chaand thaa kai log the vo 'ajab samaan thaa magar vahaan mujhe kyaa huaa mire ru-ba-ru mujhe main dikhaai nahin diyaa mire aaine mire raaz-daan mujhe kyaa huaa"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"