SHAWORDS

jo hotaa aah tiri aah-e-be-asar mein asar — Aish Dehlvi

HomeAish DehlviGhazal
"jo hotaa aah tiri aah-e-be-asar mein asar to kuchh to hotaa dil-e-shokh-e-fitnagar mein asar bas ik nigaah mein maa'shuq chhin lein hain dil khudaa ne un ki diyaa hai 'ajab nazar mein asar na chhoDi gham ne mire ik jigar mein khuun ki buund kahaan se ashk kaa ho kahiye chashm-e-tar mein asar ho us ke saath ye be-iltifaati-e-gul kyuun jo 'andalib ke ho naala-e-sahar mein asar kisi kaa qaul hai sach sang ko kare hai mom rakhaa hai khaas khudaa ne ye sim-o-zar mein asar jo aah ne falak-e-pir ko hilaa Daalaa to aap hi kahiye ki hegaa ye kis asar mein asar jo dekh le to jahannam ki phere bandh jaae hai meri aah ke vo ek ik sharar mein asar bigaaDein charkh se ham 'aish' kis bharose par na aah mein hai na soz-e-dil-o-jigar mein asar"
Urdu

جو ہوتا آہ تری آہ بے اثر میں اثر تو کچھ تو ہوتا دل شوخ فتنہ گر میں اثر بس اک نگاہ میں معشوق چھین لیں ہیں دل خدا نے ان کی دیا ہے عجب نظر میں اثر نہ چھوڑی غم نے مرے اک جگر میں خون کی بوند کہاں سے اشک کا ہو کہیے چشم تر میں اثر ہو اس کے ساتھ یہ بے التفاتی گل کیوں جو عندلیب کے ہو نالۂ سحر میں اثر کسی کا قول ہے سچ سنگ کو کرے ہے موم رکھا ہے خاص خدا نے یہ سیم و زر میں اثر جو آہ نے فلک پیر کو ہلا ڈالا تو آپ ہی کہیے کہ ہے گا یہ کس اثر میں اثر جو دیکھ لے تو جہنم کی پھیرے بندھ جائے ہے میری آہ کے وہ ایک اک شرر میں اثر بگاڑیں چرخ سے ہم عیشؔ کس بھروسے پر نہ آہ میں ہے نہ سوز دل و جگر میں اثر

Hindi

जो होता आह तिरी आह-ए-बे-असर में असर तो कुछ तो होता दिल-ए-शोख़-ए-फ़ित्नागर में असर बस इक निगाह में मा'शूक़ छीन लें हैं दिल ख़ुदा ने उन की दिया है 'अजब नज़र में असर न छोड़ी ग़म ने मिरे इक जिगर में ख़ून की बूँद कहाँ से अश्क का हो कहिए चश्म-ए-तर में असर हो उस के साथ ये बे-इल्तिफ़ाती-ए-गुल क्यूँ जो 'अंदलीब के हो नाला-ए-सहर में असर किसी का क़ौल है सच संग को करे है मोम रखा है ख़ास ख़ुदा ने ये सीम-ओ-ज़र में असर जो आह ने फ़लक-ए-पीर को हिला डाला तो आप ही कहिए कि हेगा ये किस असर में असर जो देख ले तो जहन्नम की फेरे बंध जाए है मेरी आह के वो एक इक शरर में असर बिगाड़ें चर्ख़ से हम 'ऐश' किस भरोसे पर न आह में है न सोज़-ए-दिल-ओ-जिगर में असर

jo hotā aah tirī āh-e-be-asar meñ asar
Aish Dehlvi
Aish Dehlvi
Aish Dehlvi
poet21 quotes

More by Aish Dehlvi

View all →
Quote
"tu hi insaaf se kah jis kaa khafaa yaar rahe apne jiine se na kis tarah vo be-zaar rahe zakhm-e-dil chhile kabhi aur kabhi zakhm-e-jigar naakhun-e-dast-e-junun kab mire be-kaar rahe in jafaaon kaa maza tum ko chakhaa deveinge haan agar zinda ham ai charkh-e-jafaakaar rahe mai-kade mein hai baDi ye hi mughaan ki piiri ki bas us chashm-e-siyah-mast se hushyaar rahe jalte bhunte rahe ham bazm-e-butaan mein lekin shama saan us pe bhi sar dene ko tayyaar rahe yuun to kyaa khvaab mein bhi yaar kaa milnaa maalum apne gar aah yahi taala-e-bedaar rahe ek jaa siine mein un donon kaa rahnaa hai muhaal yaa ye dil hi rahe yaa aah-e-sharar-baar rahe us se dil khaak ho ummid-e-husul-e-matlab jis se ik bose pe sau tarah ki takraar rahe le ke paikaan se tire tiir bataa to qaatil khuun mein Duube nahin kab taa lab-e-sofaar rahe jins-e-dil aatish-e-ulfat mein jale jo chaahe par kisi tarah tiri garmi-e-baazaar rahe baazi-e-ishq mein chipke raho kyaa khaak kahein ek dil rakhte the paas apne so baar rahe aisaa dam naak mein aayaa hai ki ham raazi hain 'aish' gar siine mein is dil ke evaz khaar rahe"
Aish DehlviAish Dehlvi
Quote
"meraa shikva tiri mahfil mein adu karte hain us pe bhi sabr ham ai arbada-ju karte hain mashq-e-bedaad-o-sitam karte hain gar vo to yahaan ham bhi bedaad o sitam sahne ki khu karte hain jaan hui hai nigah-e-naam pe un ki aashiq chaak dil taar-e-nazar se jo rafu karte hain be-sabaati chaman-e-dahr ki hai jin pe khuli havas-e-rang na vo khvaahish-e-bu karte hain aaj shamshir ba-kaf nikle hain vo dekhiye tar aab-e-shamshir se kis kis ke gulu karte hain hai rachi jin ke dimaaghon mein tiri zulf ki bu ambar o mushk ki kab bu ko vo bu karte hain mushk o ambar kaa unhein naam bhi lenaa hai nang yaar ki zulf-e-moambar ko jo bu karte hain chaak karte hain garebaan ko vahshat mein kabhi chaak-e-dil mein kabhu naakhun ko faru karte hain dekh saudaa-zada-e-ulfat-e-khubaan ai 'aish' vaadi-e-ishq mein kyaa kyaa tag-o-pu karte hain"
Aish DehlviAish Dehlvi
Quote
"kisi ki nek ho yaa bad jahaan mein khu nahin chhupti chhupaae laakh khushbu yaa koi badbu nahin chhupti zabaan par jab talak aati nahin albatta chhupti hai zabaan par jab ki aai baat ai gul-ru nahin chhupti yahaan to tujh ko sau parde lage hain ahl-e-taqvaa se bhalaa rindon se kyuun ai dukhtar-e-raz tu nahin chhupti saliqa kyaa kare is mein koi betaabi-e-jaan ko chhupaao sau tarah jab dil ho be-qaabu nahin chhupti hijaab us mein kahaan hai be-hijaabi jis ki aadat ho chhupaa kar laakh piive gar koi daaru nahin chhupti rukh-e-raushan ko tum kyuun chhoD kar zulfein chhupaate ho chamak rukh ki chhupaae se tah-e-gesu nahin chhupti ye riish o jubba o dastaar zaahid ki banaavaT hai tabiat be-takalluf jis ki ho yaksu nahin chhupti kalaam apnaa abas tu ahl-e-daanish se chhupaataa hai jahaan mein 'aish' tarz-e-shaair-e-khush-go nahin chhupti"
Aish DehlviAish Dehlvi
Quote
"dost jab dil saa aashnaa hi nahin ab hamein ghair kaa gila hi nahin jis kaa dil dard-aashnaa hi nahin us ke jiine kaa kuchh mazaa hi nahin ek dam ham se vo judaa hi nahin gar judaa ho to vo khudaa hi nahin aashnaai pe us ki mat jaanaa le ke dil phir vo aashnaa hi nahin khaak chhaani jahaan ki lekin dil-e-gum-gashta kaa pataa hi nahin laakh maashuq hain jahaan mein magar aah vo naaz vo adaa hi nahin sai-e-be-faaeda hai chaaragaro maraz-e-ishq ki davaa hi nahin dard-e-dil un se ham kahaa hi kiye par unhon ne kabhi sunaa hi nahin sar phiraataa hai kyuun abas naaseh meraa kahne mein dil rahaa hi nahin ab vo aae to aaein kyaa haasil taaqat-e-arz-e-muddaaa hi nahin main to kyaa gosh-e-charkh ne bhi 'aish' aisaa bedaad-gar sunaa hi nahin"
Aish DehlviAish Dehlvi
Quote
"jis dil mein tiri zulf kaa saudaa nahin hotaa vo dil nahin hotaa nahin hotaa nahin hotaa aashiq jise kahte hain vo paidaa nahin hotaa aur hoe bhi bil-farz to mujh saa nahin hotaa jo kushta-e-tegh-e-nigah-e-yaar hain un par kuchh kaargar ejaaz-e-masihaa nahin hotaa maanaa ki sitam karte hain maashuq magar aap jo mujh pe ravaa rakhte hain aisaa nahin hotaa jo mast hai saaqi nigah-e-mast kaa vo tu minnat-kash-e-jaam-o-mai-o-minaa nahin hotaa kahtaa hai koi shoala-e-javvaala koi barq is dil pe gumaan logon ko kyaa kyaa nahin hotaa zaahid ho do-chaar-e-nigah-e-mast to dekhein aaluda ba-mai kyunki musallaa nahin hotaa haan kuchh to bayaan-e-havas-e-dil mein hai lazzat jo lab se judaa harf-e-tamannaa nahin hotaa taskin-e-dil-e-sokhta-e-shamma ki khaatir kis shab par-e-parvaana se pankhaa nahin hotaa dil ishq ne itnaa bhi na chhoDaa ki jo kahvein taqsim juz-e-laa-yatajazzaa nahin hotaa de baiThe ho dil 'aish' tum un logon ko jin ki bedaad kaa vaan bhi koi shunvaa nahin hotaa"
Aish DehlviAish Dehlvi
Quote
"aashiqon ko ai falak devegaa tu aazaar kyaa dushman-e-jaan un kaa thoDaa hai dil-e-bimaar kyaa rashk aave kyuun na mujh ko dekhnaa us ki taraf TakTaki baandhe hue hai rauzan-e-divaar kyaa aah ne to khema-e-gardun ko phunkaa dekhein ab rang laate hain hamaare dida-e-khun-baar kyaa murgh-e-dil ke vaaste ai ham-safiro kam hai kyuun kuchh qazaa ke tiir se tir-e-nigaah-e-yaar kyaa chal ke mai-khaane hi mein ab dil ko bahlaao zaraa 'aish' yaan baiThe hue karte ho tum begaar kyaa"
Aish DehlviAish Dehlvi

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil