SHAWORDS

jo mushkil thi use aasaan banaataa jaa rahaa thaa — Iqtidar Javed

HomeIqtidar JavedGhazal
"jo mushkil thi use aasaan banaataa jaa rahaa thaa ki jo hotaa thaa main us ko bhulaataa jaa rahaa thaa mujhe bhi apni sachchaai pe zarra bhar na shak thaa zamaana bhi qasam apni uThaataa jaa rahaa thaa koi thaa jo ki taktaa jaa rahaa thaa kaarkhaana koi thaa kaarkhaana jo chalaataa jaa rahaa thaa badalti jaa rahi thi meri haalat lahza lahza kisi ko jis tarah main yaad aataa jaa rahaa thaa kahin andhi bhikaaran laDkhaDaati jaa rahi thi jo paani thaa zad-e-jaarub khaataa jaa rahaa thaa zulekhaa-e-zamaana meri aankhon mein chhupi thi ye mulk-e-misr thaa aur suut kaataa jaa rahaa thaa jo paani thaa vo ik dahshat mein baDhtaa aa rahaa thaa jo dariyaa thaa kinaaron ko uDaataa jaa rahaa thaa zamaanon ke mutaabiq baab bandhte jaa rahe the kanaar-e-vaqt mein faslein lagaataa jaa rahaa thaa kahaan andhe kunvein hain un ko bhartaa jaa rahaa thaa kahaan raste hi raste hain bataataa jaa rahaa thaa"
Urdu

جو مشکل تھی اسے آساں بناتا جا رہا تھا کہ جو ہوتا تھا میں اس کو بھلاتا جا رہا تھا مجھے بھی اپنی سچائی پہ ذرہ بھر نہ شک تھا زمانہ بھی قسم اپنی اٹھاتا جا رہا تھا کوئی تھا جو کہ تکتا جا رہا تھا کارخانہ کوئی تھا کارخانہ جو چلاتا جا رہا تھا بدلتی جا رہی تھی میری حالت لحظہ لحظہ کسی کو جس طرح میں یاد آتا جا رہا تھا کہیں اندھی بھکارن لڑکھڑاتی جا رہی تھی جو پانی تھا زد جاروب کھاتا جا رہا تھا زلیخائے زمانہ میری آنکھوں میں چھپی تھی یہ ملک مصر تھا اور سوت کاتا جا رہا تھا جو پانی تھا وہ اک دہشت میں بڑھتا آ رہا تھا جو دریا تھا کناروں کو اڑاتا جا رہا تھا زمانوں کے مطابق باب بندھتے جا رہے تھے کنار وقت میں فصلیں لگاتا جا رہا تھا کہاں اندھے کنوئیں ہیں ان کو بھرتا جا رہا تھا کہاں رستے ہی رستے ہیں بتاتا جا رہا تھا

Hindi

जो मुश्किल थी उसे आसाँ बनाता जा रहा था कि जो होता था मैं उस को भुलाता जा रहा था मुझे भी अपनी सच्चाई पे ज़र्रा भर न शक था ज़माना भी क़सम अपनी उठाता जा रहा था कोई था जो कि तकता जा रहा था कारख़ाना कोई था कारख़ाना जो चलाता जा रहा था बदलती जा रही थी मेरी हालत लहज़ा लहज़ा किसी को जिस तरह मैं याद आता जा रहा था कहीं अंधी भिकारन लड़खड़ाती जा रही थी जो पानी था ज़द-ए-जारूब खाता जा रहा था ज़ुलेख़ा-ए-ज़माना मेरी आँखों में छुपी थी ये मुल्क-ए-मिस्र था और सूत काता जा रहा था जो पानी था वो इक दहशत में बढ़ता आ रहा था जो दरिया था किनारों को उड़ाता जा रहा था ज़मानों के मुताबिक़ बाब बंधते जा रहे थे कनार-ए-वक़्त में फ़स्लें लगाता जा रहा था कहाँ अंधे कुँवें हैं उन को भरता जा रहा था कहाँ रस्ते ही रस्ते हैं बताता जा रहा था

jo mushkil thī use āsāñ banātā jā rahā thā
Iqtidar Javed
Iqtidar Javed
Iqtidar Javed
poet28 quotes

More by Iqtidar Javed

View all →
Quote
"mujh ko maa'lum hai baargaah-e-sukhan mein baDaa kaun hai kis ko niche giraa kar kuchal kar usi par khaDaa kaun hai ye agar main nahin kaun paani mein hai muztarib is tarah ye agar tu nahin to kinaaron ki surat gaDaa kaun hai ye miraa masala raat din kaa nahin koi tinkaa nahin kashtiyon vaali hairaan hai ki bhanvar mein uDaa kaun hai donon ki zindagi zindagi dosti nibh rahi hai bahut ek machhli hai aur ek paani hai ye aankDaa kaun hai koi lazzat bharaa koi nudrat bharaa is zamin se alag ye pakaa phal nahin to darakhton se aakhir jhaDaa kaun hai ek baarish ke baa'd ek do bundon vaale samay ki tarah jo mire sang ho rang hi rang ho vo dhaDaa kaun hai be-parat be-sifat jaise bhi hain yahaan aamne saamne jo hai oTon bharaa aur kahin par hai parton paDaa kaun hai koi sayyaal sonaa hai ik jis kaa honaa bataayaa huaa saare ik jaise hain vaise ke vaise is kaa jaDaa kaun hai koi suraj nahin jo ufuq chiir kar saamne aa sake koi ghaaTi nahin kaun utraa yahaan se chaDhaa kaun hai"
Iqtidar JavedIqtidar Javed
Quote
"shaam pariyon se bhari thi raat chup hai jhiil ki gung karti hai zabaanon ko du'aa takmil ki naam chamkaa mere dil mein sura-e-rahmaan kaa puuri surat subh-e-khush-hangaam ne tartil ki jaise ki mausul aaghaaz-e-mohabbat ki du'aa ham ne aglon tak vo rahmat ki havaa tarsil ki vaaqi'a aisaa na thaa jaise kiyaa ham ne bayaan ruup se behtar kahin us ruup ki tafsil ki ab yahaan aa kar nahin maa'lum hotaa rah-guzar chhoD di thi kis jagah par kis jagah tabdil ki 'uzr jo bhi thaa mafar karnaa gavaaraa hi na thaa hukm jis kaa bhi thaa tere naam par taa'mil ki is ghubaar-e-dahr se us ne uThaayaa raasta ye khayaal-afroz mujh par shaa'iri tafsil ki ai jahaan-e-misr ye nairangiyon kaa vaqt hai ai zulekhaa khush-khabar ai mauj aab-e-nil ki baaz aise to nahin aa kar utartaa haath par ratjage kaaTe kai to khvaab ki tashkil ki"
Iqtidar JavedIqtidar Javed
Quote
"hifaazat kaa nasha phailaa to phir nuqsaan pahunchaa hiran us vaqt dauDaa jab shikaari aan pahunchaa samundar raat kaa thaa jab safar ki kashtiyaan thiin jazira Dubne vaalaa thaa aur mehmaan pahunchaa kahin raste tire mahdud hote jaa rahe the main tere vaaste le kar kai imkaan pahunchaa du'aaein baazuon par baandh kar ham jaa chuke the hamaare shahr mein jab maut kaa farmaan pahunchaa 'ajab mehmaan kaa 'aalam thaa jab us ne sadaa di 'ajab ghar-baar kaa 'aalam thaa jab mehmaan pahunchaa"
Iqtidar JavedIqtidar Javed
Quote
"dil ke kaa'be ko giraa detaa hai Dartaa bhi nahin kaun hai hajjaaj-bin-yusuf jo martaa bhi nahin ye sitaara aasmaan ki is tamaashaa-gaah mein Duub jaataa hai to dobaara ubhartaa bhi nahin dhuup kaisi hai jo is paani mein ghulti hi nahin rang kaisaa hai jo she'ron se utartaa bhi nahin shor hotaa jaa rahaa hai lahrein rukti hi nahin peD ugte jaa rahe hain dasht bhartaa bhi nahin aankh hai jo jazb kar leti hai har manzar kahin ye samundar hai ki jo bhar kar biphartaa bhi nahin ye zamin ye chaand sayyaare hain sab daryuza-gar asl mein suraj kahin niche utartaa bhi nahin is mein be-rangi ki aamezish zaruri hai bahut rang ik ho to ziyaada din Thahartaa bhi nahin rafta-rafta ham banaa lete hain vo imaan kaa juz jo taqaazaa ham se khud imaan kartaa bhi nahin maut se kis ko mafar hotaa hai lekin aadmi baat ye hai asl mein ik baar martaa bhi nahin"
Iqtidar JavedIqtidar Javed
Quote
"main suntaa rahtaa huun naghme kamaal ke andar kai sadaaein parindon mein Daal ke andar jo vaahime miraa andar ujaaD sakte hain main rakh rahaa huun unhein bhi sambhaal ke andar tamaam masale nauiyat-e-savaal ke hain javaab hote hain saare savaal ke andar jagah jagah pe koi to hazaar-haa nashtar utaartaa hai rag-e-ehtimaal ke andar tarah tarah ke gulaab aatishin salaakh ke saath nikaal laataa huun suraakh Daal ke andar ye silsila zaraa mauquf ho to dekhungaa khayaal aur hain kitne khayaal ke andar taDapte rahte hain dil ke navaah mein 'jaaved' bahut se azhdahe jibhein nikaal ke andar"
Iqtidar JavedIqtidar Javed
Quote
"ek duniyaa ik jahaan taskhir karne vaaste khvaab honaa chaahiye taa'bir karne vaaste phuul bhi maujud hain naqsha-gari karni jo ho baagh mein mahkaar hai taa'mir karne vaaste 'ishq chashma hai kahin se phuuT saktaa hai ma'an ye havaa hoti nahin zanjir karne vaaste khul to jaanaa hai bil-aakhir bhed tere husn kaa ye mo'amma hai zaraa taakhir karne vaaste ek do nuqte hamesha chhoD dene chaahiyein kaar-e-mushkil to nahin tasvir karne vaaste ik fazaa mashur-kun aabi parindon ke liye ik samundar hai yahaan taasir karne vaaste ek do aise ishaare hon jo khul sakte na hon aadmi hotaa nahin tafsir karne vaaste shaa'iri hai tere mere vaaston ki guftugu ye nahin aurang-e-‘aalamgir karne vaaste"
Iqtidar JavedIqtidar Javed

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari