SHAWORDS

junun mein mubtalaa hote hue bhi — Iqbal Nadeem

HomeIqbal NadeemGhazal
"junun mein mubtalaa hote hue bhi main gungaa huun sadaa hote hue bhi na-jaane kaunsaa mausam hai mujh mein ghuTan hai ik havaa hote hue bhi rivaayat se juDaa ik shakhs huun main puraanaa huun nayaa hote hue bhi ye log andar se kitne khokhle hain bazaahir paarsaa hote hue bhi bhulaa paayaa nahin mujh ko abhi tak vo itnaa bevafaa hote hue bhi vo khud tark-e-ta'alluq chaahtaa thaa pareshaan thaa judaa hote hue bhi"
Urdu

جنوں میں مبتلا ہوتے ہوئے بھی میں گونگا ہوں صدا ہوتے ہوئے بھی نجانے کونسا موسم ہے مجھ میں گھٹن ہے اک ہوا ہوتے ہوئے بھی روایت سے جڑا اک شخص ہوں میں پرانا ہوں نیا ہوتے ہوئے بھی یہ لوگ اندر سے کتنے کھوکھلے ہیں بظاہر پارسا ہوتے ہوئے بھی بھلا پایا نہیں مجھ کو ابھی تک وہ اتنا بے وفا ہوتے ہوئے بھی وہ خود ترک تعلق چاہتا تھا پریشاں تھا جدا ہوتے ہوئے بھی

Hindi

जुनूँ में मुब्तला होते हुए भी मैं गूँगा हूँ सदा होते हुए भी न-जाने कौनसा मौसम है मुझ में घुटन है इक हवा होते हुए भी रिवायत से जुड़ा इक शख़्स हूँ मैं पुराना हूँ नया होते हुए भी ये लोग अंदर से कितने खोखले हैं बज़ाहिर पारसा होते हुए भी भुला पाया नहीं मुझ को अभी तक वो इतना बेवफ़ा होते हुए भी वो ख़ुद तर्क-ए-त'अल्लुक़ चाहता था परेशाँ था जुदा होते हुए भी

junūñ meñ mubtalā hote hue bhī
Iqbal Nadeem
Iqbal Nadeem
Iqbal Nadeem
poet19 quotes

More by Iqbal Nadeem

View all →
Quote
"sab kuchh sipurd-e-dasht-e-balaa kar diyaa gayaa ai saakinaan-e-shahr ye kyaa kar diyaa gayaa josh-e-junun ko harf-e-sadaa kar diyaa gayaa ham pe jo qarz thaa vo adaa kar diyaa gayaa phir yuun huaa ki ham ne dil-o-jaan luTaa diye vaa'da kisi se thaa so vafaa kar diyaa gayaa is marg-e-naa-gahaan pe parinde hain sogvaar manzar se kyon shajar ko judaa kar diyaa gayaa jab dasht-e-be-kanaar mein kheme lagaa liye phir aandhiyon ko meri sazaa kar diyaa gayaa jab ham ne saans saans kaa taavaan de diyaa ham par dar-e-hayaat bhi vaa kar diyaa gayaa"
Iqbal NadeemIqbal Nadeem
Quote
"chalo sab baandh lein asbaab phir se mabaadaa gher le sailaab phir se koi manzar na phir be-nur kar de ye aankhein dekhti hain khvaab phir se mohabbat mein khasaara baDh gayaa hai vafaaein ho gaiin kamyaab phir se nami ke lams ko tarsaa huaa huun koi kar de mujhe sairaab phir se tiri bechainiyaan batlaa rahi hain ki hai tufaan mein shahr-e-khvaab phir se miraa sach bolnaa bhi jurm Thahraa gurezaan hain mire ahbaab phir se jinhein bhule zamaana ho gayaa hai likhein chaahat ke vo abvaab phir se"
Iqbal NadeemIqbal Nadeem

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari