SHAWORDS

kabhi hans rahaa thaa kabhi gaa rahaa thaa — Mushaf Iqbal Tausifi

"kabhi hans rahaa thaa kabhi gaa rahaa thaa miraa hausla thaa jiye jaa rahaa thaa ye achchhaa huaa koi milne na aayaa main khud apne saae se katraa rahaa thaa vo pahli kiran si mire aansuon ki mujhe apnaa ik khvaab yaad aa rahaa thaa kai aql ki gutthiyaan thiin miraa dil samajhtaa na thaa mujh ko samjhaa rahaa thaa usi par nae phuul bhi khil rahe the vahi shaakh main jis pe murjhaa rahaa thaa vo mujh se milaa shaam ke vaqt jab main parindon ke hamraah ghar jaa rahaa thaa"
Urdu

کبھی ہنس رہا تھا کبھی گا رہا تھا مرا حوصلہ تھا جیے جا رہا تھا یہ اچھا ہوا کوئی ملنے نہ آیا میں خود اپنے سائے سے کترا رہا تھا وہ پہلی کرن سی مرے آنسوؤں کی مجھے اپنا اک خواب یاد آ رہا تھا کئی عقل کی گتھیاں تھیں مرا دل سمجھتا نہ تھا مجھ کو سمجھا رہا تھا اسی پر نئے پھول بھی کھل رہے تھے وہی شاخ میں جس پہ مرجھا رہا تھا وہ مجھ سے ملا شام کے وقت جب میں پرندوں کے ہم راہ گھر جا رہا تھا

Hindi

कभी हँस रहा था कभी गा रहा था मिरा हौसला था जिए जा रहा था ये अच्छा हुआ कोई मिलने न आया मैं ख़ुद अपने साए से कतरा रहा था वो पहली किरन सी मिरे आँसुओं की मुझे अपना इक ख़्वाब याद आ रहा था कई अक़्ल की गुत्थियाँ थीं मिरा दिल समझता न था मुझ को समझा रहा था उसी पर नए फूल भी खिल रहे थे वही शाख़ मैं जिस पे मुरझा रहा था वो मुझ से मिला शाम के वक़्त जब मैं परिंदों के हमराह घर जा रहा था

kabhī hañs rahā thā kabhī gā rahā thā
Mushaf Iqbal Tausifi
Mushaf Iqbal Tausifi
Mushaf Iqbal Tausifi
poet31 quotes

More by Mushaf Iqbal Tausifi

View all →
Quote
"kis dasht-e-talab mein kho gae ham saaya jo milaa to so gae ham lo aaj bhulaa diyaa tumhein bhi lo aaj tumhaare ho gae ham ai shama-e-firaaq bujh chuki shab ai saaat-e-vasl so gae ham phir apnaa nishaan kahin na paayaa uTh kar tire saath to gae ham yuun subh ke bhule apne ghar ko lauTe hain ki aur kho gae ham jab aankh khuli to ham nahin the jaage hain ki khvaab ho gae ham ashkon ne ajiib gul khilaae kyaa naqsh-o-nigaar bo gae ham khoyaa hai use to khud ko paayaa paayaa hai use to kho gae ham"
Mushaf Iqbal TausifiMushaf Iqbal Tausifi
Quote
"ab kisi ko dekh kar ik samt muD jaate hain ham jis se milnaa chaahte hain us se katraate hain ham log tujh ko bevafaa kahte hain in se kyaa gila rang-e-duniyaa dekh kar khaamosh ho jaate hain ham ye nami aankhon ki siine ki jalan jaati nahin teri mahfil mein bhi tanhaai se ghabraate hain ham muD ke dekhaa thaa to saaraa shahr patthar ho gayaa lauT kar aae to har patthar se Takraate hain ham kyuun zamaane bhar ki khushiyon se hai koi gham 'aziz aaine ke paas aao tum ko samjhaate hain ham"
Mushaf Iqbal TausifiMushaf Iqbal Tausifi
Quote
"chaand ne apnaa diip jalaayaa shaam bujhi viraane mein us ki basti duur hai shaayad der hai us ke aane mein kyaa patthar ki bhaari sil hai ek ik lamha maazi kaa dekho dab kar rah jaaoge itnaa bojh uThaane mein us ko nahin dekhaa hai jis ne mujh ko bhalaa kyaa samjhegaa in aankhon se guzarnaa hogaa mere dil tak aane mein apni zaat se kuchh nisbat thi vo bhi is ki khaatir se meraa zikr nahin miltaa hai ab mere afsaane mein ek hi dukh thaa meraa apnaa vo bhi is ko saunp diyaa aakhir dil ki baat zabaan tak aa hi gai anjaane mein ab to tum bhi jaan gai ho tum ko kyaa sukh miltaa thaa mere ghar ke kaam mein meri maan kaa haath baTaane mein meri raaton mein mahke hain jo sapnon ki Daali se rang hai in phulon kaa shaamil aaj tire sharmaane mein jis se baat bhi karni mushkil vo bhi is mahfil mein hai 'mushaf' kaisaa lutf rahegaa us ko sher sunaane mein"
Mushaf Iqbal TausifiMushaf Iqbal Tausifi
Quote
"aati jaati saans kaise tere gham se man gai kyaa bataaein zindagi khud-raftagi kyuun ban gai baat bhi sah lein kisi ki ab kahaan itnaa dimaagh tum se ruThe the laDaai dusron se Than gai kaaghazon se main tiraa uryaan badan dhakne lagaa jo bachaa rakkhi thi ab tak vo mataa-e-fan gai reza reza chaand palkon ki chaTaanon par milaa raat kaale gham ki aise jhaaD kar daaman gai roz-o-shab ki ye masaafat jaane kab hogi tamaam phir havaa le kar hamaare jism kaa indhan gai"
Mushaf Iqbal TausifiMushaf Iqbal Tausifi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb