SHAWORDS

kahaan nahin ho kahaan ho zaraa javaab to do — Ambar Dehlvi

HomeAmbar DehlviGhazal
"kahaan nahin ho kahaan ho zaraa javaab to do tashaffi-e-dil-o-jaan ho zaraa javaab to do mire khayaal mein rah kar miri nigaahon se sabab hai kyaa jo nihaan ho zaraa javaab to do khabar bhi hai tumhein kuchh apne be-navaaon ki amir-e-kaun-o-makaan ho zaraa javaab to do rahin-e-tira-nasibi rahegaa kyaa 'ambar' charaagh-e-nur-fishaan ho zaraa javaab to do"
Urdu

کہاں نہیں ہو کہاں ہو ذرا جواب تو دو تشفیٔ دل و جاں ہو ذرا جواب تو دو مرے خیال میں رہ کر مری نگاہوں سے سبب ہے کیا جو نہاں ہو ذرا جواب تو دو خبر بھی ہے تمہیں کچھ اپنے بے نواؤں کی امیر کون و مکاں ہو ذرا جواب تو دو رہین تیرہ نصیبی رہے گا کیا عنبرؔ چراغ نور فشاں ہو ذرا جواب تو دو

Hindi

कहाँ नहीं हो कहाँ हो ज़रा जवाब तो दो तशफ़्फ़ी-ए-दिल-ओ-जाँ हो ज़रा जवाब तो दो मिरे ख़याल में रह कर मिरी निगाहों से सबब है क्या जो निहाँ हो ज़रा जवाब तो दो ख़बर भी है तुम्हें कुछ अपने बे-नवाओं की अमीर-ए-कौन-ओ-मकाँ हो ज़रा जवाब तो दो रहीन-ए-तीरा-नसीबी रहेगा क्या 'अम्बर' चराग़-ए-नूर-फ़िशाँ हो ज़रा जवाब तो दो

kahāñ nahīñ ho kahāñ ho zarā javāb to do
A
Ambar Dehlvi
Ambar Dehlvi
poet6 quotes

More by Ambar Dehlvi

View all →
Quote
"kahaan ke phuul shagufta koi kali bhi nahin bahaar aisi luTi ho kabhi kabhi bhi nahin bahaar ho to junun par shabaab aataa hai baghair mausam-e-gul chaak-daamani bhi nahin khudaa kare ki andhere hi raas aa jaaein hamein kuchh itni tamannaa-e-raushni bhi nahin bane hue hain vo khaasaan-e-mai-kada yaaro jo log vaaqif-e-aadaab-e-mai-kashi bhi nahin tamaam shahr ko hai aarzu-e-khud-nigari kisi ke haath mein afsos aarsi bhi nahin rahe khayaal gham-e-zindagi ke nauhagar jo gham nahin to koi lutf-e-zindagi bhi nahin hamaare chehre se zaahir agar nahin 'ambar' magar jo kaifiyat-e-dil hai vo chhupi bhi nahin"
A
Ambar Dehlvi

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aisaa to yahaan kuchh bhi nahin hadd-e-nazar tak ham ko to pahunchnaa thaa kisi khvaab-nagar tak ab paanv nahin raah mein dil thakne lagaa hai lekin hamein chalnaa to hai anjaam-e-safar tak ham shor bhi sunte hain samaaat se bahut kam aavaaz bhi jaati hai to bas hadd-e-nazar tak mumkin hai main ab sabr kaa ye peD giraa duun jab haath pahunchtaa hi nahin shaakh-e-samar tak ham apne hi mausam se parakhte hain jahaan ko maahaul kaa lete hi nahin koi asar tak main apne hi andar ki taraf chikh rahaa huun ab dekhiye jaati hai ye aavaaz kidhar tak"
N
Naeem Sameer