SHAWORDS

kahin to pheink hi deinge ye baar saanson kaa — Arshad Mahmood Arshad

"kahin to pheink hi deinge ye baar saanson kaa uThaae bojh jo phirte hain yaar saanson kaa anaa ghurur takabbur hayaat kuchh bhi nahin ki saaraa khel hai pyaare ye chaar saanson kaa chalo ye zindagi zinda-dili se jiite hain baDhegaa is tarah kuchh to vaqaar saanson kaa gulaabi honT vo honTon pe rakh ke kahti thi sadaa rahegaa ye tujh par khumaar saanson kaa baDe qarib se guzri hai maut chhu ke tujhe jo ho sake koi sadqa utaar saanson kaa havaa ye vajd mein aa kar diye se kahne lagi ki ab tu sah nahin paaegaa vaar saanson kaa ham is ko zindagi samjhein to kis tarah 'arshad' kisi ke haath mein hai ikhtiyaar saanson kaa"
Urdu

کہیں تو پھینک ہی دیں گے یہ بار سانسوں کا اٹھائے بوجھ جو پھرتے ہیں یار سانسوں کا انا غرور تکبر حیات کچھ بھی نہیں کہ سارا کھیل ہے پیارے یہ چار سانسوں کا چلو یہ زندگی زندہ دلی سے جیتے ہیں بڑھے گا اس طرح کچھ تو وقار سانسوں کا گلابی ہونٹ وہ ہونٹوں پہ رکھ کے کہتی تھی سدا رہے گا یہ تجھ پر خمار سانسوں کا بڑے قریب سے گزری ہے موت چھو کے تجھے جو ہو سکے کوئی صدقہ اتار سانسوں کا ہوا یہ وجد میں آ کر دیے سے کہنے لگی کہ اب تو سہہ نہیں پائے گا وار سانسوں کا ہم اس کو زندگی سمجھیں تو کس طرح ارشدؔ کسی کے ہاتھ میں ہے اختیار سانسوں کا

Hindi

कहीं तो फेंक ही देंगे ये बार साँसों का उठाए बोझ जो फिरते हैं यार साँसों का अना ग़ुरूर तकब्बुर हयात कुछ भी नहीं कि सारा खेल है प्यारे ये चार साँसों का चलो ये ज़िंदगी ज़िंदा-दिली से जीते हैं बढ़ेगा इस तरह कुछ तो वक़ार साँसों का गुलाबी होंट वो होंटों पे रख के कहती थी सदा रहेगा ये तुझ पर ख़ुमार साँसों का बड़े क़रीब से गुज़री है मौत छू के तुझे जो हो सके कोई सदक़ा उतार साँसों का हवा ये वज्द में आ कर दिए से कहने लगी कि अब तू सह नहीं पाएगा वार साँसों का हम इस को ज़िंदगी समझें तो किस तरह 'अरशद' किसी के हाथ में है इख़्तियार साँसों का

kahīñ to pheñk hī deñge ye baar sāñsoñ kā
Arshad Mahmood Arshad
Arshad Mahmood Arshad
Arshad Mahmood Arshad
poet14 quotes

More by Arshad Mahmood Arshad

View all →
Quote
"marte hue vajud ki hasrat tamaam-shud saanson se lipTi aakhiri chaahat tamaam-shud dast-e-qazaa baDhaa hai miri samt alvidaaa ai etikaaf-e-ishq ibaadat tamaam-shud saaqi tumhaare madh-bhare honTon kaa shukriya baada-kashi ki saari halaavat tamaam-shud TuuTi hai aaj saans ki Dori to yuun huaa an-dekhi manzilon ki masaafat tamaam-shud bujhte hue charaagh ki surat havaa huun main ik khub-ru vajud ki taaqat tamaam-shud ai baargaah-e-husn koi faisla to kar is naa-muraad-e-ishq ki hujjat tamaam-shud 'arshad' mujhe to ghaib se aati hai ab sadaa ibn-e-turaab ab tiri mohlat tamaam-shud"
Arshad Mahmood ArshadArshad Mahmood Arshad
Quote
"taari rahegaa soch pe vahshat kaa bhuut kyaa TuTegaa kisi taur ye shab kaa sukut kyaa paDti nahin hai aankh ke saahil pe surkh dhuup kartaa main aarzuon ke laashe hanut kyaa tum ne kahaa to zahr bhi piinaa paDaa mujhe ab is se baDh ke duun tumhein sach kaa subut kyaa kaise kapaas ke liye gandum ko chhoD duun miTti nahin hai bhuuk to kaatun main suut kyaa meri nazar bhi taalib-e-didaar-e-hir hai malnaa paDegaa jism pe mujh ko bhabut kyaa 'arshad' hamaare haath se phislegi ek din pahle bachaa sakaa koi saanson ki huut kyaa"
Arshad Mahmood ArshadArshad Mahmood Arshad
Quote
"zamin ki kokh se pahle shajar nikaaltaa hai vo us ke baad parindon ke par nikaaltaa hai shab-e-siyaah mein jugnu bhi ik ghanimat hai zaraa saa hausla andar kaa Dar nikaaltaa hai ki buDhe peD ke tevar badalne lagte hain kahin jo ghaas kaa tinkaa bhi sar nikaaltaa hai phir us ke baad hi detaa hai kaam ki ujrat hamaare khuun se pahle vo zar nikaaltaa hai vazifa tujh ko bataataa huun ek chaahat kaa jo qasr-e-zaat se nafrat kaa shar nikaaltaa hai kahaani likhtaa hai aise ki us kaa har kirdaar nikalnaa koi na chaahe magar nikaaltaa hai main aise shakhs se 'arshad' gurez kaise karun fasil-e-dil mein jo dastak se dar nikaaltaa hai"
Arshad Mahmood ArshadArshad Mahmood Arshad
Quote
"kaTte hi Dor saans ki naam-o-numud khaak honaa hai ek roz ye qasr-e-vajud khaak TuuTaa kisi kaa dil jo giraa dusri taraf mizaan mein paDaa tiraa rakht-e-sujud khaak tajsim kar rahaa hai vo dast-e-kamaal se aatish-parast dahriye muslim hunud khaak is mahfil-e-tarab mein nahin chaashni koi dil mein ramaq na ho agar bazm-e-surud khaak baDhne lage hain chaar-su rasmon ke daaere Thokar lagaa ke paanv ki kar duun quyud khaak ye qaum un hi raaston pe chal paDi hai phir jin par huiin thiin ek din aad-o-samud khaak siine mein koi aag hai 'arshad' lagi hui varna hamaari aankh se uThtaa ye duud khaak"
Arshad Mahmood ArshadArshad Mahmood Arshad
Quote
"khudi ke zoam mein aisaa vo mubtalaa huaa hai jo aadmi bhi nahin thaa vo ab khudaa huaa hai vo kah rahaa thaa bujhaaegaa pyaas sahraa ki miraa ik abr ke TukDe se raabta huaa hai tumhaaraa tarz-e-bayaan khuub hai magar saahab ye qissa main ne zaraa mukhtalif sunaa huaa hai ye miTTi paanv mire chhoDti nahin varna falak kaa raasta bhi saamne paDaa huaa hai usi ke haath pe baiat main kar ke aayaa huun jo buDhaa peD kaDi dhuup mein khaDaa huaa hai khiraaj maangtaa hai mujh se ye badan meraa ki lauh-e-dil pe tiraa naam bhi likhaa huaa hai vo mujh ko dekh ke rasta badal gayaa 'arshad' zaraa si der mein us ko ye jaane kyaa huaa hai"
Arshad Mahmood ArshadArshad Mahmood Arshad

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari