SHAWORDS

khaak sahraaon mein uDaane kaa — Farooq Noor

HomeFarooq NoorGhazal
"khaak sahraaon mein uDaane kaa kyaa 'ajab shauq hai divaane kaa ek laa-muntahaai rishta hai teri zulfon se mere shaane kaa paa liyaa hai kisi tarah jo use khauf rahne lagaa ganvaane kaa kyaa bhugatnaa paDaa hai khamyaaza is kharaabe se dil lagaane kaa aankh patthar hui hai raston par intizaar aur tere aane kaa ab bahaana talaash kartaa huun teri surat ko bhuul jaane kaa 'nur' insaan shaahkaar huaa qudrat-e-haq ke kaar-khaane kaa"
Urdu

خاک صحراؤں میں اڑانے کا کیا عجب شوق ہے دوانے کا ایک لا منتہائی رشتہ ہے تیری زلفوں سے میرے شانے کا پا لیا ہے کسی طرح جو اسے خوف رہنے لگا گنوانے کا کیا بھگتنا پڑا ہے خمیازہ اس خرابے سے دل لگانے کا آنکھ پتھر ہوئی ہے رستوں پر انتظار اور تیرے آنے کا اب بہانہ تلاش کرتا ہوں تیری صورت کو بھول جانے کا نورؔ انسان شاہکار ہوا قدرت حق کے کارخانے کا

Hindi

ख़ाक सहराओं में उड़ाने का क्या 'अजब शौक़ है दिवाने का एक ला-मुन्तहाई रिश्ता है तेरी ज़ुल्फ़ों से मेरे शाने का पा लिया है किसी तरह जो उसे ख़ौफ़ रहने लगा गँवाने का क्या भुगतना पड़ा है ख़म्याज़ा इस ख़राबे से दिल लगाने का आँख पत्थर हुई है रस्तों पर इंतिज़ार और तेरे आने का अब बहाना तलाश करता हूँ तेरी सूरत को भूल जाने का 'नूर' इंसान शाहकार हुआ क़ुदरत-ए-हक़ के कार-ख़ाने का

ḳhaak sahrāoñ meñ uḌāne kā
Farooq Noor
Farooq Noor
Farooq Noor
poet19 quotes

More by Farooq Noor

View all →
Quote
"raunaq-e-dil the jo aankhon mein samaae hue log ho gae khvaab sabhi khvaab dikhaae hue log dil ki daulat ko zamaane pe luTaae hue log der se pahunche hain ham duur se aae hue log jaise yak-lakht kisi haath se moti chhuTe is tarah kharch hue saare kamaae hue log tu ne jis ko bhi chhuaa paara-sifat kar Daalaa haath aae na tire haath lagaae hue log chaand se chamke hue mahke hue phulon se kaise honge vo tire qurb ko paae hue log mujh ko samjhaate hain aadaab-e-nashist-o-barkhaast mere samjhaae hue mere sikhaae hue log kisi mazlum ki taklif bhalaa kyaa jaanein chalti phirti hui laashon mein samaae hue log yak-ba-yak phail gai 'nur' fazaa mein vahshat chalte chalte mire atraaf se saae hue log"
Farooq NoorFarooq Noor
Quote
"tumhaari muntazir raahon ke manzar dekh sakte the agar aate to in aankhon ko patthar dekh sakte the taraqqi ne diyaa hai kuchh bahut kuchh ham se chhinaa hai ki pahle har javaan chhat par kabutar dekh sakte the vo aisi aarzu thaa jo mukammal jism rakhtaa thaa vo aisaa khvaab thaa ki jis ko chhu kar dekh sakte the sunaa hai vo daricha ab musalsal band rahtaa hai jahaan ham khvaahishon ko baar-aavar dekh sakte the parinde kaise paDhte hain qaside shaan-e-vahdat mein sahar ke vaqt aa jaate to manzar dekh sakte the ilaahi kyaa hue pand-o-nasihat karne vaale log ki jo mujh ko yahaan mujh se bhi behtar dekh sakte the chalo ghar se to baunon ke sivaa miltaa nahin koi kahaan hain vo jinhein qad ke baraabar dekh sakte the"
Farooq NoorFarooq Noor
Quote
"vahshat nahin hoti koi saudaa nahin hotaa ai kaash ki main ne tujhe dekhaa nahin hotaa hone ko to is duniyaa mein kyaa kyaa nahin hotaa ik tu hi kisi taur hamaaraa nahin hotaa kyaa baat hai kaafur nahin hoti siyaahi kyon sham' nahin jalti ujaalaa nahin hotaa ye dard hai kyaa dard ki thamtaa hi nahin hai ye zakhm hai kyaa zakhm ki achchhaa nahin hotaa ye raat hai kyaa raat ki kaTti hi nahin hai kyaa baat hai kyon nuur kaa taDkaa nahin hotaa rakhte ho sab andaaz ravaa dushmani vaale ye kyaa hai mohabbat mein to aisaa nahin hotaa do pal jo Thahar jaao to baDh jaataa hai aage ye vaqt hai aur vaqt kisi kaa nahin hotaa hote hain mire saath mire saare masaail main ho ke akelaa bhi akelaa nahin hotaa 'nur' aaj ke kaamon ko uThaa rakkho na kal par kyaa kal kaa bharosa hai ki hotaa nahin hotaa"
Farooq NoorFarooq Noor
Quote
"tire baghair huun zinda magar ye haalat hai ye aati jaati hui saans bhi aziyyat hai main zindagaani ke ab aakhiri paDaav pe huun kahaan ho tum ki tumhaari mujhe zarurat hai tire baghair bhi ik raat ji ke dekh liyaa tire baghair bhi ye raat khub-surat hai badan ke saare taqaaze to ho gae puure magar abhi bhi tumhaari mujhe zarurat hai tire baghair to mumkin na thaa miraa jiinaa tire baghair bhi zinda huun mujh ko hairat hai usi ki yaad hai ab 'nur' mashghala apnaa vo ek shakhs jise bhulne ki 'aadat hai"
Farooq NoorFarooq Noor

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud