Quote
"apne dukh-dard kaa afsaana banaa laayaa huun ek ik zakhm ko chehre pe sajaa laayaa huun dekh chehre ki 'ibaarat ko khurachne ke liye apne naakhun zaraa kuchh aur baDhaa laayaa huun bevafaa lauT ke aa dekh miraa jazba-e-ishq aansuon se tiri tasvir banaa laayaa huun main ne ik shahr hamesha ke liye chhoD diyaa lekin us shahr ko aankhon mein basaa laayaa huun itni ghaflat ki bhi niind achchhi nahin hoti hai ai charaagho uTho dekho main ziyaa laayaa huun"
