Quote
"chaman kaa husn bahaaron ki shokhiyaan le kar vo aa rahe hain nigaahon mein mastiyaan le kar tire khulus pe saaqi na harf aa jaae main pi rahaa huun zamaane se talkhiyaan le kar tumhaari shokh nigaahon ne taazgi bakhshi dilon ke ghunche chaTakte hain siskiyaan le kar shu'ur-e-zaat mein ehsaas kaa diyaa rakh do zamaana madd-e-muqaabil hai aandhiyaan le kar mujhe na aa ke jagaa denaa khvaab-e-shirin se main so rahaa huun tumhaari nishaaniyaan le kar 'adim' aaj main ahl-e-sukhan ki mahfil se chalaa huun apne takhayyul ki dhajjiyaan le kar"
