SHAWORDS

khanjar ki tarah bu-e-saman tez bahut hai — Majrooh Sultanpuri

"khanjar ki tarah bu-e-saman tez bahut hai mausam ki havaa ab ke junun-khez bahut hai raas aae to hai chhaanv bahut barg o shajar ki haath aae to har shaakh samar-rez bahut hai logo miri gul-kaari-e-vahshat kaa sila kyaa divaane ko ik harf-e-dil-aavez bahut hai munim ki tarah pir-e-haram piite hain vo jaam rindon ko bhi jis jaam se parhez bahut hai maslub huaa koi sar-e-raah-e-tamannaa aavaaz-e-jaras pichhle pahar tez bahut hai 'majruh' sune kaun tiri talkh-navaai guftaar-e-azizaan shakar-aamez bahut hai"
Urdu

خنجر کی طرح بوئے سمن تیز بہت ہے موسم کی ہوا اب کے جنوں خیز بہت ہے راس آئے تو ہے چھاؤں بہت برگ و شجر کی ہاتھ آئے تو ہر شاخ ثمر ریز بہت ہے لوگو مری گل کاری وحشت کا صلہ کیا دیوانے کو اک حرف دل آویز بہت ہے منعم کی طرح پیر حرم پیتے ہیں وہ جام رندوں کو بھی جس جام سے پرہیز بہت ہے مصلوب ہوا کوئی سر راہ تمنا آواز جرس پچھلے پہر تیز بہت ہے مجروحؔ سنے کون تری تلخ نوائی گفتار عزیزاں شکرآمیز بہت ہے

Hindi

ख़ंजर की तरह बू-ए-समन तेज़ बहुत है मौसम की हवा अब के जुनूँ-ख़ेज़ बहुत है रास आए तो है छाँव बहुत बर्ग ओ शजर की हाथ आए तो हर शाख़ समर-रेज़ बहुत है लोगो मिरी गुल-कारी-ए-वहशत का सिला क्या दीवाने को इक हर्फ़-ए-दिल-आवेज़ बहुत है मुनइम की तरह पीर-ए-हरम पीते हैं वो जाम रिंदों को भी जिस जाम से परहेज़ बहुत है मस्लूब हुआ कोई सर-ए-राह-ए-तमन्ना आवाज़-ए-जरस पिछले पहर तेज़ बहुत है 'मजरूह' सुने कौन तिरी तल्ख़-नवाई गुफ़्तार-ए-अज़ीज़ाँ शकर-आमेज़ बहुत है

ḳhanjar kī tarah bū-e-saman tez bahut hai
Majrooh Sultanpuri
Majrooh Sultanpuri
Majrooh Sultanpuri
poet94 quotes

More by Majrooh Sultanpuri

View all →
Quote
"aa nikal ke maidaan mein do-rukhi ke khaane se kaam chal nahin saktaa ab kisi bahaane se ahd-e-inqalaab aayaa daur-e-aaftaab aayaa muntazir thiin ye aankhein jis ki ik zamaane se ab zamin gaaegi hal ke saaz par naghme vaadiyon mein naacheinge har taraf taraane se ahl-e-dil ugaaeinge khaak se mah o anjum ab guhar subuk hogaa jau ke ek daane se manchale buneinge ab rang-o-bu ke pairaahan ab sanvar ke niklegaa husn kaar-khaane se aam hogaa ab hamdam sab pe faiz fitrat kaa bhar sakeinge ab daaman ham bhi is khazaane se main ki ek mehnat-kash main ki tirgi-dushman subh-e-nau ibaarat hai mere muskuraane se khud-kushi hi raas aai dekh bad-nasibon ko! khud se bhi gurezaan hain bhaag kar zamaane se ab junun pe vo saaat aa paDi ki ai 'majruh' aaj zakhm-e-sar behtar dil pe choT khaane se"
Majrooh SultanpuriMajrooh Sultanpuri
Quote
"masarraton ko ye ahl-e-havas na kho dete jo har khushi mein tire gham ko bhi samo dete kahaan vo shab ki tire gesuon ke saae mein khayaal-e-subh se ham aastin bhigo dete bahaane aur bhi hote jo zindagi ke liye ham ek baar tiri aarzu bhi kho dete bachaa liyaa mujhe tufaan ki mauj ne varna kinaare vaale safina miraa Dubo dete jo dekhte miri nazron pe bandishon ke sitam to ye nazaare miri bebasi pe ro dete kabhi to yuun bhi umanDte sarishk-e-gham 'majruh' ki mere zakhm-e-tamannaa ke daagh dho dete"
Majrooh SultanpuriMajrooh Sultanpuri
Quote
"junun-e-dil na sirf itnaa ki ik gul pairahan tak hai qad o gesu se apnaa silsila daar-o-rasan tak hai magar ai ham-qafas kahti hai shorida-sari apni ye rasm-e-qaid-o-zindaan ek divaar-e-kuhan tak hai kahaan bach kar chali ai fasl-e-gul mujh aabla-paa se mire qadmon ki gul-kaari bayaabaan se chaman tak hai main kyaa kyaa juraa-e-khun pi gayaa paimaana-e-dil mein balaa-noshi miri kyaa ik mai-e-saaghar shikan tak hai na aakhir kah sakaa us se miraa haal-e-dil-e-sozaan mah-e-taabaan ki jo us kaa sharik-e-anjuman tak hai navaa hai jaavedaan 'majruh' jis mein ruh-e-saaat ho kahaa kis ne miraa naghma zamaane ke chalan tak hai"
Majrooh SultanpuriMajrooh Sultanpuri
Quote
"Daraa ke mauj-o-talaatum se ham-nashinon ko yahi to hain jo Duboyaa kiye safinon ko jamaal-e-subh diyaa ru-e-nau-bahaar diyaa miri nigaah bhi detaa khudaa hasinon ko hamaari raah mein aae hazaar mai-khaane bhulaa sake na magar hosh ke qarinon ko kabhi nazar bhi uThaai na su-e-baada-e-naab kabhi chaDhaa gae pighlaa ke aabginon ko yahi jahaan hai jahannam yahi jahaan firdaus bataao aalam-e-baalaa ke sair-binon ko hue hain qaafile zulmat ki vaadiyon mein ravaan charaagh-e-raah kiye khun-chakaan jabinon ko tujhe na maane koi tujh ko is se kyaa 'majruh' chal apni raah bhaTakne de nukta-chinon ko"
Majrooh SultanpuriMajrooh Sultanpuri
Quote
"duur duur mujh se vo is tarah khiraamaan hai har qadam hai naqsh-e-dil har nigah rag-e-jaan hai ban gai hai masti mein dil ki baat hangaama qatra thi jo saaghar mein lab tak aa ke tufaan hai ham to paa-e-jaan par kar bhi aae ik sajda sochti rahi duniyaa kufr hai ki imaan hai mere shikva-e-gham se aalam-e-nadaamat mein is lab-e-tabassum par shama si farozaan hai ye niyaaz-e-gham-khvaari ye shikast-e-dildaari bas navaazish-e-jaanaan dil bahut pareshaan hai muntazir hain phir mere haadse zamaane ke phir miraa junun teri bazm mein ghazal-khvaan hai fikr kyaa unhein jab tu saath hai asiron ke ai gham-e-asiri tu khud shikast-e-zindaan hai apni apni himmat hai apnaa apnaa dil 'majruh' zindagi bhi arzaan hai maut bhi faraavaan hai"
Majrooh SultanpuriMajrooh Sultanpuri

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil