"chhoTi chhoTi baaton par tum khuub tamaashaa karti ho tum ko dekh ke kaun kahegaa ik munsif ki beTi ho ye bhi ik kaaran thaa tum se apne raaz chhupaane kaa chaahe jitnaa samjhaao tum duniyaa se kah deti ho vaqt ke rahte bag mein tum ne apne kapDe rakkhe naiin gaaDi chhuT rahi hai ab kyuun dekh ke mujh ko roti ho duniyaa kyaa kyaa soch rahi hai ham donon ke baare mein main kis kis ko batlaaun tum jaldi se so jaati ho Tokaa-Taaki bas ik had tak Thiik natija deti hai bachcha bigaDtaa hai gar us pe be-matlab ki sakhti ho"
khinch hi legaa dosti ki taraf — Ahmad Azeem
"khinch hi legaa dosti ki taraf us ke dushman bhi hain usi ki taraf ek patvaar naav ki khaatir ik nazar meri zindagi ki taraf ik jhalak us hasin chehre ki ik qadam aur shaairi ki taraf aap kaa saath jis ko mil jaae kyon hi dekhegaa ve ghaDi ki taraf bachcha bolaa ghubaare vaale se ek chakkar miri gali ki taraf jab bhi phulon kaa zikr hotaa hai zehn jaataa hai aap hi ki taraf ye koi puchhne ki baat hai yaar kaise aae ho shaairi ki taraf"
کھینچ ہی لے گا دوستی کی طرف اس کے دشمن بھی ہیں اسی کی طرف ایک پتوار ناؤ کی خاطر اک نظر میری زندگی کی طرف اک جھلک اس حسین چہرے کی اک قدم اور شاعری کی طرف آپ کا ساتھ جس کو مل جائے کیوں ہی دیکھے گا وے گھڑی کی طرف بچہ بولا غبارے والے سے ایک چکر مری گلی کی طرف جب بھی پھولوں کا ذکر ہوتا ہے ذہن جاتا ہے آپ ہی کی طرف یہ کوئی پوچھنے کی بات ہے یار کیسے آئے ہو شاعری کی طرف
खींच ही लेगा दोस्ती की तरफ़ उस के दुश्मन भी हैं उसी की तरफ़ एक पतवार नाव की ख़ातिर इक नज़र मेरी ज़िंदगी की तरफ़ इक झलक उस हसीन चेहरे की इक क़दम और शाइ'री की तरफ़ आप का साथ जिस को मिल जाए क्यों ही देखेगा वे घड़ी की तरफ़ बच्चा बोला ग़ुबारे वाले से एक चक्कर मिरी गली की तरफ़ जब भी फूलों का ज़िक्र होता है ज़ह्न जाता है आप ही की तरफ़ ये कोई पूछने की बात है यार कैसे आए हो शाइ'री की तरफ़

More by Ahmad Azeem
View all →"bichhaD ke donon ke zehnon pe bojh paDtaa hai rahein jo saath to aankhon pe bojh paDtaa hai phalon ke hone se shaakhein faqat lachakti hain phalon ke girne se shaakhon pe bojh paDtaa hai tumhaare zikr ki aadat hui hai aisi inhein kuchh aur bolein to honTon pe bojh paDtaa hai bas ek chehre ko sapne mein dekhne ke liye tamaam umr ki nindon pe bojh paDtaa hai 'azim' duur ke rishton ko duur rakkhaa kar vagarna paas ke rishton pe bojh paDtaa hai"
"maanaa meri un se baatein hoti hain lekin tasvirein tasvirein hoti hain logon se achchhi tasvirein hoti hain jitni chaaho utni baatein hoti hain jhuTe dilaase mat do main ye jaantaa huun bimaaron se kaisi baatein hoti hain hijr ke din aise din hote hain jin mein raaton ke aage bhi raatein hoti hain"
"sirf zinda hi nahin hosh sambhaale hue hain aap ko dasht mein yaani abhi hafte hue hain kaun chaahegaa darakht us ke samar-baar na hon tu bane is liye ham khud ko miTaae hue hain ye jo bachche hain faqat jhulaa nahin jhuul rahe shaakh pe phuul ki maanind ye laTke hue hain in darakhton ke favaaed kaa tumhein ilm nahin un ko mat kaaTo ye baabaa ke lagaae hue hain main bahut khush thaa mujhe us ne bulaayaa hai 'azim' par yahaan jitne hain sab us ke bulaae hue hain"
"agar vo puchhe koi baat kyaa buri lagi hai ziyaada sochnaa mat bol denaa ji lagi hai buri lagi tiri maujudgi class mein aaj ki mere bole binaa teri haaziri lagi hai use manaate manaate main ruThne lagaa thaa phir us ne puchh liyaa film kaun si lagi hai ai maut Thahr zaraa sabr kar qataar mein dekh ki tujh se aage bahut aage zindagi lagi hai ghaDi mein vaqt ghaTaate hue main bhuul gayaa ki yaar us ki bhi divaar par ghaDi lagi hai"
"koi na Duube main yuun sahaare banaa rahaa huun jahaan bhanvar hai vahin kinaare banaa rahaa huun ye ghazlein sun ke tu apne uupar ghurur mat kar main vaah vaah hi ko istiaare banaa rahaa huun ye main hi kahtaa thaa phuul mat toD par ye gajre main us ke ghusse ke Dar ke maare banaa rahaa huun sivaa hamaare koi na samjhe hamaari baatein yuun guftugu ke nae ishaare banaa rahaa huun jo tum ne tasvir bheji meri adhuri si thi so us ke chaaron taraf sharaare banaa rahaa huun mujhe baDhaanaa hai chaand taaron ke martabe ko so us ke maathe pe chaand taare banaa rahaa huun"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"