SHAWORDS

kirdaar daastaan se uTh kar chalaa gayaa — Masoodurrahman Masood

"kirdaar daastaan se uTh kar chalaa gayaa ik shakhs yuun jahaan se uTh kar chalaa gayaa har ik khayaal-e-khaam tire pyaar ki qasam yaadon ke darmiyaan se uTh kar chalaa gayaa kuchh to khalaa mein khaas hai taara ye soch kar TuuTaa aur aasmaan se uTh kar chalaa gayaa us ke bhi sar pe dhuup ki ik aag thi lagi yuun main to saaebaan se uTh kar chalaa gayaa us ko na vaapsi kaa kabhi raasta milaa jo lafz bhi zabaan se uTh kar chalaa gayaa aadam kisi ke vaaste jannat ko chhoD kar 'masud' kitni shaan se uTh kar chalaa gayaa"
Urdu

کردار داستان سے اٹھ کر چلا گیا اک شخص یوں جہان سے اٹھ کر چلا گیا ہر اک خیال خام ترے پیار کی قسم یادوں کے درمیان سے اٹھ کر چلا گیا کچھ تو خلا میں خاص ہے تارہ یہ سوچ کر ٹوٹا اور آسمان سے اٹھ کر چلا گیا اس کے بھی سر پہ دھوپ کی اک آگ تھی لگی یوں میں تو سائبان سے اٹھ کر چلا گیا اس کو نہ واپسی کا کبھی راستہ ملا جو لفظ بھی زبان سے اٹھ کر چلا گیا آدم کسی کے واسطے جنت کو چھوڑ کر مسعودؔ کتنی شان سے اٹھ کر چلا گیا

Hindi

किरदार दास्तान से उठ कर चला गया इक शख़्स यूँ जहान से उठ कर चला गया हर इक ख़याल-ए-ख़ाम तिरे प्यार की क़सम यादों के दरमियान से उठ कर चला गया कुछ तो ख़ला में ख़ास है तारा ये सोच कर टूटा और आसमान से उठ कर चला गया उस के भी सर पे धूप की इक आग थी लगी यूँ मैं तो साएबान से उठ कर चला गया उस को न वापसी का कभी रास्ता मिला जो लफ़्ज़ भी ज़बान से उठ कर चला गया आदम किसी के वास्ते जन्नत को छोड़ कर 'मसऊद' कितनी शान से उठ कर चला गया

kirdār dāstān se uTh kar chalā gayā
Masoodurrahman Masood
Masoodurrahman Masood
Masoodurrahman Masood
poet7 quotes

More by Masoodurrahman Masood

View all →
Quote
"saanp jaise ki kabhi aankh jhapaktaa hi nahin yuun koi dard hai siine mein jo sotaa hi nahin us se jhagDun bhi to kis baat pe jhagDun aakhir jab mire saath vo hote hue hotaa hi nahin hijr har shaam bujhi aankh liye aataa hai vasl kaa chaand kisi chhat pe nikaltaa hi nahin raabton ki hai vo fihrist mein khaamosh kahin ek number ki jo scrēn pe aataa hi nahin turbat-e-zabt mein yaadon ki silein dil pe liye tere chehre ko nigaahon se haTaataa hi nahin mere aasaab pe taari hai mohabbat ki thakan itni zyaada ki kisi haal mein rotaa hi nahin chaand 'masud' khalaaon mein hai TuTaa-phuTaa is liye main to kabhi iid manaataa hi nahin"
Masoodurrahman MasoodMasoodurrahman Masood

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
Irfan SattarIrfan Sattar