"kis tarah yaaron ne poshida khazaane DhunDe phir yahi zakhm-e-darun kaun na jaane DhunDe ham jo guzre hain kharaabe se to hairat ye hai jitne DhunDe hain mohabbat ke fasaane DhunDe khair ye jaan amaanat thi so jaani thi kabhi kyaa se kyaa us ne bhi khone ke bahaane DhunDe us ke pahlu mein hain to rain-baseraa kar lein nit nae kaun kahaan roz Thikaane DhunDe aaj phir main ne kitaabon se mahak paai hai aaj phir main ne kahin phuul puraane DhunDe aae zaanu mein to sar dhar diyaa us ke aage soi pahlu mein to baazu ke sirhaane DhunDe"
kitni mushkil se taqaazaa pas-e-guftaar khulaa — Hamza Hashmi Soz
"kitni mushkil se taqaazaa pas-e-guftaar khulaa to kahin jaa ke ye pairaaya-e-izhaar khulaa kaun vaarid huaa basti mein ki sab saudaagar chhoD ke aae hain baazaar kaa baazaar khulaa sar kahin kham hai kahin pech ulajhte jaaein tab-e-madhosh sambhal halqa-e-dastaar khulaa khair hansne se tumhaare to hai duniyaa vaaqif meraa girya bhi khulaa to pas-e-divaar khulaa kaise chaDhte hue suraj ki parastish hogi raaz us vaqt khulaa ham pe ki jab daar khulaa hadaf-e-chashm-e-siyah 'soz' main bannaa chaahun jaae khaali na kisi taur koi vaar khulaa"
کتنی مشکل سے تقاضا پس گفتار کھلا تو کہیں جا کے یہ پیرایۂ اظہار کھلا کون وارد ہوا بستی میں کہ سب سوداگر چھوڑ کے آئے ہیں بازار کا بازار کھلا سر کہیں خم ہے کہیں پیچ الجھتے جائیں طبع مدہوش سنبھل حلقۂ دستار کھلا خیر ہنسنے سے تمہارے تو ہے دنیا واقف میرا گریہ بھی کھلا تو پس دیوار کھلا کیسے چڑھتے ہوئے سورج کی پرستش ہوگی راز اس وقت کھلا ہم پہ کہ جب دار کھلا ہدف چشم سیہ سوزؔ میں بننا چاہوں جائے خالی نہ کسی طور کوئی وار کھلا
कितनी मुश्किल से तक़ाज़ा पस-ए-गुफ़्तार खुला तो कहीं जा के ये पैराया-ए-इज़हार खुला कौन वारिद हुआ बस्ती में कि सब सौदागर छोड़ के आए हैं बाज़ार का बाज़ार खुला सर कहीं ख़म है कहीं पेच उलझते जाएँ तब-ए-मदहोश सँभल हल्क़ा-ए-दस्तार खुला ख़ैर हँसने से तुम्हारे तो है दुनिया वाक़िफ़ मेरा गिर्या भी खुला तो पस-ए-दीवार खुला कैसे चढ़ते हुए सूरज की परस्तिश होगी राज़ उस वक़्त खुला हम पे कि जब दार खुला हदफ़-ए-चश्म-ए-सियह 'सोज़' मैं बनना चाहूँ जाए ख़ाली न किसी तौर कोई वार खुला

More by Hamza Hashmi Soz
View all →"puraani yaad ki taamir Dhaanaa bhuul jaataa huun main ik ghar se nae ghar ko basaanaa bhuul jaataa huun nikal jaataa huun dariyaa paar paani paaT ke lekin kinaare se kinaare ko milaanaa bhuul jaataa huun main yaaron ki jafaaon ko bayaan karte hue aksar main dushman ki sadaaqat ko bataanaa bhuul jaataa hai mire tan par qabaa zakhmon ki har mausam badalti hai labaada oDhtaa huun aur puraanaa bhuul jaataa huun"
"vaqt aayaa hai ghazab tundi-e-raftaar ke saath ki sambhal paai na poshaak bhi dastaar ke saath aane dete nahin ranjish mein bhi divaaron ko dekh ham nafratein bhi karte hain kuchh pyaar ke saath ik tabassum se chaman khiltaa gayaa phuul samet phuul kyaa ghunche chaTakhte gae gulzaar ke saath haath jis par vo rakhegaa vahi yusuf us kaa jins-e-vaafar hai bahut garmi-e-baazaar ke saath 'soz' mauquf nahin shaairi tak naam miraa main saraapaa hi ghazab-soz huun kirdaar ke saath"
"shahr-e-aafaat mein hangaama-e-zindaan hai bahut ishq par ab bhi musallat gham-e-dauraan hai bahut ab kisi taur mujhe chhu na sakegaa tiraa gham ab mire chaaron taraf halqa-e-yaaraan hai bahut log hote chale jaate hain nigaahon se pare lekin ik zehn mein vaazeh rukh-e-taabaan hai bahut mustanad kaun se pairaae hain sheron ke liye ye parakhne ke liye miir kaa divaan hai bahut pyaar to pyaar kudurat bhi kahaan rakhtaa hai mujhe bhi is ki tarah shikva-e-insaan hai bahut juz mire chhin gayaa hai dar-o-divaar-o-fasil 'soz' is baar to kam-zarfi-e-tufaan hai bahut"
"zard mausam mein nae phuul khilaane vaale mundamil kar na sake zakhm puraane vaale kaun saudaa-e-duaa kartaa hai zakhmon ke evaz ham kahaan aur kahaan log zamaane vaale fursat-e-khvaab kahaan aise hue hain bedaar tere jhonke bhi nahin niind mein laane vaale chaashni jaa nahin sakti kabhi lafzon se tiri chaahe mazmun dar aaein kai aane vaale dekhnaa turra-e-shah saa vo maaal-o-hangaam sar bhi dhar jaaeinge dastaar bachaane vaale fikr daamaan ki nahin karte nikal aate hain ik hi silvaT pe kai harf uThaane vaale aaj garche nahin ik roz kareinge charchaa mere ahbaab nahin mujh ko bhulaane vaale"
"hazaar karte raho jatan tum jatan ke dam par bujhaa kahin se bujhaa sako to bujhaa ke dekho ubhar paDegaa sukut lab ho zamir lekin khamosh mujh ko na rahne degaa pukaarne par pukaarti hai mire hi andar sadaa kahin se yahaan vo daar-o-rasan nahin hain kisi ki jaan hai samar kisi kaa lahu kahin se chhalak paDegaa uThegaa rang-e-hinaa kahin se jahaan ke zindaan mein habs aakhir rahegaa kab tak saheinge kab tak jahaan to aakhir jahaan rahegaa jahaan mein DhunDo sabaa kahin se numu sukhan mein hai aamadon ki sukhan pe kaamil yaqin mujhe hai qalam to meraa hi chal rahaa hai pa ho rahi hai ataa kahin se"