Quote
"mahfil mein jaane kaise sar-e-aam aa gayaa aakhir zabaan pe us ke miraa naam aa gayaa main ne chhupaa ke rakkhaa thaa jo dil mein raaz-e-ishq khat mein qubul likh ke vo paighaam aa gayaa kaise kahun falak main tujhe kitnaa khush huun aaj ye dekh le duaaon kaa inaam aa gayaa saaqi se aankhon aankhon mein khaali ishaaratan kahne ki der thi ki bharaa jaam aa gayaa qaatil kaa parda faash kiyaa jabki main ne khud mujh par hi haif qatl kaa ilzaam aa gayaa ab kuchh na hogaa jaag ke ghaflat ki niind se suraj ghurub hone lab-e-baam aa gayaa sayyaad ke baghair 'm'aale' na rah sakaa ghar lauT kar parinda sar-e-shaam aa gayaa"
B
B.M Khan Maley