"umr guzri in buton ke vasl ki tadbir mein kyaa khabar mujh ko ye patthar the miri taqdir mein paak kar ke is ko laa qaatil lahu khaataa hai josh ghair ke khuun ke hain dhabbe daaman-e-shamshir mein balki letaa hai muqaddar mujh se kyon har martaba bal hai un ki zulf kaa kyaa gesu-e-taqdir mein hijr-e-zulf-e-yaar mein is darja huun zaar-o-nahif hai faraaghat se guzar ab khaana-e-zanjir mein aaj tak khaarish nahin zakhm-e-jigar ki kam hui kis qayaamat kaa mazaa thaa naakhun-e-shamshir mein kis tarah be-qatl ke aae mujhe aaraam-o-chain shakl maqsad ki to hai aaina-e-shamshir mein qalb mein paivast paikaan bhi isi surat se ho jaise baiThi hai siri ai turk tere tiir mein jin ke dil faulaad hain gham kaa asar un pe ho kyaa ashk kab dekhe kisi ne dida-e-zanjir mein is zaifi mein khataa kartaa nahin tir-e-sitam hain abhi kas-bal javaanon ke se charkh-e-pir mein vaaqai dil ki khataa hai aashiq-e-mizhgaan huaa is ko kuchh tambih kar diije zabaan-e-tir mein mehr-o-ulfat kaa mahal us but ke rahne kaa maqaam manzil-e-dil bhi hai kyaa manzil miri taamir mein ashk-e-khun naashaadi-e-ushshaaq par roi hai ye khuun ke dhabbe nahin hain yaar ki shamshir mein kisht-e-vahshat par agar barsaae vo aab-e-karam kopalein phuTein abhi har daana-e-zanjir mein ek din ke dard-e-furqat ne ye naqsha kar diyaa ho gai begaanagi mujh mein miri tasvir mein dekhiye qismat ki khubi kuchh paDhaa jaataa nahin us ne naama bhi jo likkhaa to khat-e-taqdir mein aarzu hai 'bazm' ki khaaliq vo din laae kahin marsiya jaa kar paDhun main rauza-e-shabbir mein"
koi naadaan na daanaa achchhaa — Aashiq Husain Bazm Afandi
"koi naadaan na daanaa achchhaa aap achchhe to zamaanaa achchhaa na huaa dil kaa lagaanaa achchhaa ghalati ki nahin jaanaa achchhaa aise bigDon kaa banaanaa achchhaa vo jo ruThein to manaanaa achchhaa aae hain ghair ko le kar ham-raah aise aane se na aanaa achchhaa saath hai zer-e-zamin taaron ke ye milaa us ko khazaana achchhaa ye muqaabil hai vo sar chaDhtaa hai aaine se to hai shaanaa achchhaa mujh se milne mein bahaane na karo khuun is se to bahaanaa achchhaa ai hinaa jaate hain vo ghair ke ghar rang aise mein jamaanaa achchhaa loT huun khaal-e-rukh-e-yaar pe main ho jo qismat mein ye daanaa achchhaa baadshah se bhi nahin dabte the thaa laDakpan kaa zamaanaa achchhaa dard ho jis mein hikaayat hai vo khuub jo ho rangin vo fasaanaa achchhaa tuur par kaam thaa kyaa jalve kaa dil mein aankhon mein samaanaa achchhaa yahi ai 'bazm' rahe dil mein khayaal ham bure sab se zamaanaa achchhaa"
کوئی نادان نہ دانا اچھا آپ اچھے تو زمانا اچھا نہ ہوا دل کا لگانا اچھا غلطی کی نہیں جانا اچھا ایسے بگڑوں کا بنانا اچھا وہ جو روٹھیں تو منانا اچھا آئے ہیں غیر کو لے کر ہمراہ ایسے آنے سے نہ آنا اچھا ساتھ ہے زیر زمیں تاروں کے یہ ملا اس کو خزانہ اچھا یہ مقابل ہے وہ سر چڑھتا ہے آئنے سے تو ہے شانا اچھا مجھ سے ملنے میں بہانے نہ کرو خون اس سے تو بہانا اچھا اے حنا جاتے ہیں وہ غیر کے گھر رنگ ایسے میں جمانا اچھا لوٹ ہوں خال رخ یار پہ میں ہو جو قسمت میں یہ دانا اچھا بادشہ سے بھی نہیں دبتے تھے تھا لڑکپن کا زمانا اچھا درد ہو جس میں حکایت ہے وہ خوب جو ہو رنگیں وہ فسانا اچھا طور پر کام تھا کیا جلوے کا دل میں آنکھوں میں سمانا اچھا یہی اے بزمؔ رہے دل میں خیال ہم برے سب سے زمانا اچھا
कोई नादान न दाना अच्छा आप अच्छे तो ज़माना अच्छा न हुआ दिल का लगाना अच्छा ग़लती की नहीं जाना अच्छा ऐसे बिगड़ों का बनाना अच्छा वो जो रूठें तो मनाना अच्छा आए हैं ग़ैर को ले कर हम-राह ऐसे आने से न आना अच्छा साथ है ज़ेर-ए-ज़मीं तारों के ये मिला उस को ख़ज़ाना अच्छा ये मुक़ाबिल है वो सर चढ़ता है आइने से तो है शाना अच्छा मुझ से मिलने में बहाने न करो ख़ून इस से तो बहाना अच्छा ऐ हिना जाते हैं वो ग़ैर के घर रंग ऐसे में जमाना अच्छा लोट हूँ ख़ाल-ए-रुख़-ए-यार पे मैं हो जो क़िस्मत में ये दाना अच्छा बादशह से भी नहीं दबते थे था लड़कपन का ज़माना अच्छा दर्द हो जिस में हिकायत है वो ख़ूब जो हो रंगीं वो फ़साना अच्छा तूर पर काम था क्या जल्वे का दिल में आँखों में समाना अच्छा यही ऐ 'बज़्म' रहे दिल में ख़याल हम बुरे सब से ज़माना अच्छा
More by Aashiq Husain Bazm Afandi
View all →"mohabbat tujh se vaabasta rahegi jaavedaan meri tire qissa ke pichhe pichhe hogi daastaan meri kareingi dekhiye ulfat mein kyaa rusvaaiyaan meri jahaan suniye bas un kaa tazkira aur daastaan meri qayaamat mein bhi jhuTi hogi saabit daastaan meri kahegaa ik jahaan un ki vahaan yaa mehrbaan meri bahut kuchh quvvat-e-guftaar hai ai mehrbaan meri magar haan saamne un ke nahin khulti zabaan meri qayaamat kaa to din hai ek aur qissa hai tulaani bhalaa din-bhar mein kyunkar khatm hogi daastaan meri vo rusvaa-e-mohabbat huun rahungaa yaad muddat tak kahaani ki tarah har ghar mein hogi daastaan meri sunaaun us gul-e-khubi ko kyon main qalb ki haalat bhalaa naazuk-dimaaghi sunne degi daastaan meri kahun kuchh to shikaayat hai rahun chup to musibat hai bayaan kyunkar karun kuchh go-mago hai daastaan meri akelaa manzil-e-mulk-e-adam mein zer-e-marqad huun vo yusuf huun nahin kuchh chaah kartaa kaarvaan meri ye dil mein hai jo kuchh kahnaa hai daaman thaam kar kah duun vo mere haath pakDeinge ki pakDeinge zabaan meri phansaayaa daam mein sayyaad mujh ko khush-bayaani ne abas par tu ne katre qata karni thi zabaan meri na chhuTaa silsila vahshat kaa jab tak jaan rahi tan mein vo majnun huun ki takhte par hi utrin beDiyaan meri mushabbak main bhi tir-e-aah se siine ko kar dungaa lahad jab tak banaaegaa zamin par aasmaan meri mohabbat but-kade ki dil mein hai aur qasd kaaba kaa ab aage dekhiye taqdir le jaae jahaan meri bhalaa vaan kaun puchhegaa mujhe kuchh khair hai zaahid main huun kis mein ki pursish hogi roz-e-imtihaan meri tasadduq aap ke insaaf ke main to na maanungaa ki bose ghair ke hisse ke hon aur gaaliyaan meri musannif khuub kartaa hai bayaan tasnif ko apni kisi din vo sunein meri zabaan se daastaan meri fishaar-e-qabr ne pahlu dabaae khuub hi mere nayaa mehmaan thaa khaatir kyon na kartaa mezbaan meri qafas mein phaDphaDaane par to par sayyaad ne katre jo munh se boltaa kuchh kaaT hi letaa zabaan meri vo is surat se baad-e-marg bhi mujh ko jalaati hain dikhaa di shama ko tasvir haath aai jahaan meri har ik jalse mein ab to hazrat-e-vaaiz ye kahte hain agar ho band mai-khaana to chal jaae dukaan meri tariqa hai yahi kyaa ai lahad mehmaan ki khaatir kaa main khud be-dam huun tuDvaati hai naahaq haDDiyaan meri pasand aaya nahin ye roz kaa jhagDaa raqibon kaa main dil se baaz aaya jaan chhoDo mehrbaan meri hazaaron hijr mein jaur-o-sitam tere uThaae hain jo himmat ho sanbhaal ik aah tu bhi aasmaan meri ye kuchh apni zabaan mein kahti hain jab paanv ghistaa huun khudaa ki shaan mujh se bolti hain beDiyaan meri banaayaa ishq ne yusuf ko gard-e-kaarvaan aakhir ki pichhe dil gayaa pahle gai taab-o-tavaan meri paDhi ai 'bazm' jab main ne ghazal kaT kaT gae haasid rahi har maarka mein tez shamshir-e-zabaan meri"
"maut aati hai gham aataa hai azaab aataa hai saath in aafaton ko le ke shabaab aataa hai aafatein aaeingi ho jaaegaa mahshar barpaa shokhiyaan saath liye un kaa shabaab aataa hai ek hi baar javaani ho qayaamat aa jaae naaz kartaa huaa kyon un kaa shabaab aataa hai us ke aane ki na jaane ki khabar hoti hai jaataa bhi vaise hi hai jaise shabaab aataa hai yuun tiri tarah qayaamat nahin Dhaataa koi sab hi par aalam-e-hasti mein shabaab aataa hai shoala-ruyon ki mohabbat mein phunkaa jaataa huun dil jalaane ke liye ahd-e-shabaab aataa hai har adaa ban ke qazaa jaan liye leti hai un kaa aThkheliyaan kartaa jo shabaab aataa hai pesh-khema hai javaani kaa kisi ki mahram joban uTh uTh ke ye kahtaa hai shabaab aataa hai chhine jaaeinge jigar luuT dilon ki hogi lashkar-e-naaz liye un kaa shabaab aataa hai tum pe marte to hain aur is se sivaa kyaa hogaa kyon Daraate ho ye kah kah ke shabaab aataa hai khaak ho mujh ko khushi un ke javaan hone ki meri hasti ke miTaane ko shabaab aataa hai dekhiye hoti hai ab kaun si aafat barpaa jis kaa bachpan hai ghazab us pe shabaab aataa hai is qadar kyon dil-e-ushshaaq hain ghabraae hue kis sitam-kesh pe aalam mein shabaab aataa hai dekhiye girti hai kitnon ke dilon par bijli sunte hain dhuum se us but kaa shabaab aataa hai ye javaani hi to hai gulshan-e-hasti kaa ubhaar aur ho jaati hai surat jo shabaab aataa hai shokhiyon ne tiri bechain kiyaa kuchh aisaa dekhne aalam-e-tifli ko shabaab aataa hai jis tarah dhuup se aa jaae koi saaya mein itni si der ko insaan pe shabaab aataa hai parde parde mein jataataa hai ye siine kaa ubhaar le ke kuchh muTThiyon mein un kaa shabaab aataa hai apni barbaadi kaa pahle hi se maatam kar lein kahti hain un ki adaaein ki shabaab aataa hai saikDon minnatein is din ke liye maani thiin shukr kartaa huun ki ab us pe shabaab aataa hai rahte hain khalq mein afsaane sitam ke barson aur do din ko hasinon pe shabaab aataa hai milne vaalaa hai qayaamat kaa sitam ko rutba husn us but kaa baDhaane ko shabaab aataa hai qahr ki us ke bayaan ho nahin sakti haalat us se hi puchhiye jis par ki shabaab aataa hai aur ai 'bazm' kisi kaa nahin kuchh bigDegaa meri hi reDh lagaane ko shabaab aataa hai"
"kuchh bhi kar saktaa nahin tadbir se aadmi majbur hai taqdir se TukDe kyon karte ho dil shamshir se toDo ye shisha nigah ke tiir se jam saki rangat na bazm-e-ghair mein ukhDi ukhDi aap ki taqrir se aashiqon par zulm karne ke sivaa aur kyaa aataa hai charkh-e-pir se kyon murid-e-ishq ai vahshat na huun silsila miltaa hai ye zanjir se lo tavaazo kaa kamaanon se sabaq raah karnaa dil mein sikho tiir se qaabil-e-tegh-e-adaa kyaa ham nahin kaaTte ho kyon galaa shamshir se ye tamanna hai ki dekhaa hi karun ji bahaltaa hai tiri tasvir se hai ye naqsha chaar din ke hijr mein shakl ab milti nahin tasvir se le ke dil un ki dileri dekhiye kaise aa baiThe hain be-taqsir se vasl ki shab mein bhi uljhan hi rahi aap ki uljhi hui taqdir se zabt kab tak ek din aakhir tujhe khinch leinge aah ki taasir se aaj fikr-e-ghair mein jaataa thaa main mil gae vo khubi-e-taqdir se aaD mein un ki falak bach bach gayaa varna dabte hain javaan kab piir se e'tiraazon par tule hain kyon harif 'bazm' kyaa haasil hai is taqdir se main to dil-daada fasaahat kaa huun 'bazm' kyon na ho ulfat kalaam-e-'mir' se"
"naam jaane kaa na lo qalb ke kaashaane se main to luT jaaungaa is ghar ke ujaD jaane se ghaiz hai bazm ke andar jo chale aane se kuchh main baahar bhi nahin aap ke farmaane se saaf zaahir hai ye qulqul ki sadaa aane se guftugu hoti hai kuchh shisha-o-paimaane se shama-ru tak vahi le jaaegaa naama meraa haan agar kaam ye niklegaa to parvaane se sab ye thi khaal-e-rukh-e-yaar ki kaaristaani murgh-e-dil phaans liyaa zulf ne is daane se tark-e-mai ke liye zaahid tu miraa maghz na khaa aur zid hoti hai insaan ko samjhaane se ghair se tum ko ta'alluq nahin kuchh ye sach hai shak magar baDhtaa hai har baar qasam khaane se ishva-o-ghamza-o-andaaz hi jab khinch na sake muddaaa yaar ki tasvir ke khinchvaane se khvaab-e-marg aankh mein aate hi gai bechaini ji gayaa tegh ke daaman ki havaa khaane se kis ke ghar jaane ko tayyaar vo hote hain ki aaj un ko fursat hi nahin aaina-o-shaane se kisht-e-vahshat pe jo vo aab-e-karam barsaae shaakhein niklin abhi zanjir ke har daane se qudrati husn kaa khaaka kahin uD saktaa hai kyon kashida hain vo tasvir ke khinchvaane se 'bazm' vaan dil ke bahalne ki koi shakl nahin jaaein kaabe ko kis ummid pe but-khaane se"
"maqtal mein aaj hausla dil kaa nikal gayaa sab apne paanv se gae main sar ke bal gayaa manzur dil kaa thaa unhein lenaa so le chuke ab kyon vo paas aaeinge matlab nikal gayaa qismat to dekhiye jo shab-e-vasl aai bhi shikve shikaayaton hi mein sab vaqt Tal gayaa aate hi fasl-e-gul ke junun kaa huaa ye josh divaana un kaa jaame se baahar nikal gayaa baaqi hain baad-e-qatl bhi ulfat ki garmiyaan dil ki taDap na kam hui go dam nikal gayaa un ki nigaah-e-qahr se ab kyaa bachegaa dil palTaa nahin jo tiir kamaan se nikal gayaa is Dar se naala kar nahin saktaa firaaq mein mar jaaungaa jo vo dil-e-naazuk dahal gayaa kaanTon ki aablon se ghanimat thi nok jhonk vahshi kaa tere dasht mein kuchh ji bahal gayaa saabit-qadam hamin hain na ghairon ko munh lagaao koi na hogaa un mein se joban jo Dhal gayaa ai 'bazm' mujh se karte vo iqraar-e-vasl kyaa vo to ye kahiye un ki zabaan se nikal gayaa"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"