Quote
"kabhi qurbat hai faasle hain kabhi darmiyaan apne be-mazaa kyaa hai mujh se haT kar zaraa saa chaltaa hai mujh mein ik aur dusraa kyaa hai ham ko jiinaa na aa sakaa varna zindagi jashn ke sivaa kyaa hai"
"kuchh dahshat har baar kharidaa jab ham ne akhbaar kharidaa sach pe sau sau parde Daale sapnaa ik bimaar kharidaa us ke bhitar bhi jangal thaa kal jis ne ghar-baar kharidaa ek musht mein dil de aayaa TukDaa TukDaa pyaar kharidaa bholi si muskaan ki khaatir kitnaa kuchh be-kaar kharidaa ham be-mol luTaa dete hain tum ne jo har baar kharidaa pyaar se bhi ham mar jaate hain aap ne kyuun hathiyaar kharidaa"
کچھ دہشت ہر بار خریدا جب ہم نے اخبار خریدا سچ پہ سو سو پردے ڈالے سپنا اک بیمار خریدا اس کے بھیتر بھی جنگل تھا کل جس نے گھر بار خریدا ایک مشت میں دل دے آیا ٹکڑا ٹکڑا پیار خریدا بھولی سی مسکان کی خاطر کتنا کچھ بیکار خریدا ہم بے مول لٹا دیتے ہیں تم نے جو ہر بار خریدا پیار سے بھی ہم مر جاتے ہیں آپ نے کیوں ہتھیار خریدا
कुछ दहशत हर बार ख़रीदा जब हम ने अख़बार ख़रीदा सच पे सौ सौ पर्दे डाले सपना इक बीमार ख़रीदा उस के भीतर भी जंगल था कल जिस ने घर-बार ख़रीदा एक मुश्त में दिल दे आया टुकड़ा टुकड़ा प्यार ख़रीदा भोली सी मुस्कान की ख़ातिर कितना कुछ बे-कार ख़रीदा हम बे-मोल लुटा देते हैं तुम ने जो हर बार ख़रीदा प्यार से भी हम मर जाते हैं आप ने क्यूँ हथियार ख़रीदा

"kabhi qurbat hai faasle hain kabhi darmiyaan apne be-mazaa kyaa hai mujh se haT kar zaraa saa chaltaa hai mujh mein ik aur dusraa kyaa hai ham ko jiinaa na aa sakaa varna zindagi jashn ke sivaa kyaa hai"
"agarche sakht safar hai dhuaan ghanaa hogaa kahin koi to miri raah dekhtaa hogaa tamaam hotaa kahaan hai kabhi nadi kaa safar vo jaa mile to samundar bhi raasta hogaa azaab aae sitam aae saaneha aae main muntazir huun ki kuchh ziist mein nayaa hogaa main mar gayaa to miri buzdili khabar hogi main ji gayaa to tiraa shukriya adaa hogaa sitaare Taank rahaa hai jo khvaab mein sab ke vo surkhiyon se khabar ki hi laapata hogaa vo jis ne ham ko bhulaave si zindagi di hai zarur us ne koi raasta diyaa hogaa"
"hain havaaon mein talkhiyaan shaayad aandhiyon mein ho kuchh bayaan shaayad lafz kho aae hain sabhi maani baat kah dein khamoshiyaan shaayad kitni gahri udaasiyaan hain abhi niind kuchh de tasalliyaan shaayad ghar mein jismon ki aanch baaqi hai aaj ujDaa hai aashiyaan shaayad us jagah har koi akelaa hai jis jagah hain bulandiyaan shaayad bachche uljhe hain sab kitaabon mein muntazir hongi titliyaan shaayad rab hai uupar zamin par duniyaa beach mein hai bahut dhuaan shaayad khat likheinge unhein saliqe se aaj kaanpeingi ungliyaan shaayad"
"ek bhaTki sadaa saa rahtaa huun aaj-kal be-pata saa rahtaa huun ghar mire dil mein bhi rahaa na kabhi ghar mein main bhi zaraa saa rahtaa huun chaand se roz aankh laDti hai main bhi chhat pe paDaa saa rahtaa huun koi puchho to muddaaa kyaa hai main jo sab se khafaa saa rahtaa huun kar sako to miri talaash karo in dinon main havaa saa rahtaa huun"
"har taraf tez aandhiyaan rakhnaa beach mein meraa aashiyaan rakhnaa dhuup chhat par havaa ho kamre mein lawn mein shokh titliyaan rakhnaa chaand barse tasalliyon ki tarah ghar mein do-chaar khiDkiyaan rakhnaa apni duniyaa hai dil-fareb bahut ek dil ko kahaan kahaan rakhnaa tu rahegaa jahaan zamin hai tiri main jahaan huun mujhe vahaan rakhnaa lafz mil jaaein to bayaan hogaa honT kaanpe to ungliyaan rakhnaa baanh phaile to tum ko chhu aae faasla itnaa darmiyaan rakhnaa mere lafzon mein dard de yaarab mere munh mein miri zabaan rakhnaa"
"meri aankhon mein ye khalaa kyaa hai tu agar saath hai judaa kyaa hai main jo apni tarah nahin lagtaa tum se mil kar mujhe huaa kyaa hai darj is mein hain khvaahishein sab ki mere chehre mein ab miraa kyaa hai mere har naqsh kaa pata hai use aaina mujh ko jaantaa kyaa hai raaste ki talaash hai sab ko ab sivaa is ke raasta kyaa hai"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"