SHAWORDS

lab-e-gudaaz pe alfaaz-e-sakht rahte hain — Iqbal Kaifi

HomeIqbal KaifiGhazal
"lab-e-gudaaz pe alfaaz-e-sakht rahte hain zabaan-e-ghair ke lahje karakht rahte hain kahin kahin to ghulaamon se bhi rahe bad-tar vo jin ke paanv ki Thokar mein takht rahte hain rutein badalti hain vaqt ek saa nahin rahtaa tamaam umr na bedaar bakht rahte hain khizaan kaa daur bhi aataa hai ek din 'kaifi' sadaa-bahaar kahaan tak darakht rahte hain"
Urdu

لب گداز پہ الفاظ سخت رہتے ہیں زبان غیر کے لہجے کرخت رہتے ہیں کہیں کہیں تو غلاموں سے بھی رہے بد تر وہ جن کے پاؤں کی ٹھوکر میں تخت رہتے ہیں رتیں بدلتی ہیں وقت ایک سا نہیں رہتا تمام عمر نہ بیدار بخت رہتے ہیں خزاں کا دور بھی آتا ہے ایک دن کیفیؔ سدا بہار کہاں تک درخت رہتے ہیں

Hindi

लब-ए-गुदाज़ पे अल्फ़ाज़-ए-सख़्त रहते हैं ज़बान-ए-ग़ैर के लहजे करख़्त रहते हैं कहीं कहीं तो ग़ुलामों से भी रहे बद-तर वो जिन के पाँव की ठोकर में तख़्त रहते हैं रुतें बदलती हैं वक़्त एक सा नहीं रहता तमाम उम्र न बेदार बख़्त रहते हैं ख़िज़ाँ का दौर भी आता है एक दिन 'कैफ़ी' सदा-बहार कहाँ तक दरख़्त रहते हैं

lab-e-gudāz pe alfāz-e-saḳht rahte haiñ
Iqbal Kaifi
Iqbal Kaifi
Iqbal Kaifi
poet21 quotes

More by Iqbal Kaifi

View all →
Quote
"mauj-e-balaa mein roz koi Dubtaa rahe saahil har ek baar magar dekhtaa rahe yaaron ki kashtiyaan rahin saahil se be-niyaaz tufaan se be-niyaaz agar naakhudaa rahe khairaat mein kabhi nahin maangin mohabbatein har-chand mere dost mujhe aazmaa rahe jin ko nahin thi daulat-e-ehsaas tak nasib takrim-e-be-nazar mein vahi devtaa rahe main aise husn-e-zan ko khudaa maantaa nahin aahon ke ehtijaaj se jo maavaraa rahe maanaa ki har tarah hai taghayyur se be-niyaaz lekin vo haal-e-gham se to kuchh aashnaa rahe 'kaifi' zamir-baakhtaa logon se kab talak khairaat-e-ehtiraam koi maangtaa rahe"
Iqbal KaifiIqbal Kaifi
Quote
"kaif-e-hayaat tere sivaa kuchh nahin rahaa teri qasam hai tujh se judaa kuchh nahin rahaa vallaah sab rutein hain pareshaan tire baghair vallaah mausamon kaa mazaa kuchh nahin rahaa tufaan saahilon ko uDaate chale gae kaise kahun ki kuchh bhi rahaa kuchh nahin rahaa afsos maabadon mein khudaa bechte hain log ab maani-e-sazaa-o-jazaa kuchh nahin rahaa ham mai-kashon pe kufr ke fatve diye gae ahl-e-khudaa ko khauf-e-khudaa kuchh nahin rahaa ham to vafaa-parast raheinge tamaam umr maanaa ki un ko paas-e-vafaa kuchh nahin rahaa 'kaifi' main kis tarah se vo manzar bayaan karun main ne jo ro ke un se kahaa kuchh nahin rahaa"
Iqbal KaifiIqbal Kaifi

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari