SHAWORDS

lafz yuun khaamushi se laDte hain — Anis Abr

HomeAnis AbrGhazal
"lafz yuun khaamushi se laDte hain jis tarah gham hansi se laDte hain jaanvar jaanvar se laDtaa hai aadmi aadmi se laDte hain maut ki aarzu mein divaane umr-bhar zindagi se laDte hain jis se hai dosti kaa hukm hamein ham bhi paagal usi se laDte hain dusron se kabhi nahin laDte log jo bhi khudi se laDte hain ye andheron ke hukmaraan saare aaj bhi raushni se laDte hain jo anaa ke mariz hote hain har nae din kisi se laDte hain aur bhi log jab hain basti mein aap kyuun kar hami se laDte hain un ko mazdur kahnaa Thiik nahin log jo muflisi se laDte hain 'abr' be-kaar log puchhte hain aap bhi kyaa kisi se laDte hain"
Urdu

لفظ یوں خامشی سے لڑتے ہیں جس طرح غم ہنسی سے لڑتے ہیں جانور جانور سے لڑتا ہے آدمی آدمی سے لڑتے ہیں موت کی آرزو میں دیوانے عمر بھر زندگی سے لڑتے ہیں جس سے ہے دوستی کا حکم ہمیں ہم بھی پاگل اسی سے لڑتے ہیں دوسروں سے کبھی نہیں لڑتے لوگ جو بھی خودی سے لڑتے ہیں یہ اندھیروں کے حکمراں سارے آج بھی روشنی سے لڑتے ہیں جو انا کے مریض ہوتے ہیں ہر نئے دن کسی سے لڑتے ہیں اور بھی لوگ جب ہیں بستی میں آپ کیوں کر ہمی سے لڑتے ہیں ان کو مزدور کہنا ٹھیک نہیں لوگ جو مفلسی سے لڑتے ہیں ابرؔ بیکار لوگ پوچھتے ہیں آپ بھی کیا کسی سے لڑتے ہیں

Hindi

लफ़्ज़ यूँ ख़ामुशी से लड़ते हैं जिस तरह ग़म हँसी से लड़ते हैं जानवर जानवर से लड़ता है आदमी आदमी से लड़ते हैं मौत की आरज़ू में दीवाने उम्र-भर ज़िंदगी से लड़ते हैं जिस से है दोस्ती का हुक्म हमें हम भी पागल उसी से लड़ते हैं दूसरों से कभी नहीं लड़ते लोग जो भी ख़ुदी से लड़ते हैं ये अँधेरों के हुक्मराँ सारे आज भी रौशनी से लड़ते हैं जो अना के मरीज़ होते हैं हर नए दिन किसी से लड़ते हैं और भी लोग जब हैं बस्ती में आप क्यूँ कर हमी से लड़ते हैं उन को मज़दूर कहना ठीक नहीं लोग जो मुफ़्लिसी से लड़ते हैं 'अब्र' बे-कार लोग पूछते हैं आप भी क्या किसी से लड़ते हैं

lafz yuuñ ḳhāmushī se laḌte haiñ
Anis Abr
Anis Abr
Anis Abr
poet18 quotes

More by Anis Abr

View all →
Quote
"lagaa ke dil koi kuchh pal amiir rahtaa hai phir ik umr vo gham mein asiir rahtaa hai kyuun haath dil se lagaate ho baar baar apnaa kyaa dil mein ab bhi koi be-nazir rahtaa hai tiri zabaan pe qanaaat ki baat Thiik nahin tire badan pe libaas-e-harir rahtaa hai yaqin aa gayaa in mehrbaan havaaon se usi gali mein miraa dast-gir rahtaa hai tire firaaq kaa gham vo hai ki dilaase ko taa-subh baam pe maah-e-munir rahtaa hai phir ahl-e-ishq ki takhliq hoti hai pahle junun ki aag mein barson khamir rahtaa hai"
Anis AbrAnis Abr
Quote
"muskaan labon par aankhon mein taaron kaa sajaanaa mushkil hai dil toDnaa hai aasaan lekin rote ko hansaanaa mushkil hai hai kaanch sifat dil siine mein jab TuTtaa hai phir juDtaa nahin jis chiiz se dil uTh jaataa hai phir us se lagaanaa mushkil hai ai bulbul-e-dil yuun gham pi kar mat chahak ki ab lab ko si le sab saaz burida-haal hue ab raag puraanaa mushkil hai ai khair-talab afraad chalo apni jaanein qurbaan karein be-khun bahaae duniyaa ko ghaflat se jagaanaa mushkil hai tum kaaghzi kashti mein dariyaa ko paar karo tab samjhoge ashkon se labaalab aankhon mein kyuun khvaab sajaanaa mushkil hai maanaa ki muqaddar hai furqat laazim hai judaai bhi lekin in sard andheri raaton mein dil ko samjhaanaa mushkil hai"
Anis AbrAnis Abr
Quote
"maal-e-duniyaa talaash karnaa hai yaani rutba talaash karnaa hai aaj insaan ko tapte sahraa mein bahtaa dariyaa talaash karnaa hai to kunvaari hai kab se ai duniyaa teraa rishta talaash karnaa hai ab charaaghon ki lau nahin manzur yad-e-baizaa talaash karnaa hai dushmani pyaar se bhi kuchh achchhaa darmiyaana talaash karnaa hai kar chuke sair ham samundar ki ab kinaara talaash karnaa hai mujh ko phir se kitaab-e-maazi mein teraa chehraa talaash karnaa hai 'abr' duniyaa ko chhoD jaane kaa ik bahaana talaash karnaa hai"
Anis AbrAnis Abr

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb