SHAWORDS

lambi raat se jab mili us ki zulf-e-daraaz — Ameeq Hanafi

HomeAmeeq HanafiGhazal
"lambi raat se jab mili us ki zulf-e-daraaz khul kar saari gutthiyaan phir se ban gaiin raaz us ki ik aavaaz se sharmaayaa sangit saarangi kaa soz kyaa kyaa sitaar kaa saaz meraa qaail ho gayaa ye saaraa sansaar rang-e-naaz mein jab milaa meraa rang-e-niyaaz saazon kaa sangit kyaa paayal ki jhankaar kaun sune is shor mein dil teri aavaaz un aankhon mein Daal kar jab aankhein us raat main Duubaa to mil gae Duube hue jahaaz"
Urdu

لمبی رات سے جب ملی اس کی زلف دراز کھل کر ساری گتھیاں پھر سے بن گئیں راز اس کی اک آواز سے شرمایا سنگیت سارنگی کا سوز کیا کیا ستار کا ساز میرا قائل ہو گیا یہ سارا سنسار رنگ ناز میں جب ملا میرا رنگ نیاز سازوں کا سنگیت کیا پایل کی جھنکار کون سنے اس شور میں دل تیری آواز ان آنکھوں میں ڈال کر جب آنکھیں اس رات میں ڈوبا تو مل گئے ڈوبے ہوئے جہاز

Hindi

लम्बी रात से जब मिली उस की ज़ुल्फ़-ए-दराज़ खुल कर सारी गुत्थियाँ फिर से बन गईं राज़ उस की इक आवाज़ से शरमाया संगीत सारंगी का सोज़ क्या क्या सितार का साज़ मेरा क़ाइल हो गया ये सारा संसार रंग-ए-नाज़ में जब मिला मेरा रंग-ए-नियाज़ साज़ों का संगीत क्या पायल की झंकार कौन सुने इस शोर में दिल तेरी आवाज़ उन आँखों में डाल कर जब आँखें उस रात मैं डूबा तो मिल गए डूबे हुए जहाज़

lambī raat se jab milī us kī zulf-e-darāz
Ameeq Hanafi
Ameeq Hanafi
Ameeq Hanafi
poet38 quotes

More by Ameeq Hanafi

View all →
Quote
"ghubaar-o-gard ne samjhaa hai rahnumaa mujh ko talaash kartaa phiraa hai ye qaafila mujh ko tavil raah-e-safar par hain phuuT phuuT paDaa na kyuun samajhte mire pair aabla mujh ko shikast-e-dil ki sadaa huun bikhar bhi jaane de khutut-o-rang ki zanjir mat pinhaa mujh ko zamin par hai samundar falak pe abr-e-ghubaar utaarti hai kahaan dekhiye havaa mujh ko sukut tark-e-taalluq kaa ik garaan lamha banaa gayaa hai sadaaon kaa silsila mujh ko vo duur duur se ab kyuun mujhe jalaataa hai qarib aa ke bahut jo bujhaa gayaa mujh ko rachaa ke ek tilism-e-savaabit-o-sayyaar kashish mein apni bulaane lagaa khalaa mujh ko"
Ameeq HanafiAmeeq Hanafi
Quote
"'amiq' chheD ghazal gham ki intihaa kab hai ye maalve ki junun-khez chaudhvin shab hai mujhe shikaayat-e-talkhi-e-zahar-e-gham kab hai mire labon pe abhi kaif-e-shakkr-e-lab hai lakir khinchti chali jaa rahi hai ta-ba-jigar farogh-e-mai hai ki mashq-e-jaraahat-e-shab hai ye mahviyat hai ki roab-e-jamaal hai taari khilaaf-e-rasm-e-junun dil bahut muaddab hai kabhi haram mein hai kaafir to dair mein momin na jaane kyaa dil-e-divaana teraa mazhab hai bahut muhaal thaa varna ki dil fareb mein aae kisi ke gham se gham-e-kaaenaat ki chhab hai chaman mein phuul khilaati phire bahaar to kyaa kisi ke band-e-qabaa TuTne lagein tab hai"
Ameeq HanafiAmeeq Hanafi

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud