SHAWORDS

maanaa koi charaagh yaa mash'al nahin huun main — Asim Wasti

HomeAsim WastiGhazal
"maanaa koi charaagh yaa mash'al nahin huun main yuun bhi nahin ki tirgi kaa hal nahin huun main kartaa hai mujh mein qatl mujhe koi saans saans mar mar ke ji rahaa huun musalsal nahin huun main hasti ne ik fareb mein rakkhaa hai mustaqil sab ehtimaam kal ke liye kal nahin huun main sadiyon se ho rahaa hai miraa irtiqaa magar apni nazar mein ab bhi mukammal nahin huun main zinda huun ek lamha-e-maujud ke liye is pal ke baa'd aur koi pal nahin huun main mujh mein hui hain khuun tamannaaein khud miri teri hi khvaahishaat kaa maqtal nahin huun main sahraa mein saath kyon mujhe le kar chalaa hai tu paani bharaa huaa koi baadal nahin huun main 'aasim' ye aur baat koi dekhtaa nahin lekin kisi ki aankh se ojhal nahin huun main"
Urdu

مانا کوئی چراغ یا مشعل نہیں ہوں میں یوں بھی نہیں کہ تیرگی کا حل نہیں ہوں میں کرتا ہے مجھ میں قتل مجھے کوئی سانس سانس مر مر کے جی رہا ہوں مسلسل نہیں ہوں میں ہستی نے اک فریب میں رکھا ہے مستقل سب اہتمام کل کے لئے کل نہیں ہوں میں صدیوں سے ہو رہا ہے مرا ارتقا مگر اپنی نظر میں اب بھی مکمل نہیں ہوں میں زندہ ہوں ایک لمحۂ موجود کے لئے اس پل کے بعد اور کوئی پل نہیں ہوں میں مجھ میں ہوئی ہیں خون تمنائیں خود مری تیری ہی خواہشات کا مقتل نہیں ہوں میں صحرا میں ساتھ کیوں مجھے لے کر چلا ہے تو پانی بھرا ہوا کوئی بادل نہیں ہوں میں عاصمؔ یہ اور بات کوئی دیکھتا نہیں لیکن کسی کی آنکھ سے اوجھل نہیں ہوں میں

Hindi

माना कोई चराग़ या मश'अल नहीं हूँ मैं यूँ भी नहीं कि तीरगी का हल नहीं हूँ मैं करता है मुझ में क़त्ल मुझे कोई साँस साँस मर मर के जी रहा हूँ मुसलसल नहीं हूँ मैं हस्ती ने इक फ़रेब में रक्खा है मुस्तक़िल सब एहतिमाम कल के लिए कल नहीं हूँ मैं सदियों से हो रहा है मिरा इर्तिक़ा मगर अपनी नज़र में अब भी मुकम्मल नहीं हूँ मैं ज़िंदा हूँ एक लम्हा-ए-मौजूद के लिए इस पल के बा'द और कोई पल नहीं हूँ मैं मुझ में हुई हैं ख़ून तमन्नाएँ ख़ुद मिरी तेरी ही ख़्वाहिशात का मक़्तल नहीं हूँ मैं सहरा में साथ क्यों मुझे ले कर चला है तू पानी भरा हुआ कोई बादल नहीं हूँ मैं 'आसिम' ये और बात कोई देखता नहीं लेकिन किसी की आँख से ओझल नहीं हूँ मैं

maanā koī charāġh yā mash'al nahīñ huuñ maiñ
Asim Wasti
Asim Wasti
Asim Wasti
poet175 quotes

More by Asim Wasti

View all →
Quote
"dil aur mire khuun kaa dauraan ghazal hai har saans tavaazun hai ki mizaan ghazal hai mujh pe hain kai aur 'inaayaat bhi lekin ilhaam ke maalik tiraa ehsaan ghazal hai is vaqt mujhe raqs ki targhib mili hai is vaqt mire vajd kaa imkaan ghazal hai Tapkegaa lahu lafz koi chiir ke dekho tum log samajhte ho ki be-jaan ghazal hai hai josh magar dil mein talaatum hai bahut kam is bahr mein simTaa huaa tufaan ghazal hai main 'ishq mein raahat ke tasavvur se huun vaaqif bechain miraa dil hai miraa dhyaan ghazal hai vaise to kai aur ta'aaruf bhi hain 'aasim' har bazm-e-sukhan mein miri pahchaan ghazal hai"
Asim WastiAsim Wasti
Quote
"ye dard zaraa saa bhi to kam ho nahin paayaa ik baar bhi dil khol ke main ro nahin paayaa mil kar bhi na milne kaa hai ye khel mohabbat vo DhunDh liyaa dil ne mire jo nahin paayaa us shaam bichhaDne kaa mujhe dukh to nahin thaa us raat magar chain se main so nahin paayaa main khoe hue dil kaa pata puchh rahaa huun dekhaa nahin tum ne to ye kah do nahin paayaa ik shakhs jise apnaa banaanaa thaa kisi taur ik shakhs kisi taur miraa ho nahin paayaa khvaahish thi khilaaun nai vahshat ke nae gul main 'ishq magar dil mein nayaa bo nahin paayaa ye kaifiyat-e-husn-e-gumaan khuub hai 'aasim' goyaa main use paa bhi chukaa go nahin paayaa"
Asim WastiAsim Wasti
Quote
"habs kaa haal sunaane ko sukhan maangti hai dar nahin maangti divaar dahan maangti hai mausam-e-hirs vo aayaa hai ki har shaakh-e-shajar phuul do-chaar nahin saaraa chaman maangti hai jism kartaa hai talab raat gae jab aaraam ruuh us vaqt 'ibaadat ki thakan maangti hai haath kyon baDh ke charaaghon ko nahin lau dete aankh kyon shaam ke suraj se kiran maangti hai tujh se ye kis ne kahaa Dar hai 'ibaadat ki asaas ye to be-laag lagi aur lagan maangti hai vo bataaein ki hai ehsaas ki qaumiyyat kyaa shaa'iri jin kaa ye kahnaa hai vatan maangti hai"
Asim WastiAsim Wasti

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari