SHAWORDS

maar detaa mujhe miTaa detaa — Ameen Adirai

HomeAmeen AdiraiGhazal
"maar detaa mujhe miTaa detaa is se baDh kar vo kyaa sazaa detaa shart hoti agar vafaa ki yahi qatra-qatra main khun-bahaa detaa phuul hotaa to baanTtaa khushbu main to kaanTaa thaa tujh ko kyaa detaa baandh letaa jo paaon mein ghungru saari duniyaa ko main nachaa detaa main na gar roktaa to vo paagal apne haathon se ghar jalaa detaa jhaank letaa jo mere dil mein 'amin' meraa dushman mujhe duaa detaa"
Urdu

مار دیتا مجھے مٹا دیتا اس سے بڑھ کر وہ کیا سزا دیتا شرط ہوتی اگر وفا کی یہی قطرہ قطرہ میں خوں بہا دیتا پھول ہوتا تو بانٹتا خوشبو میں تو کانٹا تھا تجھ کو کیا دیتا باندھ لیتا جو پاؤں میں گھنگرو ساری دنیا کو میں نچا دیتا میں نہ گر روکتا تو وہ پاگل اپنے ہاتھوں سے گھر جلا دیتا جھانک لیتا جو میرے دل میں امینؔ میرا دشمن مجھے دعا دیتا

Hindi

मार देता मुझे मिटा देता इस से बढ़ कर वो क्या सज़ा देता शर्त होती अगर वफ़ा की यही क़तरा-क़तरा मैं ख़ूँ-बहा देता फूल होता तो बाँटता ख़ुशबू मैं तो काँटा था तुझ को क्या देता बाँध लेता जो पाओं में घुँगरू सारी दुनिया को मैं नचा देता मैं न गर रोकता तो वो पागल अपने हाथों से घर जला देता झाँक लेता जो मेरे दिल में 'अमीन' मेरा दुश्मन मुझे दुआ देता

maar detā mujhe miTā detā
Ameen Adirai
Ameen Adirai
Ameen Adirai
poet14 quotes

More by Ameen Adirai

View all →
Quote
"rakh diyaa main ne dar-e-husn pe haaraa huaa ishq aaj ke baa'd miri jaan tumhaaraa huaa ishq choT gahri thi magar paaon nahin ruk paae ham palaT aae vahin ham ko dobaara huaa ishq jhilmilaataa hai miri aankh mein aansu ban kar aa gayaa raas mujhe dil mein utaaraa huaa ishq sikka-e-vaqt badalte hi sabhi chhoD gae zaat ke shahr mein ik umr sahaaraa huaa ishq jab bhi hoti hai dar-e-khvaab pe dastak koi jaag jaataa hai tire hijr kaa maaraa huaa ishq meri aankhon se Tapaktaa hai lahu ban ke 'amin' teri galiyon mein shab-o-roz guzaaraa huaa ishq"
Ameen AdiraiAmeen Adirai
Quote
"ik ashk sar-e-shokhi-e-rukhsaar mein gum hai aaina bhi us husn ke asraar mein gum hai koi to zamin zar kaa pujaari hai mire dost aur koi yahaan apne hi ghar-baar mein gum hai apnon ke ravayyon ne jise toD diyaa thaa vo shakhs kisi mahfil-e-aghyaar mein gum hai paayaa to sikhaa degaa mujhe shoala-bayaani vo harf jo us sina-e-kohsaar mein gham hai kahtaa hai tire sar ki safedi mein chhupaa dukh ik shahr-e-butaan vaqt ki divaar mein gum hai kuchh dard numaayaan hai kahaani mein 'amin' aur kuchh dard abhi dast-e-qalam-kaar mein gum hai"
Ameen AdiraiAmeen Adirai
Quote
"qissa-e-khaak to kuchh khaak se aage tak thaa giili miTTi kaa safar chaak se aage tak thaa main bashar thaa so mire paanv se lipTi thi zamin aur charchaa miraa aflaak se aage tak thaa shoala-e-ishq gham-e-hijr sar-e-shahr-e-hujum ik garebaan thaa sad-chaak se aage tak thaa khaamushi karb lahu rang mein Duube hue phuul marhala dida-e-namnaak se aage tak thaa lauT aayaa huun yahi dekh ke ik dasht se mein ek jubba meri poshaak se aage tak thaa rah gaiin shahr-e-khirad mein hi ulajh kar sochein ik jahaan aur bhi idraak se aage tak thaa dast-e-suqraat pe rakkhe hue pyaale kaa amiin zahr-e-qaatil kisi tiryaak se aage tak thaa"
Ameen AdiraiAmeen Adirai
Quote
"kashkol-e-jaan se sikka-e-nafrat nikaal kar ai dost phir se aa ke maraasim bahaal kar chaahaa thaa umr-bhar tujhe pal mein bhulaa diyaa tu ne hi to kahaa thaa ki koi kamaal kar ye dard kaa safar hai bahut duur jaaegaa umr-e-ravaan abhi se na mujh ko niDhaal kar duniyaa ko kyaa khabar ki guzarti hai ham pe kyaa likhte hain sher apne lahu ko ubaal kar is shahr kaa to hai yahi dastur-e-zindagi bas khaamushi se dekh na koi savaal kar maanaa ki shaaeri hai asaasa tiraa 'amin' ghar ki zaruriyaat kaa kuchh to khayaal kar"
Ameen AdiraiAmeen Adirai

More on Dil

View all →
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi