Quote
"har ik shai par bahaar-e-zindagi mahsus kartaa huun magar baa-in-hama teri kami mahsus kartaa huun bhaTak kar bhi kabhi manzil se begaana nahin hotaa kisi ki ghaaebaana rahbari mahsus kartaa huun main apne dil pe rakh letaa huun tohmat bad-gumaani ki agar teri taraf se be-rukhi mahsus kartaa huun ye duniyaa ajnabi pahle bhi thi aur ab bhi hai lekin ab apne aap ko bhi ajnabi mahsus kartaa huun tumhein is baat kaa andaaza shaayad ho nahin saktaa ki tum ko dekh ki kitni khushi mahsus kartaa huun"
A
Aish Barni