SHAWORDS

zulmaton mein go Thaharne ko Thahar jaate hain log — Aish Barni

HomeAish BarniGhazal
"zulmaton mein go Thaharne ko Thahar jaate hain log ahl-e-manzil ki nigaahon se utar jaate hain log kal talak to husn ki maasumiyat mashkuk thi ab khulus-e-ishq par bhi choT kar jaate hain log raah mein ab vo dar-e-jaanaan ho yaa dair-o-haram sar uThaae be-niyaazaana guzar jaate hain log zindagi ki be-sabaati kaa koi ronaa nahin haae vo haalaat jab be-maut mar jaate hain log shaikh-saahib ham siyah-bakhton kaa pichhaa chhoDiye shaam hoti hai to apne apne ghar jaate hain log"
Urdu

ظلمتوں میں گو ٹھہرنے کو ٹھہر جاتے ہیں لوگ اہل‌‌ منزل کی نگاہوں سے اتر جاتے ہیں لوگ کل تلک تو حسن کی معصومیت مشکوک تھی اب خلوص عشق پر بھی چوٹ کر جاتے ہیں لوگ راہ میں اب وہ در جاناں ہو یا دیر و حرم سر اٹھائے بے نیازانہ گزر جاتے ہیں لوگ زندگی کی بے ثباتی کا کوئی رونا نہیں ہائے وہ حالات جب بے موت مر جاتے ہیں لوگ شیخ صاحب ہم سیہ بختوں کا پیچھا چھوڑیئے شام ہوتی ہے تو اپنے اپنے گھر جاتے ہیں لوگ

Hindi

ज़ुल्मतों में गो ठहरने को ठहर जाते हैं लोग अहल-ए-मंज़िल की निगाहों से उतर जाते हैं लोग कल तलक तो हुस्न की मासूमियत मश्कूक थी अब ख़ुलूस-ए-इश्क़ पर भी चोट कर जाते हैं लोग राह में अब वो दर-ए-जानाँ हो या दैर-ओ-हरम सर उठाए बे-नियाज़ाना गुज़र जाते हैं लोग ज़िंदगी की बे-सबाती का कोई रोना नहीं हाए वो हालात जब बे-मौत मर जाते हैं लोग शैख़-साहिब हम सियह-बख़्तों का पीछा छोड़िए शाम होती है तो अपने अपने घर जाते हैं लोग

zulmatoñ meñ go Thaharne ko Thahar jaate haiñ log
A
Aish Barni
Aish Barni
poet5 quotes

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb