Quote
"khaamushi se savaal meraa thaa mujh se pahle zavaal meraa thaa vaqt kaa dhyaan aayaa thaa us ko mausamon kaa khayaal meraa thaa maani-dar-maani us ki thi parvaaz lafz-dar-lafz jaal meraa thaa ghar ke baahar thi car daftar ki ghar ke andar kaa haal meraa thaa ai 'tasavvur' na yaad aayaa kabhi sher jo hasb-e-haal meraa thaa"
