SHAWORDS

masaail ye bhi hal kar dekhtaa huun — Raaz Dehalvi

HomeRaaz DehalviGhazal
"masaail ye bhi hal kar dekhtaa huun kabhi khud se nikal kar dekhtaa huun mire dil tak koi aataa nahin kyon chalo chehra badal kar dekhtaa huun kabhi gar khvaab mein dekhun tujhe main to bistar se uchhal kar dekhtaa huun sunaa ik aag si tujh mein hai to phir kiyaa ye tai ki jal kar dekhtaa huun tumhaare saath kab tak chal sakungaa chalo kuchh der chal kar dekhtaa huun"
Urdu

مسائل یہ بھی حل کر دیکھتا ہوں کبھی خود سے نکل کر دیکھتا ہوں مرے دل تک کوئی آتا نہیں کیوں چلو چہرہ بدل کر دیکھتا ہوں کبھی گر خواب میں دیکھوں تجھے میں تو بستر سے اچھل کر دیکھتا ہوں سنا اک آگ سی تجھ میں ہے تو پھر کیا یہ طے کی جل کر دیکھتا ہوں تمہارے ساتھ کب تک چل سکوں گا چلو کچھ دیر چل کر دیکھتا ہوں

Hindi

मसाइल ये भी हल कर देखता हूँ कभी ख़ुद से निकल कर देखता हूँ मिरे दिल तक कोई आता नहीं क्यों चलो चेहरा बदल कर देखता हूँ कभी गर ख़्वाब में देखूँ तुझे मैं तो बिस्तर से उछल कर देखता हूँ सुना इक आग सी तुझ में है तो फिर किया ये तय की जल कर देखता हूँ तुम्हारे साथ कब तक चल सकूँगा चलो कुछ देर चल कर देखता हूँ

masā.il ye bhī hal kar dekhtā huuñ
Raaz Dehalvi
Raaz Dehalvi
Raaz Dehalvi
poet5 quotes

More by Raaz Dehalvi

View all →
Quote
"sukhaa sukhaa dariyaa kaa dil hotaa hai pyaas bujhaanaa kitnaa mushkil hotaa hai jis ne ishq kiyaa mujh se sab ko Toke ziist nahin ye zaat mein shaamil hotaa hai shaam havaa mein yaad tumhaari hoti hai shaam ko siina bojhal bojhal hotaa hai baarish tak baarish ko Taale rakhtaa huun paani mein phir paani shaamil hotaa hai us ne mujh ko bol diyaa pahchaanaa nahin maazi se baDh kar mustaqbil hotaa hai mujh ko ik paagal ke havaale kar jaao khul kar hansne rone kaa dil hotaa hai vo mazhab jo bas khatre mein rahtaa hai us mazhab se Dar hi haasil hotaa hai"
Raaz DehalviRaaz Dehalvi

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aisaa to yahaan kuchh bhi nahin hadd-e-nazar tak ham ko to pahunchnaa thaa kisi khvaab-nagar tak ab paanv nahin raah mein dil thakne lagaa hai lekin hamein chalnaa to hai anjaam-e-safar tak ham shor bhi sunte hain samaaat se bahut kam aavaaz bhi jaati hai to bas hadd-e-nazar tak mumkin hai main ab sabr kaa ye peD giraa duun jab haath pahunchtaa hi nahin shaakh-e-samar tak ham apne hi mausam se parakhte hain jahaan ko maahaul kaa lete hi nahin koi asar tak main apne hi andar ki taraf chikh rahaa huun ab dekhiye jaati hai ye aavaaz kidhar tak"
N
Naeem Sameer