"kuchh anokhe hain khel pyaar ke dekh jiit maqsud ho to haar ke dekh har taraf surkh zard niile phuul ThaaTh ye mausam-e-bahaar ke dekh dard akhtar-shumaari betaabi ye nazaare bhi intizaar ke dekh tu ne naadaan use qubul kiyaa apne kandhon se bojh utaar ke dekh ghair mumkin hai un se chhuTkaaraa silsile jabr-o-ikhtiyaar ke dekh apne rab ko qarib paaegaa tu kisi din use pukaar ke dekh log majbur jubba-saai par shoabde saahib-e-mazaar ke dekh puchhte hain ki kyaa tiri khidmaat kaise nakhre hain ahl-e-daar ke dekh"
mere daataa tire sivaa kyaa ho — Dr. Mohammad Jamal
"mere daataa tire sivaa kyaa ho kisi darbaar se ataa kyaa ho zindagi zindagi jise kahiye us se baDh kar koi balaa kyaa ho jo kiraae ke ghar badalte hain un kaa ik mustaqil pata kyaa ho maan jo tere liye uThaae haath us se baDh kar koi duaa kyaa ho qatl ghaarat-gari-o-Daaka-zani is kaa anjaam ai khudaa kyaa ho main bhi muhtaaj vaqt bhi naadaar phir diyaa kyaa ho aur liyaa kyaa ho bazm mein yuun chale to jaaeinge ye bataao ki muddaaa kyaa ho jab ibaarat hai zindagi is se dard-e-dil ki koi davaa kyaa ho be-rukhi vo barat rahe hain 'jamaal' ibtidaa ye to intihaa kyaa ho"
میرے داتا ترے سوا کیا ہو کسی دربار سے عطا کیا ہو زندگی زندگی جسے کہئے اس سے بڑھ کر کوئی بلا کیا ہو جو کرائے کے گھر بدلتے ہیں ان کا اک مستقل پتہ کیا ہو ماں جو تیرے لئے اٹھائے ہاتھ اس سے بڑھ کر کوئی دعا کیا ہو قتل غارت گری و ڈاکہ زنی اس کا انجام اے خدا کیا ہو میں بھی محتاج وقت بھی نادار پھر دیا کیا ہو اور لیا کیا ہو بزم میں یوں چلے تو جائیں گے یہ بتاؤ کہ مدعا کیا ہو جب عبارت ہے زندگی اس سے درد دل کی کوئی دوا کیا ہو بے رخی وہ برت رہے ہیں جمالؔ ابتدا یہ تو انتہا کیا ہو
मेरे दाता तिरे सिवा क्या हो किसी दरबार से अता क्या हो ज़िंदगी ज़िंदगी जिसे कहिए उस से बढ़ कर कोई बला क्या हो जो किराए के घर बदलते हैं उन का इक मुस्तक़िल पता क्या हो माँ जो तेरे लिए उठाए हाथ उस से बढ़ कर कोई दुआ क्या हो क़त्ल ग़ारत-गरी-ओ-डाका-ज़नी इस का अंजाम ऐ ख़ुदा क्या हो मैं भी मुहताज वक़्त भी नादार फिर दिया क्या हो और लिया क्या हो बज़्म में यूँ चले तो जाएँगे ये बताओ कि मुद्दआ' क्या हो जब इबारत है ज़िंदगी इस से दर्द-ए-दिल की कोई दवा क्या हो बे-रुख़ी वो बरत रहे हैं 'जमाल' इब्तिदा ये तो इंतिहा क्या हो

More by Dr. Mohammad Jamal
View all →"ik vo bhi din the Darte the jab tirgi se ham ghabraa rahe hain aaj bahut raushni se ham jiine ki de rahaa hai du'aa chaaraagar hamein maayus ho gae hain gham-e-zindagi se ham achchhaa huaa ki tu ne hamein ab bhulaa diyaa tang aa gae the yaar tiri dosti se ham ye zindagi hai yaa ki musalsal 'azaab hai do-chaar din guzaar na paae khushi se ham pal bhar mein ulfatein hain to pal bhar mein nafratein kaise nibhaaein husn ki baazigari se ham ummid thi ki de ke sadaa tum bulaaoge guzre the baar baar tumhaari gali se ham vaise hamaare aage masaail hazaar-haa hans hans ke mil rahe hain magar har kisi se ham marne kaa ai 'jamaal' hamein Dar ho kis liye aae the kab jahaan mein kuchh apni khushi se ham"
"ye kahaa sab se dil-e-bimaar ne gham diye hain mujh ko mere yaar ne de diyaa apnaaiyat kaa kuchh subut mere daaman se ulajh kar khaar ne haan khamida ho gai meri kamar bojh itnaa rakh diyaa sarkaar ne kar diyaa maghrur netaa ko bahut desh ki jantaa ki jai-jai-kaar ne kar diyaa afsurda yaa phir shaadmaan ik tire inkaar ne iqraar ne kar diyaa yaad-e-khudaa se be-niyaaz aaj-kal duniyaa ke kaarobaar ne dushmanon ko bhi abhi kaise 'jamaal' meraa shaidaai banaayaa pyaar ne"
"ham taaza-bahaaron kaa paighaam tumhein deinge kuchh khvaab bhi chun chun kar har shaam tumhein deinge jo ghumte phirte hain khush-rang libaason mein khud jurm kareinge aur ilzaam tumhein deinge ik azm-e-safar hai shart aur kufr hai maayusi peDon ke ghane saae aaraam tumhein deinge dharti pe ubharne kaa tum azm karo pahle ham chaand sitaaron kaa inaam tumhein deinge uljhan mein paDe kyon ho tum apni kahaani kaa aaghaaz sunaao to anjaam tumhein deinge ik dhuup mire munh par kyaa pheinki hai zaalim ne vaada thaa ki nazzaare har gaam tumhein deinge haan jazba-e-imaan ki tasdiq to ho pahle vaada hai ki kausar kaa ik jaam tumhein deinge aaya hai parakhne kaa phir vaqt 'jamaal' ik baar auron se na hotaa ho vo kaam tumhein deinge"
"aap ko mujh se mohabbat kaisi aur agar hai to shikaayat kaisi haae saDkon pe ye nange bachche mulk khush-haal to ghurbat kaisi apne zaahid se koi puchhe to ye riyaa-kaar ibaadat kaisi chheDne kaa to nahin huun aadi mere kirdaar pe hairat kaisi be-iraada mire ghar aaiyegaa main na puchhungaa ye fursat kaisi apne shaidaai pe ye zulm-o-sitam jaan-e-jaan aap ki aadat kaisi main huun be-naam saa aavaara saa aap ki mujh pe inaayat kaisi kufr-o-ilhaad se Takraate ho ai 'jamaal' aap ki himmat kaisi sab ko naa-qadri-e-fan kaa hai gila ai 'jamaal' aap ki hurmat kaisi"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"