SHAWORDS

mere dil ki gahraaiyon mein utar — Aleem Saba Navedi

"mere dil ki gahraaiyon mein utar jigar-soz tanhaaiyon mein utar tu apne bayaan ko muallaq na chhoD falak-daar sachchaaiyon mein utar miri nabz-e-izhaar par rakh ke haath tu ehsaas ki ghaaTiyon mein utar siyah niyyaton kaa ufaq chhoD kar mahak-daar achchhaaiyon mein utar koi rukh to dhaaregaa dulhan kaa ruup har ik rukh ki angDaaiyon mein utar 'sabaa' tu liye hauslon ki baraat tajassus ki shahnaaiyon mein utar"
Urdu

میرے دل کی گہرائیوں میں اتر جگر سوز تنہائیوں میں اتر تو اپنے بیاں کو معلق نہ چھوڑ فلک دار سچائیوں میں اتر مری نبض اظہار پر رکھ کے ہاتھ تو احساس کی گھاٹیوں میں اتر سیہ نیتوں کا افق چھوڑ کر مہک دار اچھائیوں میں اتر کوئی رخ تو دھارے گا دولہن کا روپ ہر اک رخ کی انگڑائیوں میں اتر صباؔ تو لئے حوصلوں کی برات تجسس کی شہنائیوں میں اتر

Hindi

मेरे दिल की गहराइयों में उतर जिगर-सोज़ तन्हाइयों में उतर तू अपने बयाँ को मुअ'ल्लक़ न छोड़ फ़लक-दार सच्चाइयों में उतर मिरी नब्ज़-ए-इज़हार पर रख के हाथ तू एहसास की घाटियों में उतर सियह निय्यतों का उफ़क़ छोड़ कर महक-दार अच्छाइयों में उतर कोई रुख़ तो धारेगा दूल्हन का रूप हर इक रुख़ की अंगड़ाइयों में उतर 'सबा' तू लिए हौसलों की बरात तजस्सुस की शहनाइयों में उतर

mere dil kī gahrā.iyoñ meñ utar
Aleem Saba Navedi
Aleem Saba Navedi
Aleem Saba Navedi
poet28 quotes

More by Aleem Saba Navedi

View all →
Quote
"hasratein jalne ki khugar ho gaiin daagh ki samtein munavvar ho gaiin yuun huaa hai tere vaadon kaa zavaal qurbatein majruh jauhar ho gaiin sabz tufaani havaaon kaa julus Tahniyaan be-kaif manzar ho gaiin qatra qatra aasmaani ho gayaa saari nadiyaan jab samundar ho gaiin sirf le de ke jo apne paas thiin vo nigaahein un ki naukar ho gaiin haath mein aaina le kar aaj-kal juratein sab ki sikandar ho gaiin nek-naami aur an-miT shohratein ab 'navedi' kaa muqaddar ho gaiin"
Aleem Saba NavediAleem Saba Navedi
Quote
"apni hatheliyon mein ujaale sameT lo main shab-gazida huun mujhe tum duur pheink do nazron ki rakh ke ungliyaan meri shabon pe tum mere akele-pan kaa zaraa zahr chuus lo sadiyon ko de ke aaya huun kitne nae khayaal meraa bhi naam safha-e-taarikh par likho jitni tavil umr andheron ne paai hai utni tavil hai miri tanhaai naap lo miltaa nahin hai sab ko ye sarmaaya vaqt kaa sochon kaa karb paas sanbhaale hue rakho kitnaa aziim shakhs hai is daur kaa 'sabaa' is ke basit zehn ki taarikh ko paDho"
Aleem Saba NavediAleem Saba Navedi

More on Dil

View all →
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi