SHAWORDS

mere khat kaa javaab bhejeinge — Mahfooz Mohammad

"mere khat kaa javaab bhejeinge kuchh to aali janaab bhejeinge kyaa azaab-o-savaab bhejeinge kuchh to izzat-maaab bhejeinge tum hamein bhi gulaab bhejo na ham tumhein bhi janaab bhejeinge kuchh mohabbat-bhare savaal karo tum ko un kaa javaab bhejeinge apni aankhein khuli hui rakhnaa kuchh suhaane se khvaab bhejeinge us ne bhejaa hai jang-naama hamein ham ghazal ki kitaab bhejeinge tum hamaaraa hisaab kar denaa kuchh puraanaa hisaab bhejeinge tum use muskuraa ke rakh lenaa ham tumhein maahtaab bhejeinge"
Mahfooz Mohammad
Mahfooz Mohammad
Mahfooz Mohammad
poet12 quotes

More on Maa

View all →
Quote
"ye tishna-labi hi to hai uslub hamaaraa taalib hain tire ham tu hai matlub hamaaraa qaasid kaa ravayya bhi baDaa ghaur-talab thaa nai le ke gayaa aakhiri maktub hamaaraa kal shaam sar-e-baam dikhaa chaand jo raushan yaadon se tiri dil huaa maa'tub hamaaraa sarkaar jo kah dein hamein manzur vahi hai har qaul muqaddas tiraa maa'yub hamaaraa sab dair-o-haram dekh liye chhaan liye hain miTtaa hi nahin hai miyaan aashob hamaaraa ab takht-nashinon ko paDhaaeinge sabaq ham ab chhin ke leinge haq-e-maslub hamaaraa"
Abu Hurrairah AbbasiAbu Hurrairah Abbasi
Quote
"ham khaak-nashinon pe tum ilhaami 'ataa ho jaise kisi majzub ki maqbul du'aa ho le aao koi misr se mahbub kaa kurtaa taaki miri aankhon kaa diyaa phir se haraa ho is dhaj se manaane kaa hunar us ko hai haasil main phir se manaaungaa chalo phir se khafaa ho duniyaa mein hasin laakh hain par tum se nahin hain goyaa tumhein qudrat ne bhi fursat mein bunaa ho aao kabhi sahraa mein to ban jaae vo gulshan is mausam-e-naumid mein paighaam-e-ziyaa ho nikle hai du'aa dil se mire ye hi musalsal gunje jo mire ghar mein faqat teri sadaa ho hai un kaa bulaavaa mujhe aise ki ye goyaa sarkaar ke darbaar se ye hukm milaa ho ye chizein zaruri hain takhayyul ko hamaare ik jaam sar-e-shaam ho aur baad-e-sabaa ho kuchh nukta-varon se bhi abhi tai na huaa ye kyaa raaz tumhaaraa hai ki tum kaun ho kyaa ho ai kaash ki mujh ko bhi 'ataa ho vo haqiqat bas main huun miraa yaar ho aur ghaar-e-hiraa ho tum asl mein kyaa ho ye 'ayaan kyon nahin karte sultaan ho mahbub ho but ho yaa khudaa ho"
Abu Hurrairah AbbasiAbu Hurrairah Abbasi
Quote
"zahe nasib ki imkaan-e-zist ab tak hai tumhaaraa hijr hi unvaan-e-zist ab tak hai kise paDi hai jo aa kar sune kahaani miri mire vujud pe bohtaan-e-zist ab tak hai bahut hi didani manzar thaa meri vahshat kaa tabhi se chaak garebaan-e-zist ab tak hai mohabbaton mein azal se sabhi ne gham hi sahaa mohabbaton mein to nuqsaan-e-zist ab tak hai nikaalaa jis ko baghaavat pe thaa qabile ne nahin maraa vo to mehmaan-e-zist ab tak hai kahaan mileinge sanvaareinge ek duuje ko tiri talab mujhe dauraan-e-zist ab tak hai abhi qalam bhi hai baaqi mire ye misre bhi miri to kuTiyaa mein saamaan-e-zist ab tak hai kabhi bhi yaad musibat mein ghair ko na kiyaa miraa khudaa hi nigahbaan-e-zist ab tak hai"
Abu Hurrairah AbbasiAbu Hurrairah Abbasi
Quote
"dusraa ishq miri jaan nahin kar saktaa ye tiraa haafiz-e-quraan nahin kar saktaa aisi haalat mein tire khvaab se lauTaa hai ye jism main abhi vasl kaa saamaan nahin kar saktaa dastaras mein hai miri kaif bhi kaifiyat bhi zakhm bhar kar mujhe hairaan nahin kar saktaa un pe ghaalib hai kai chehron ke ishraak kaa diin tu in aankhon ko musalmaan nahin kar saktaa pahli qiston mein tiri maut nahin ho sakti apne theTar ko mein viraan nahin kar saktaa ye miraa aakhiri patthar hai tiri yaad mein dost ab main paani ko pareshaan nahin kar saktaa"
AalAal
Quote
"chaaron taraf hai phaili hui tirgi to kyaa aati nahin hai ghar mein mire raushni to kyaa har roz zarb dete hain apne nafas ko ham lekin ye chhoDtaa hi nahin kaafiri to kyaa masjid mein ki namaaz adaa phir piye do jaam neki ke saath saath hai thoDi badi to kyaa ai saaqiyaa main jald hi badlungaa mai-kada bujhti nahin hai meri yahaan tishnagi to kyaa itnaa bhi kam hai kyaa ki kiyaa us ne kuchh kalaam kahne ki thi jo baat nahin bhi kahi to kyaa jo chal rahaa hai chalne do un ko nahin khayaal murda-zamir qaum kabhi mar gai to kyaa"
Abu Hurrairah AbbasiAbu Hurrairah Abbasi
Quote
"imroz ki kashti ko Dubone ke liye huun kal aur kisi rang mein hone ke liye huun tu bhi hai faqat apni shahaadat kaa talabgaar main bhi to isi dard mein rone ke liye huun jiine kaa taqaazaa mujhe marne nahin detaa mar kar bhi samajhtaa huun ki hone ke liye huun haathon mein mire chaand bhi lagtaa hai khilaunaa khvaabon mein falak rang samone ke liye huun har baar ye shishe kaa badan TuuT gayaa hai har baar nae ek khilaune ke liye huun pardes ki raaton mein bahut jaag chukaa main ab ghar kaa sukun oDh ke sone ke liye huun siine mein koi zakhm ki khulne ke liye hai aankhon mein koi ashk ki rone ke liye huun saada si koi baat nahin bhuuk shikam ki imaan bhi roTi mein samone ke liye huun vo dasht-o-bayaabaan mein izhaar kaa khvaahaan main apne chaman-zaar mein rone ke liye huun ghaaron kaa safar hai ki mukammal nahin hotaa main apni khabar aap hi Dhone ke liye huun suraj ko nikalne mein zaraa der hai 'ahmad' phir zaat kaa har rang main khone ke liye huun"
Ahmad ShanasAhmad Shanas