SHAWORDS

meri ulfat ko bhi jafaa samjhe — Haatif Aarifi Fatehpuri

"meri ulfat ko bhi jafaa samjhe main ne kyaa samjhaa aap kyaa samjhe us nazar ko nazar kahun kaise pattharon ko jo aaina samjhe thi fazaaon mein vo ghuTan ki log baad-e-sarsar ko bhi sabaa samjhe bhuul baiThaa ho jab khudaa ko bhi aadmi aadmi ko kyaa samjhe bad-gumaan ho gae vo jab mujh se meri har baat ko gila samjhe chain lene diyaa na ik pal ko ai gham-e-dil tujhe khudaa samjhe koi to ho jahaan mein ai 'haatif' mere dil kaa jo maajraa samjhe"
Urdu

میری الفت کو بھی جفا سمجھے میں نے کیا سمجھا آپ کیا سمجھے اس نظر کو نظر کہوں کیسے پتھروں کو جو آئنہ سمجھے تھی فضاؤں میں وہ گھٹن کہ لوگ باد صرصر کو بھی صبا سمجھے بھول بیٹھا ہو جب خدا کو بھی آدمی آدمی کو کیا سمجھے بد گماں ہو گئے وہ جب مجھ سے میری ہر بات کو گلہ سمجھے چین لینے دیا نہ اک پل کو اے غم دل تجھے خدا سمجھے کوئی تو ہو جہاں میں اے ہاتفؔ میرے دل کا جو ماجرا سمجھے

Hindi

मेरी उल्फ़त को भी जफ़ा समझे मैं ने क्या समझा आप क्या समझे उस नज़र को नज़र कहूँ कैसे पत्थरों को जो आइना समझे थी फ़ज़ाओं में वो घुटन कि लोग बाद-ए-सरसर को भी सबा समझे भूल बैठा हो जब ख़ुदा को भी आदमी आदमी को क्या समझे बद-गुमाँ हो गए वो जब मुझ से मेरी हर बात को गिला समझे चैन लेने दिया न इक पल को ऐ ग़म-ए-दिल तुझे ख़ुदा समझे कोई तो हो जहाँ में ऐ 'हातिफ़' मेरे दिल का जो माजरा समझे

merī ulfat ko bhī jafā samjhe
Haatif Aarifi Fatehpuri
Haatif Aarifi Fatehpuri
Haatif Aarifi Fatehpuri
poet21 quotes

More by Haatif Aarifi Fatehpuri

View all →
Quote
"qaatil yahaan pe bhaai kaa bhaai hai dosto duniyaa ye kaise moD pe aai hai dosto mehr-o-vafaa se ab hamein raghbat nahin rahi mahfil kuduraton ki sajaai hai dosto luTne pe ghar hamaaraa vo aise hain mutmain ummid un ki jaise bar aai hai dosto rakkhun jo dil mein baat to ghuTtaa hai meraa dam kaise bataaun baat paraai hai dosto daagh-e-jigar chhupaa ke na rakkhun to kyaa karun un se yahi nishaani to paai hai dosto har qism ki buraai se bachnaa hai laazmi chhoTi ho yaa baDi ho buraai hai dosto har she'r mein hai ek haqiqat chhupi hui 'haatif' ne ye ghazal jo sunaai hai dosto"
Haatif Aarifi FatehpuriHaatif Aarifi Fatehpuri
Quote
"kal bhi jale the dhuup mein jalte hain aaj bhi ham log sach ki raah pe chalte hain aaj bhi kal bhi miraa vajud thaa dushman ko naagavaar kuchh log mere naam se jalte hain aaj bhi hujre dilon ke kis liye taarik ho gae taare to aasmaan pe nikalte hain aaj bhi un ki rafaaqaton pe karein kaise eatibaar rukh dekh kar havaa kaa badalte hain aaj bhi dushman mile the pahle bhi apnon ke ruup mein kuchh saanp aastin mein palte hain aaj bhi insaan ke dukh pe aankh kyon insaan ki nam nahin go chashme pattharon se ubalte hain aaj bhi"
Haatif Aarifi FatehpuriHaatif Aarifi Fatehpuri

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil