SHAWORDS

dil-o-dimaagh hai ab kis ko zindagaani kaa — Meer Taqi Meer

HomeMeer Taqi MeerGhazal
"dil-o-dimaagh hai ab kis ko zindagaani kaa jo koi dam hai to afsos hai javaani kaa agarche umr ke das din ye lab rahe khaamosh sukhan rahegaa sadaa meri kam-zabaani kaa subuk hai aave jo mindil rakh namaaz ko shaikh rahaa hai kaun saa ab vaqt sargiraani kaa hazaar jaan se qurbaan be-pari ke hain khayaal bhi kabhu guzraa na par-fishaani kaa phire hai khinche hi talvaar mujh pe har-dam to ki said huun main tiri dushmani jaani kaa numud kar ke vahin bahr-e-gham mein baiTh gayaa kahe to 'mir' bhi ik bulbulaa thaa paani kaa"
Meer Taqi Meer
Meer Taqi Meer
Meer Taqi Meer
poet309 quotes

More by Meer Taqi Meer

View all →
Quote
"misaal-e-saaya mohabbat mein jaal apnaa huun tumhaare saath giraftaar-e-haal apnaa huun sarishk-e-surkh ko jaataa huun jo piye har-dam lahu kaa pyaasaa alal-ittisaal apnaa huun agarche nashsha huun sab mein khum-e-jahaan mein lek ba-rang-e-mai araq-e-infiaal apnaa huun miri numud ne mujh ko kiyaa baraabar khaak main naqsh-e-paa ki tarah paaemaal apnaa huun hui hai zindagi dushvaar mushkil aasaan kar phirun chalun to huun par main vabaal apnaa huun tiraa hai vahm ki ye naa-tavaan hai jaame mein vagarna main nahin ab ik khayaal apnaa huun balaa hui hai miri go kaa tab-e-raushan 'mir' huun aaftaab va-lekin zavaal apnaa huun"
Meer Taqi MeerMeer Taqi Meer
Quote
"kyaa main bhi pareshaani-e-khaatir se qarin thaa aankhein to kahin thiin dil-e-gham-dida kahin thaa kis raat nazar ki hai su-e-chashmak-e-anjum aankhon ke tale apne to vo maah-jabin thaa aayaa to sahi vo koi dam ke liye lekin honTon pe mire jab nafas-e-baaz-pusin thaa ab koft se hijraan ki jahaan tan pe rakhaa haath jo dard-o-alam thaa so kahe tu ki vahin thaa jaanaa nahin kuchh juz ghazal aa kar ke jahaan mein kal mere tasarruf mein yahi qit'a zamin thaa naam aaj koi yaan nahin letaa hai unhon kaa jin logon ke kal mulk ye sab zer-e-nagin thaa masjid mein imaam aaj huaa aa ke vahaan se kal tak to yahi 'mir' kharaabaat-nashin thaa"
Meer Taqi MeerMeer Taqi Meer
Quote
"shauq hai to hai us kaa ghar nazdik duri-e-rah hai raahbar nazdik aah karne mein dam ko saadhe rah kahte hain dil se hai jigar nazdik duur vaalon ko bhi na pahunche ham yahi na tum se hain magar nazdik Dubein dariyaa-o-koh-o-shahr-o-dasht tujh se sab kuchh hai chashm-e-tar nazdik harf duuri hai garche inshaa lek diijo khat jaa ke naama-bar nazdik duur ab baiThte hain majlis mein ham jo tum se the beshtar nazdik khabar aati hai so bhi duur se yaan aao yak-baar be-khabar nazdik tosha-e-aakhirat kaa fikr rahe ji se jaane kaa hai safar nazdik daur phirne kaa ham se vaqt gayaa puchh kuchh haal baiTh kar nazdik mar bhi rah 'mir' shab bahut royaa hai miri jaan ab sahar nazdik"
Meer Taqi MeerMeer Taqi Meer
Quote
"dil ke maamure ki mat kar fikr fursat chaahiye aise viraane ke ab basne ko muddat chaahiye ishq-o-mai-khvaari nibhe hai koi darveshi ke biich is tarah ke kharj-e-laa-haasil ko daulat chaahiye 'aaqibat farhaad mar kar kaam apnaa kar gayaa aadmi hove kisi peshe mein jurat chaahiye ho taraf mujh pahlvaan shaa'ir kaa kab 'aajiz sukhan saamne hone ko saahab fan ke qudrat chaahiye 'ishq mein vasl-o-judaai se nahin kuchh guftugu qurb-o-buad us jaa baraabar hai mohabbat chaahiye naazuki ko 'ishq mein kyaa dakhl hai ai bul-havas yaan sa'ubat khinchne ko ji mein taaqat chaahiye tang mat ho ibtidaa-e-aashiqi mein is qadar khairiyat hai 'mir' saahib dil salaamat chaahiye"
Meer Taqi MeerMeer Taqi Meer
Quote
"lakht-e-jigar to apne yak-lakht ro chukaa thaa ashk-e-faqat kaa jhamkaa aankhon se lag rahaa thaa daaman mein aaj dekhaa phir lakht main le aayaa TukDaa koi jigar kaa palkon mein rah gayaa thaa us qaid-e-jeb se main chhoTaa junun ki daulat varna galaa ye meraa juun tauq mein phansaa thaa musht-e-namak ki khaatir is vaaste huun hairaan kal zakhm-e-dil nihaayat dil ko mire lagaa thaa ai gard-baad mat de har aan arz-e-vahshat main bhi kasu zamaane is kaam mein balaa thaa bin kuchh kahe sunaa hai aalam se main ne kyaa kyaa par tu ne yuun na jaanaa ai bevafaa ki kyaa thaa roti hai shama itnaa har shab ki kuchh na puchho main soz-e-dil ko apne majlis mein kyuun kahaa thaa shab zakhm-e-sina uupar chhiDkaa thaa main namak ko naasur to kahaan thaa zaalim baDaa maza thaa sar maar kar huaa thaa main khaak us gali mein siine pe mujh ko us kaa mazkur naqsh-e-paa thaa so bakht-e-tira se huun paamaali-e-sabaa mein us din ke vaaste main kyaa khaak mein milaa thaa ye sar-guzasht meri afsaana jo hui hai mazkur us kaa us ke kuche mein jaa-ba-jaa thaa sun kar kisi se vo bhi kahne lagaa thaa kuchh kuchh be-dard kitne bole haan us ko kyaa huaa thaa kahne lagaa ki jaane meri balaa azizaan ahvaal thaa kisi kaa kuchh main bhi sun liyaa thaa aankhein miri khulin jab ji 'mir' kaa gayaa tab dekhe se us ko varna meraa bhi ji jalaa thaa"
Meer Taqi MeerMeer Taqi Meer
Quote
"kahaan tak ghair jaasusi ke lene ko lagaa aave ilaahi is balaa-e-naa-gahaan par bhi balaa aave rukaa jaataa hai ji andar hi andar aaj garmi se balaa se chaak hi ho jaave siina Tuk havaa aave tiraa aanaa hi ab markuz hai ham ko dam-e-aakhir ye ji sadqe kiyaa thaa phir na aave tan mein yaa aave ye rasm-e-aamad-o-raft-e-dayaar-e-ishq taaza hai hansi vo jaae meri aur ronaa yuun chalaa aave asiri ne chaman se meri dil-garmi ko dho Daalaa vagarna barq jaa kar aashiyaan meraa jalaa aave umid-e-rahm un se sakht naa-fahmi hai aashiq ki ye but sangin-dili apni na chhoDein gar khudaa aave ye fann-e-ishq hai aave use tinat mein jis ki ho tu zaahid-e-pir-e-naa-baaligh hai be tah tujh ko kyaa aave hamaare dil mein aane se takalluf gham ko bejaa hai ye daulat-khaana hai us kaa vo jab chaahe chalaa aave ba-rang-e-bu-e-ghuncha umr ik hi rang mein guzre mayassar 'mir'-saahib gar dil be-muddaaa aave"
Meer Taqi MeerMeer Taqi Meer

More on Sad

View all →
Quote
"ham khaak-nashinon pe tum ilhaami 'ataa ho jaise kisi majzub ki maqbul du'aa ho le aao koi misr se mahbub kaa kurtaa taaki miri aankhon kaa diyaa phir se haraa ho is dhaj se manaane kaa hunar us ko hai haasil main phir se manaaungaa chalo phir se khafaa ho duniyaa mein hasin laakh hain par tum se nahin hain goyaa tumhein qudrat ne bhi fursat mein bunaa ho aao kabhi sahraa mein to ban jaae vo gulshan is mausam-e-naumid mein paighaam-e-ziyaa ho nikle hai du'aa dil se mire ye hi musalsal gunje jo mire ghar mein faqat teri sadaa ho hai un kaa bulaavaa mujhe aise ki ye goyaa sarkaar ke darbaar se ye hukm milaa ho ye chizein zaruri hain takhayyul ko hamaare ik jaam sar-e-shaam ho aur baad-e-sabaa ho kuchh nukta-varon se bhi abhi tai na huaa ye kyaa raaz tumhaaraa hai ki tum kaun ho kyaa ho ai kaash ki mujh ko bhi 'ataa ho vo haqiqat bas main huun miraa yaar ho aur ghaar-e-hiraa ho tum asl mein kyaa ho ye 'ayaan kyon nahin karte sultaan ho mahbub ho but ho yaa khudaa ho"
Abu Hurrairah AbbasiAbu Hurrairah Abbasi
Quote
"jaane se tere mujh pe ye kaisaa asar paDaa sadiyon kaa jaise ho koi viraan ghar paDaa qissa kai sadi kaa phir aankhon mein aa gayaa gaanv ke raaste pe jo buDhaa shajar paDaa sunte hain chaand taare hain puure 'uruj par hujre mein aasmaan magar be-khabar paDaa ik saanahe ne mujh se liyaa chhin mujh ko yuun khud ko bhi DhunDhnaa mujhe phir dar-ba-dar paDaa itni tavil thi shab-e-yaldaa ki jis ke baa'd aakhir pe daura dil kaa hi vaqt-e-sahar paDaa kyaa kyaa sunaaein dil kaa hai ye qissa mukhtasar dahliz-e-yaar par rahaa hai 'umr bhar paDaa"
Abu Hurrairah AbbasiAbu Hurrairah Abbasi
Quote
"jab bhi taqdir kaa halkaa saa ishaara hogaa aasmaan par kahin meraa bhi sitaara hogaa dushmani niind se kar ke huun pashemaani mein kis tarah ab mire khvaabon kaa guzaara hogaa muntazir jis ke liye ham hain kai sadiyon se jaane kis daur mein vo shakhs hamaaraa hogaa main ne palkon ko chamakte hue dekhaa hai abhi aaj aankhon mein koi khvaab tumhaaraa hogaa dil parastaar nahin apnaa pujaari bhi nahin devtaa koi bhalaa kaise hamaaraa hogaa tez-rau apne qadam ho gae patthar kaise kaun hai kis ne mujhe aise pukaaraa hogaa"
Aalok ShrivastavAalok Shrivastav
Quote
"meri palkon ki dahliz par is tarah mere ashkon na tum jagmagaate raho kaifiyat dil ki zaahir kisi par na ho gham khushi ki jhalak mein chhupaate raho Dagmagaane na do hauslon ke qadam apni himmat kaa rakhnaa hai tum ko bharam bijliyaan aashiyaana jalaati rahein tum nayaa aashiyaana banaate raho kar dein viraan na ye amn ki bastiyaan bughz-o-nafrat ki ye sar-phiri aandhiyaan in ko rakhnaa hai tum ko jo auqaat mein tum charaagh-e-mohabbat jalaate raho kyaa khabar kyaa hain aisi bhi majburiyaan baDh gaiin khuni rishton mein bhi duriyaan dosto ye taqaazaa hai haalaat kaa duriyaan tum dilon ki miTaate raho sar kaTe yaa rahe is kaa gham na karo zulm ke saamne tum kahin na jhuko jo ghalat hai tum us ki mazammat karo aur aavaaz-e-haq bhi uThaate raho ji lo khud ke liye kuchh nahin faaeda zindagi kaa hai 'aalam' yahi qaa'eda maqsad-e-zindagi hogaa haasil tumhein dusron ke sadaa kaam aate raho"
Aalam NizamiAalam Nizami
Quote
"chupke chupke yaad ye kis ki aai hai dard mein Duubi aaj miri tanhaai hai jis ne kiyaa barbaad hamaare gulshan ko ghair nahin hai vo apnaa hi bhaai hai kaun hai apnaa kaun paraayaa kaisi vafaa sach kahne mein apni hi rusvaai hai apni gharaz ke bande hain sab log yahaan sab kaa maqsad jag mein khud-aaraai hai kis ki hui hai jo teri meri hogi ye duniyaa to yug yug se harjaai hai lauT ke pichhe jaanaa bhi hai naa-mumkin aage dushman pichhe gahri khaai hai unchi unchi baatein kyon kartaa hai 'majid' sasti shohrat kaa tu bhi shaidaai hai"
Abdul Majeed Khan MajeedAbdul Majeed Khan Majeed