Quote
"zahe zinda-dili gham ki gul-afshaani nahin jaati kuchh aise ashk bhi hain jin ki taabaani nahin jaati talaatum-khez maujon kaa talaatum tham gayaa lekin jo barpaa hai kinaaron par vo tughyaani nahin jaati mire rahbar mujhe ye kaun-si manzil pe le aae ki mujh se surat-e-manzil bhi pahchaani nahin jaati hazaaron aashiyaane phunk Daale sehn-e-gulshan mein magar barq-e-sitam ki shoala-afshaani nahin jaati pilaataa hi rahaa saaqi hamein tu zahr ke saaghar tire rindon ki phir bhi rind-saamaani nahin jaati na jaane kyaa huaa 'armaan' asar apni duaaon kaa duaaein karte hain lekin pareshaani nahin jaati"
