SHAWORDS

miraa raaz-e-dil aashkaaraa nahin — Meer Anees

HomeMeer AneesGhazal
"miraa raaz-e-dil aashkaaraa nahin vo dariyaa huun jis kaa kinaaraa nahin vo gul huun judaa sab se hai jis kaa rang vo bu huun ki jo aashkaaraa nahin vo paani huun shirin nahin jis mein shor vo aatish huun jis mein sharaara nahin bahut zaal-e-duniyaa ne diin baaziyaan main vo naujavaan huun jo haaraa nahin jahannam se ham be-qaraaron ko kyaa jo aatish pe Thahre vo paaraa nahin faqiron ki majlis hai sab se judaa amiron kaa yaan tak guzaaraa nahin sikandar ki khaatir bhi hai sadd-e-baab jo daaraa bhi ho to madaaraa nahin kisi ne tiri tarah se ai 'anis' urus-e-sukhan ko sanvaaraa nahin"
Urdu

مرا راز دل آشکارا نہیں وہ دریا ہوں جس کا کنارا نہیں وہ گل ہوں جدا سب سے ہے جس کا رنگ وہ بو ہوں کہ جو آشکارا نہیں وہ پانی ہوں شیریں نہیں جس میں شور وہ آتش ہوں جس میں شرارہ نہیں بہت زال دنیا نے دیں بازیاں میں وہ نوجواں ہوں جو ہارا نہیں جہنم سے ہم بے قراروں کو کیا جو آتش پہ ٹھہرے وہ پارا نہیں فقیروں کی مجلس ہے سب سے جدا امیروں کا یاں تک گزارا نہیں سکندر کی خاطر بھی ہے سد باب جو دارا بھی ہو تو مدارا نہیں کسی نے تری طرح سے اے انیسؔ عروس سخن کو سنوارا نہیں

Hindi

मिरा राज़-ए-दिल आश्कारा नहीं वो दरिया हूँ जिस का किनारा नहीं वो गुल हूँ जुदा सब से है जिस का रंग वो बू हूँ कि जो आश्कारा नहीं वो पानी हूँ शीरीं नहीं जिस में शोर वो आतिश हूँ जिस में शरारा नहीं बहुत ज़ाल-ए-दुनिया ने दीं बाज़ियाँ मैं वो नौजवाँ हूँ जो हारा नहीं जहन्नम से हम बे-क़रारों को क्या जो आतिश पे ठहरे वो पारा नहीं फ़क़ीरों की मज्लिस है सब से जुदा अमीरों का याँ तक गुज़ारा नहीं सिकंदर की ख़ातिर भी है सद्द-ए-बाब जो दारा भी हो तो मदारा नहीं किसी ने तिरी तरह से ऐ 'अनीस' उरूस-ए-सुख़न को सँवारा नहीं

mirā rāz-e-dil āshkārā nahīñ
Meer Anees
Meer Anees
Meer Anees
poet22 quotes

More by Meer Anees

View all →
Quote
"ishaare kyaa nigah-e-naaz-e-dil-rubaa ke chale sitam ke tiir chale nimche qazaa ke chale gunah kaa bojh jo gardan pe ham uThaa ke chale khudaa ke aage khajaalat se sar jhukaa ke chale talab se aar hai allaah se faqiron ko kahin jo ho gayaa pheraa sadaa sunaa ke chale pukaare kahti thi hasrat se naash aashiq ki sanam kidhar ko hamein khaak mein milaa ke chale misaal-e-maahi-e-be-aab maujein taDpaa kiin habaab phuuT ke roe jo tum nahaa ke chale maqaam yuun huaa is kaar-gaah-e-duniyaa mein ki jaise din ko musaafir saraa mein aa ke chale kisi kaa dil na kiyaa ham ne paaemaal kabhi chale jo raah to chyunTi ko bhi bachaa ke chale milaa jinhein unhein uftaadgi se auj milaa unhin ne khaai hai Thokar jo sar uThaa ke chale 'anis' dam kaa bharosa nahin Thahar jaao charaagh le ke kahaan saamne havaa ke chale"
Meer AneesMeer Anees
Quote
"khud naved-e-zindagi laai qazaa mere liye sham-e-kushta huun fanaa mein hai baqaa mere liye zindagi mein to na ik dam khush kiyaa hans bol kar aaj kyuun rote hain mere aashnaa mere liye kunj-e-uzlat mein misaal-e-aasiyaa huun gosha-gir rizq pahunchaataa hai ghar baiThe khudaa mere liye tu saraapaa ajr ai zaahid main sar-taa-paa gunaah baagh-e-jannat teri khaatir karbalaa mere liye naam raushan kar ke kyunkar bujh na jaataa misl-e-shama naa-muvaafiq thi zamaane ki havaa mere liye har nafas aaina-e-dil se ye aati hai sadaa khaak tu ho jaa to haasil ho jilaa mere liye khaak se hai khaak ko ulfat taDaptaa huun 'anis' karbalaa ke vaaste main karbalaa mere liye"
Meer AneesMeer Anees
Quote
"shahid-e-ishq hue qais naamvar ki tarah jahaan mein aib bhi ham ne kiye hunar ki tarah kuchh aaj shaam se chehra hai faq sahar ki tarah Dhalaa hi jaataa huun furqat mein dopahar ki tarah siyaah-bakhton ko yuun baagh se nikaal ai charkh ki chaar phuul to daaman mein hon sipar ki tarah tamaam khalq hai khvaahaan-e-aabru ai rab chhupaa mujhe sadaf-e-qabr mein guhar ki tarah tujhi ko dekhungaa jab tak hain barqaraar aankhein miri nazar na phiregi tiri nazar ki tarah hamaari qabr pe kyaa ehtiyaaj-e-ambar-o-ud sulag rahaa hai har ik ustukhvaan agar ki tarah nahif-o-zaar hain kyaa zor baaghbaan se chale jahaan biThaa diyaa bas rah gae shajar ki tarah tumhaare halqa-ba-goshon mein ek ham bhi hain paDaa rahe ye sukhan kaan mein guhar ki tarah 'anis' yuun huaa haal-e-javaani-o-piri baDhe the nakhl ki surat gire samar ki tarah"
Meer AneesMeer Anees
Quote
"ibtidaa se ham zaiif o naa-tavaan paidaa hue uD gayaa jab rang rukh se ustukhvaan paidaa hue khaaksaari ne dikhaain rifaton par rifatein is zamin se vaah kyaa kyaa aasmaan paidaa hue ilm khaaliq kaa khazaana hai miyaan-e-kaaf-o-nun ek kun kahne se ye kaun-o-makaan paidaa hue zabt dekho sab ki sun li aur kuchh apni kahi is zabaan-daani par aise be-zabaan paidaa hue shor-bakhti aai hisse mein unhin ke vaa nasib talkh-kaami ke liye shirin-zabaan paidaa hue ehtiyaat-e-jism kyaa anjaam ko socho 'anis' khaak hone ko ye musht-e-ustukhvaan paidaa hue"
Meer AneesMeer Anees
Quote
"sadaa hai fikr-e-taraqqi buland-binon ko ham aasmaan se laae hain in zaminon ko paDhein durud na kyuun dekh kar hasinon ko khayaal-e-sanat-e-saane hai paak-binon ko kamaal-e-faqr bhi shaayaan hai paak-binon ko ye khaak takht hai ham boriyaa-nashinon ko lahad mein soe hain chhoDaa hai shah-nashinon ko qazaa kahaan se kahaan le gai makinon ko ye jhurriyaan nahin haathon pe zoaf-e-piri ne chunaa hai jaama-e-asli ki aastinon ko lagaa rahaa huun mazaamin-e-nau ke phir ambaar khabar karo mire khirman ke khosha-chinon ko bhalaa taraddud-e-bejaa se un mein kyaa haasil uThaa chuke hain zamindaar jin zaminon ko unhin ko aaj nahin baiThne ki jaa milti muaaf karte the jo log kal zaminon ko ye zaairon ko milin sarfaraaziyaan varna kahaan nasib ki chumein malak jabinon ko sajaayaa ham ne mazaamin ke taaza phulon se basaa diyaa hai in ujDi hui zaminon ko lahad bhi dekhiye in mein nasib ho ki na ho ki khaak chhaan ke paayaa hai jin zaminon ko zavaal-e-taaqat o mu-e-sapid o zof-e-basar inhin se paae bashar maut ke qarinon ko nahin khabar unhein miTTi mein apne milne ki zamin mein gaaD ke baiThe hain jo dafinon ko khabar nahin unhein kyaa badobast-e-pukhta ki jo ghasb karne lage ghair ki zaminon ko jahaan se uTh gae jo log phir nahin milte kahaan se DhunD ke ab laaein ham-nashinon ko nazar mein phirti hai vo tirgi o tanhaai lahad ki khaak hai surma maaal-bainon ko khayaal-e-khaatir-e-ahbaab chaahiye har dam 'anis' Thes na lag jaae aabginon ko"
Meer AneesMeer Anees
Quote
"koi aniis koi aashnaa nahin rakhte kisi ki aas baghair az khudaa nahin rakhte kisi ko kyaa ho dilon ki shikastagi ki khabar ki TuTne mein ye shishe sadaa nahin rakhte faqir dost jo ho ham ko sarfaraaz kare kuchh aur farsh ba-juz boriyaa nahin rakhte musaafiro shab-e-avval bahut hai tiira o taar charaagh-e-qabr abhi se jalaa nahin rakhte vo log kaun se hain ai khudaa-e-kaun-o-makaan sukhan se kaan ko jo aashnaa nahin rakhte musaafiraan-e-adam kaa pata mile kyunkar vo yuun gae ki kahin naqsh-e-paa nahin rakhte tap-e-darun gham-e-furqat varam-e-payaada-ravi maraz to itne hain aur kuchh davaa nahin rakhte khulegaa haal unhein jab ki aankh band hui jo log ulfat-e-mushkil-kushaa nahin rakhte jahaan ki lazzat o khvaahish se hai bashar kaa khamir vo kaun hain ki jo hirs-o-havaa nahin rakhte 'anis' bech ke jaan apni hind se niklo jo tosha-e-safar-e-karbalaa nahin rakhte"
Meer AneesMeer Anees

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari