SHAWORDS

mubtalaa-e-itaab hain ham log — Basheeruddin Raaz

"mubtalaa-e-itaab hain ham log ik asir-e-azaab hain ham log apne dil ko itaab hain ham log khud saraasar azaab hain ham log apni barbaadi apne haathon ki kaise khaana-kharaab hain ham log apnaa koi bhi to javaab nahin khud hi apne javaab hain ham log kaash naakaamiyaan hon pai-dar-pai samjho ki kaamyaab hain ham log kah rahi hai jinhein buraa duniyaa vo hi khaana-kharaab hain ham log apni manzil se ham palaT aae aise gumraah janaab hain ham log aaj duniyaa ke saamne ai 'raaz' dam-ba-khud laa-javaab hain ham log"
Urdu

مبتلائے عتاب ہیں ہم لوگ اک اسیر عذاب ہیں ہم لوگ اپنے دل کو عتاب ہیں ہم لوگ خود سراسر عذاب ہیں ہم لوگ اپنی بربادی اپنے ہاتھوں کی کیسے خانہ خراب ہیں ہم لوگ اپنا کوئی بھی تو جواب نہیں خود ہی اپنے جواب ہیں ہم لوگ کاش ناکامیاں ہوں پے در پے سمجھو کہ کامیاب ہیں ہم لوگ کہہ رہی ہے جنہیں برا دنیا وہ ہی خانہ خراب ہیں ہم لوگ اپنی منزل سے ہم پلٹ آئے ایسے گمراہ جناب ہیں ہم لوگ آج دنیا کے سامنے اے رازؔ دم بخود لا جواب ہیں ہم لوگ

Hindi

मुब्तला-ए-इ'ताब हैं हम लोग इक असीर-ए-अज़ाब हैं हम लोग अपने दिल को इ'ताब हैं हम लोग ख़ुद सरासर अज़ाब हैं हम लोग अपनी बर्बादी अपने हाथों की कैसे ख़ाना-ख़राब हैं हम लोग अपना कोई भी तो जवाब नहीं ख़ुद ही अपने जवाब हैं हम लोग काश नाकामियाँ हों पै-दर-पै समझो कि कामयाब हैं हम लोग कह रही है जिन्हें बुरा दुनिया वो ही ख़ाना-ख़राब हैं हम लोग अपनी मंज़िल से हम पलट आए ऐसे गुमराह जनाब हैं हम लोग आज दुनिया के सामने ऐ 'राज़' दम-ब-ख़ुद ला-जवाब हैं हम लोग

mubtalā-e-itāb haiñ ham log
B
Basheeruddin Raaz
Basheeruddin Raaz
poet12 quotes

More by Basheeruddin Raaz

View all →
Quote
"dil jo ummid-vaar hotaa hai tir-e-gham kaa shikaar hotaa hai jab tiraa intizaar hotaa hai dil miraa be-qaraar hotaa hai ye hi fasl-e-junun ki hai tamhid pairahan taar taar hotaa hai aankh milte hi us sitamgar se tiir siine ke paar hotaa hai muskuraahaT labon pe hai un ke dil miraa ashk-baar hotaa hai us kaa karte hain e'tibaar ki jo qaabil-e-e'tibaar hotaa hai uTh ke pahlu se jaa rahaa hai koi kyaa ye parvardigaar hotaa hai kyaa bataaun tiri judaai mein jo miraa haal-e-zaar hotaa hai shaam-e-gham intizaar mein un ke maut kaa intizaar hotaa hai un ke jaane kaa naam sun kar 'raaz' kuchh ajab haal-e-zaar hotaa hai"
B
Basheeruddin Raaz
Quote
"kahaan hai apni manzil aur kise manzil samajhte hain na itnaa hosh hai ham ko na ye ai dil samajhte hain mohabbat mein kise aasaan kise mushkil samajhte hain na itni hai samajh ham mein na ye ai dil samajhte hain shab-e-gham ki musibat mein hamaare kaam aataa hai khayaal-e-yaar ko ham mehrbaan-e-dil samajhte hain talaash-e-yaar mein kyon dar-ba-dar ki khaak ham chhaanein ham apne khaana-e-dil ko tiri manzil samajhte hain tumhaare husn-e-dilkash par miTe jaate hain divaane na jaan ko jaan samajhte hain na dil ko dil samajhte hain kuchh aisi raushni hoti hai un ki shaam-e-furqat mein ham apne dil ke daaghon ko mah-e-kaamil samajhte hain"
B
Basheeruddin Raaz
Quote
"jalvon kaa un ke dil ko talab-gaar kar diyaa ai shauq kis balaa mein giraftaar kar diyaa ik ho gayaa izaafa miri zindagi mein aur tum ne jo dil ko maail-e-aazaar kar diyaa dil ki mujhe khabar hai na dil ko miri khabar milte hi aankh kyaa nigah-e-yaar kar diyaa dil-bastagi ke vaaste dil ko lagaayaa thaa ummid hasraton ne ik aazaar kar diyaa rakh li junun ne baat miri un ke saamne har aable se khaar numudaar kar diyaa hain sakhtiyaan baDhi hui zindaan mein aaj-kal do-gaam chalnaa bhi mujhe dushvaar kar diyaa ye kaisaa rog dil ko lagaa intizaar kaa aankhon ko un kaa taalib-e-didaar kar diyaa kis ne karam kiyaa ye mire haal-e-zaar par is be-khudi-e-ishq se hoshyaar kar diyaa main ne chhupaayaa laakh magar ashk-e-gham ne aah ai 'raaz' raaz-e-shauq kaa izhaar kar diyaa"
B
Basheeruddin Raaz
Quote
"agar mujh se miri kuchh aatish-e-gham kam nahin hoti koi tadbir tujh se bhi to chashm-e-nam nahin hoti buraa ho sozish-e-dil kaa buraa ho soz-e-furqat kaa lagi hai aag vo dil mein kabhi jo kam nahin hoti tasavvur ho kisi kaa dil mein yaa raatein judaai ki khalish teri kabhi ai soz-e-furqat kam nahin hoti but-e-kaafir-adaa tujh se tiri tasvir achchhi hai miri rudaad-e-gham sun kar kabhi barham nahin hoti chalein baad-e-khizaan ke raat-din jhonke gulistaan mein mohabbat vo kali hai jis ki khushbu kam nahin hoti karun to kyaa karun tadbir main is soz-e-furqat ki bujhaane par bhi meri aatish-e-gham kam nahin hoti taDapnaa dekhti rahti hai meraa 'raaz' furqat mein shab-e-gham tu bhi qismat se miri hamdam nahin hoti"
B
Basheeruddin Raaz
Quote
"jab majmaa-e-khubaan hotaa hai divaane bahut ho jaate hain jab shama-e-tajalli raushan ho parvaane bahut ho jaate hain parvaane TuuT ke girte hain parvaane bahut ho jaate hain jab chaand gahan se khultaa hai divaane bahut ho jaate hain kahte hue main kuchh Dartaa huun rudaad-e-mohabbat ko apni duniyaa-e-mohabbat mein aise afsaane bahut ho jaate hain kyon husn pe vo maghrur na hon is husn-e-javaani mein apni divaanon ki parvaa kaun kare divaane bahut ho jaate hain har samt ghaTaa chhaa jaati hai har shai se barasti hai masti jab abr-e-karam chhaa jaataa hai mastaane bahut ho jaate hain mai-kash ke liye shisha na sahi saaghar na sahi miinaa na sahi piine kaa iraada jab kar le paimaane bahut ho jaate hain aaraaish-e-mahfil ho ki na ho saamaan-e-tarab kuchh ho ki na ho jab sham-e-mohabbat jalti hai parvaane bahut ho jaate hain jab kaali ghaTaaein chhaati hain aur jaam ko gardish hoti hai piine ke liye maikhaane mein mastaane bahut ho jaate hain ai josh-e-junun vo haal bataa vo dekh ke vahshi khud hi kahein kahne ke liye to ulfat mein divaane bahut ho jaate hain vo pahlu mein jis dam hote hain ik be-khudi taari hoti hai kyaa haal kahein is haal se ham begaane bahut ho jaate hain ham is ki haqiqat ko ab tak aasaan samajhte the lekin ai 'raaz' ye raaz-e-husn hai kyaa divaane bahut ho jaate hain"
B
Basheeruddin Raaz

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud