"vo mire shaana-ba-shaana bhi to ho saktaa hai ye safar meraa suhaanaa bhi to ho saktaa hai ye zaruri to nahin qasd-e-safar manzil ho muddaaa khaak uDaanaa bhi to ho saktaa hai itni shiddat se na kar yaad mire dil us ko ki abhi us ko bhulaanaa bhi to ho saktaa hai jang mein sab kahaan shamshir-zani karte hain kaam laashon ko uThaanaa bhi to ho saktaa hai is mein kuchh aayatein dozakh ki bhi shaamil kar lo baaz logon ko Daraanaa bhi to ho saktaa hai dil ko zakhmon se zaraa aur sajaa lo 'abbaas' ye use jaa ki dikhaanaa bhi to ho saktaa hai"
mujh se thoDaa saa bhi bezaar nahin ho sakti — Amaan Abbas
"mujh se thoDaa saa bhi bezaar nahin ho sakti zindagi meri taraf-daar nahin ho sakti kab talak aur chamaknaa hai sitaaron ko vahaan kyaa yahaan par kabhi bauchhaar nahin ho sakti diin ko ghaib ki zanjir se jakDe rahnaa kyunki duniyaa to giraftaar nahin ho sakti nae sayyaaron ke milne pe khushi hoti hai ye zamin to miraa ghar-baar nahin ho sakti jang darpesh ik aisi hai mujhe jis ke liye ummat-e-muslima tayyaar nahin ho sakti aisi baarish se miraa jism bahal saktaa hai par miri ruuh to sarshaar nahin ho sakti ek paighaam ki bhijvaane mein itne vaqfe kyaa yahi baat lagaataar nahin ho sakti"
مجھ سے تھوڑا سا بھی بیزار نہیں ہو سکتی زندگی میری طرف دار نہیں ہو سکتی کب تلک اور چمکنا ہے ستاروں کو وہاں کیا یہاں پر کبھی بوچھار نہیں ہو سکتی دین کو غیب کی زنجیر سے جکڑے رہنا کیونکہ دنیا تو گرفتار نہیں ہو سکتی نئے سیاروں کے ملنے پہ خوشی ہوتی ہے یہ زمیں تو مرا گھر بار نہیں ہو سکتی جنگ درپیش اک ایسی ہے مجھے جس کے لیے امت مسلمہ تیار نہیں ہو سکتی ایسی بارش سے مرا جسم بہل سکتا ہے پر مری روح تو سرشار نہیں ہو سکتی ایک پیغام کہ بھجوانے میں اتنے وقفے کیا یہی بات لگاتار نہیں ہو سکتی
मुझ से थोड़ा सा भी बेज़ार नहीं हो सकती ज़िंदगी मेरी तरफ़-दार नहीं हो सकती कब तलक और चमकना है सितारों को वहाँ क्या यहाँ पर कभी बौछार नहीं हो सकती दीन को ग़ैब की ज़ंजीर से जकड़े रहना क्यूँकि दुनिया तो गिरफ़्तार नहीं हो सकती नए सय्यारों के मिलने पे ख़ुशी होती है ये ज़मीं तो मिरा घर-बार नहीं हो सकती जंग दरपेश इक ऐसी है मुझे जिस के लिए उम्मत-ए-मुस्लिमा तय्यार नहीं हो सकती ऐसी बारिश से मिरा जिस्म बहल सकता है पर मिरी रूह तो सरशार नहीं हो सकती एक पैग़ाम कि भिजवाने में इतने वक़्फ़े क्या यही बात लगातार नहीं हो सकती

More by Amaan Abbas
View all →"hai kufr ki aaghosh mein imaan hamaaraa duniyaa ne bahut kar diyaa nuqsaan hamaaraa kis tarah sulajh paaegaa bohraan hamaaraa kul tiis sipaaron kaa hai quraan hamaaraa sayyaad unhein qaid ke aadaab sikhaa de baazaar na ho jaae ye zindaan hamaaraa 'ghaalib' ki hui jis se bahut der laDaai yaan dost huaa hai vahi rizvaan hamaaraa kyaa farq paDegaa jo nikal aayaa bhi logo duniyaa se pare koi nigahbaan hamaaraa sharh na sahi dil ki tilaavat hi kare koi juzdaan mein taDpe hai ye quraan hamaaraa"
"vo juz kahaani kaa ham tak pahunch na paayaa hi ho khudaa ne pahle bhi aadam se kuchh banaayaa hi ho utar na paayaa ho vo jism-o-ruh mein ik saath talaash karne vo haalaanki mujh ko aayaa hi ho lihaaz-e-jism rakhe ruuh kis liye aakhir ki jism jis ne faqat ruuh ko sataayaa hi ho badal gae hon mafaahim aansuon ki mire kisi se us ne miraa tarjuma karaayaa hi ho piTaaraa khol gunaahon kaa apne dekh zaraa ki dil kisi kaa kabhi kyaa pataa dukhaayaa hi ho ye koi aur ho tujh saa tire badan jaisaa ye tu na ho ke tiraa jism-daar saaya hi ho main so rahaa huun ki apnaa koi suraagh mile vo khvaab mein mujhe shaayad jagaane aayaa hi ho 'amaan' shor thaa tum ne sunaa nahin hogaa jab aa rahe ho kisi ne tumhein bulaayaa hi ho"
"ruh-o-badan ki naa-hamvaari baDhti jaati hai duniyaa mein aa kar dushvaari baDhti jaati hai vaqt se sirf itnaa hi hotaa hai ki vaqt ke saath nasl-e-aadam ki makkaari baDhti jaati hai jhagDaa kam nahin hotaa hai kufr-o-islaam ke beach allaah aur iblis ki yaari baDhti jaati hai jitnaa ziyaada baDhtaa hai baahar taamiri kaam indar utni hi mismaari baDhti jaati hai khatm huaa jaataa hai dakhl-e-dil sab kaamon se aur duniyaa ki hisse-daari baDhti jaati hai bandar se insaan bane the ab insaan se kyaa rozaana ye fikr hamaari baDhti jaati hai aadmi hote jaate hain sab paagal-pan kaa shikaar aur mashinon ki hushyaari baDhti jaati hai"
"isi liye to nahin kaTti raat aadmi ki khudaa ki zaat se mushkil hai zaat aadmi ki nae khayaal ki baaqi kahin jagah na rahe vasia itni na ho kaaenaat aadmi ki khudaa kaa bhi koi shaayad suraagh mil jaae samajh li jaae agar nafsiyaat aadmi ki khudaa ne beach mein aisaa fasaad barpaa kiyaa adhuri rah gai duniyaa se baat aadmi ki alamiya sirf yahi hai yahi rahegaa bhi khudaa kaa diin magar diniyaat aadmi ki khudaa khud aisi jagah jaan-bujh kar gayaa hai pahunch sake na jahaan koi baat aadmi ki ham aur kuchh bhi rahein hain puraane vaqton mein ugal rahi hai zamin baaqiyaat aadmi ki"
"lafzon ki vasile se bayaan hone se pahle aasaan thaa ye kaam giraan hone se pahle takhliq ne chhinaa hai miraa husn bhi mujh se ik raaz thaa main mere ayaan hone se pahle kis tarah ki binaai thi in aankhon mein jaane kuchh bhi na dikhaa jin ko dhuaan hone se pahle sochaa to bahut par koi maani nahin nikle kyaa meri nahin thi miri haan hone se pahle ye ishq to ab aa ke miri jaan huaa hai naasur-e-jigar thaa rag-e-jaan hone se pahle ham jaise namaazi tumhein DhunDe na mileinge paDhte hon namaazein jo azaan hone se pahle hain saare fasaadaat zabaanon kaa natija khaamosh thaa insaan zabaan hone se pahle main sochtaa rahtaa huun ba-har-haal ki kyaa thaa aankhon mein tiri meraa jahaan hone se pahle"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"