"koi moajiza huaa hai miri be-khudi se aage teraa gham nikal gayaa hai miri har khushi se aage miri pyaas kaa taraana yuun samajh na aa sakegaa mujhe aaj sun ke dekho miri khaamoshi se aage main huun saans saans tanhaa main huun zarra zarra ghaayal mujhe paas aa ke dekho miri dilkashi se aage vahin kal bhi phir mileinge jahaan aaj mil rahe hain teri raushni ke pichhe miri tirgi se aage isi Dar se paDh na paai main tiraa payaam jaanaan kahin dil ko chhu na jaae miri bebasi se aage"
mukhtalif hain miri bahaar ke rang — Neena Sahar
"mukhtalif hain miri bahaar ke rang kuchh mire apne kuchh udhaar ke rang aaj yaksar bahaar le aai mere dil ki gali mein pyaar ke rang teri aankhon se milte-julte hain meri aankhon ke aabshaar ke rang dil ki chaukhaT sajaae baiThe hain aaj bhi tere intizaar ke rang raat mil kar gale bahut roe teri yaadon se mere pyaar ke rang vaqt ki dhuup kaa qusur nahin the hi kachche vo e'tibaar ke rang thak gae par mahak na laa paae kaaghzi phuul par bahaar ke rang dhuup rukh par paDi havas ki 'sahar' uD gae ishq ke khumaar ke rang"
مختلف ہیں مری بہار کے رنگ کچھ مرے اپنے کچھ ادھار کے رنگ آج یکسر بہار لے آئی میرے دل کی گلی میں پیار کے رنگ تیری آنکھوں سے ملتے جلتے ہیں میری آنکھوں کے آبشار کے رنگ دل کی چوکھٹ سجائے بیٹھے ہیں آج بھی تیرے انتظار کے رنگ رات مل کر گلے بہت روئے تیری یادوں سے میرے پیار کے رنگ وقت کی دھوپ کا قصور نہیں تھے ہی کچے وہ اعتبار کے رنگ تھک گئے پر مہک نہ لا پائے کاغذی پھول پر بہار کے رنگ دھوپ رخ پر پڑی ہوس کی سحرؔ اڑ گئے عشق کے خمار کے رنگ
मुख़्तलिफ़ हैं मिरी बहार के रंग कुछ मिरे अपने कुछ उधार के रंग आज यकसर बहार ले आई मेरे दिल की गली में प्यार के रंग तेरी आँखों से मिलते-जुलते हैं मेरी आँखों के आबशार के रंग दिल की चौखट सजाए बैठे हैं आज भी तेरे इंतिज़ार के रंग रात मिल कर गले बहुत रोए तेरी यादों से मेरे प्यार के रंग वक़्त की धूप का क़ुसूर नहीं थे ही कच्चे वो ए'तिबार के रंग थक गए पर महक न ला पाए काग़ज़ी फूल पर बहार के रंग धूप रुख़ पर पड़ी हवस की 'सहर' उड़ गए इश्क़ के ख़ुमार के रंग

More by Neena Sahar
View all →"jaane ab kho gayaa kidhar paani thaa kabhi aankh kaa guhar paani maaro patthar bhi to nahin hiltaa jam chukaa hai ab is qadar paani aane vaale hain kuchh hasin manzar tu abhi aankh mein na bhar paani tab ghazal ki gali pahunchtaa hai aankh se bah ke raat bhar paani na sameTaa gayaa na kaam aayaa main bhi huun jaise ret par paani meri hasti 'sahar' hai bas itni jaise sahraa mein buund bhar paani"
"nain to baar baar bhar jaaein kaise naghme bahaar ke gaaein teraa ehsaas kho gayaa ham se ab tujhe DhunDne kahaan jaaein haath apne lahuluhaan hue ranjishein aur kitni sahlaaein reshmi taar se bandhi thiin magar TuTti hi nahin hain aashaaein aap ke khuun kaa rang dekh liyaa ab adaa-kaariyaan na dikhlaaein ham mohabbat ke ho liye saahab aap apni dukaan par jaaein"
"kyaa karishma thaa khudaayaa der tak khud ko kho kar khud ko paayaa der tak chhu ke lauTaa jab tujhe meraa khayaal hosh mein vaapas na aayaa der tak kal koi jhonkaa havaa kaa chhu gayaa aur phir tu yaad aayaa der tak ham tiri aaghosh mein the raat bhar ''maah-e-kaamil muskuraayaa der tak'' kal tire ehsaas ki baarish tale meraa sunaa-pan nahaayaa der tak sun ke bhigi raat ki sargoshiyaan ik kunvaaraa-pan lajaayaa der tak"
"kaise hoti hai shab ki sahar dekhte kaash ham bhi kabhi jaag kar dekhte khvaab kaise utartaa hai ehsaas mein tere shaane pe rakh ke ye sar dekhte ek ummid thi muntazir umr bhar kaash tum bhi kabhi lauT kar dekhte barf ki jhini chaadar tale jhiil thi chhu ke mujh ko kabhi tum agar dekhte ungliyaan un ki letin na sannyaas to meri zulfon se bhi khel kar dekhte ek parvaaz mein gir na jaate agar tere man kaa gagan mere par dekhte band kamron ne kholi nahin saanklein varna sajde mein baiThi 'sahar' dekhte"
"ghar se nikle the aarzu kar ke aaj dil laaein ge rafu kar ke saare khaane mahak uThe dil ke tujh ko paane ki justuju kar ke tujh ko maangaa tamaam shab ham ne ishq se jaan-o-tan vuzu kar ke aaj ik baar khud ko phir dekho meraa ehsaas chaar su kar ke zakhm dikhte nahin magar us ne rakh diyaa dil lahu lahu kar ke"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"