"firaaq-e-dost ke qaabil nahin hai vo dil jo khugar-e-mushkil nahin hai koi ye naa-khudaaon ko bataa de mohabbat mauj hai saahil nahin hai garebaan chaak hai apnaa na daaman abhi shaayad junun kaamil nahin hai hai manzil aur bhi manzil se aage ye manzil aakhiri manzil nahin hai bhalaa vo zindagi kyaa hai ki jis mein tiraa lutf-o-karam shaamil nahin hai khirad uljhi hui hai pech-o-kham mein junun shaaista-e-mahfil nahin hai mujhe Dar ham-navaaon se hai 'faaruq' mujhe andesha-e-baatil nahin hai"
na vo mai-farosh hote na main baada-khvaar hotaa — Bashir Farooq
"na vo mai-farosh hote na main baada-khvaar hotaa na vo mast-e-naaz hote na mujhe khumaar hotaa mujhe taa-hayaat rahtaa tiraa intizaar paiham agar apni zindagi par koi e'tibaar hotaa gham-e-intizaar kyaa hai ye rumuz tujh pe khulte tujhe bhi kisi kaa zaalim agar intizaar hotaa unhein is qadar na hotaa ye ghurur-e-be-niyaazi mujhe apne jazb-e-dil par agar ikhtiyaar hotaa mire shauq-e-be-karaan ki koi intihaa na hoti mire halqa-e-junun kaa na kahin hisaar hotaa inhin hasraton mein guzre miri zindagi ke lamhe koi dil-navaaz hotaa koi gham-gusaar hotaa yahi aarzu hai yaa-rab mire jazba-e-darun ki miri zaat par madaar-e-gham-e-rozgaar hotaa koi jalva-rez hotaa miri bazm-e-aarzu mein mire dil ki anjuman mein koi naghma-baar hotaa"
نہ وہ مے فروش ہوتے نہ میں بادہ خوار ہوتا نہ وہ مست ناز ہوتے نہ مجھے خمار ہوتا مجھے تا حیات رہتا ترا انتظار پیہم اگر اپنی زندگی پر کوئی اعتبار ہوتا غم انتظار کیا ہے یہ رموز تجھ پہ کھلتے تجھے بھی کسی کا ظالم اگر انتظار ہوتا انہیں اس قدر نہ ہوتا یہ غرور بے نیازی مجھے اپنے جذب دل پر اگر اختیار ہوتا مرے شوق بیکراں کی کوئی انتہا نہ ہوتی مرے حلقہ جنوں کا نہ کہیں حصار ہوتا انہیں حسرتوں میں گزرے مری زندگی کے لمحے کوئی دل نواز ہوتا کوئی غم گسار ہوتا یہی آرزو ہے یارب مرے جذبۂ دروں کی مری ذات پر مدار غم روزگار ہوتا کوئی جلوہ ریز ہوتا مری بزم آرزو میں مرے دل کی انجمن میں کوئی نغمہ بار ہوتا
न वो मय-फ़रोश होते न मैं बादा-ख़्वार होता न वो मस्त-ए-नाज़ होते न मुझे ख़ुमार होता मुझे ता-हयात रहता तिरा इंतिज़ार पैहम अगर अपनी ज़िंदगी पर कोई ए'तिबार होता ग़म-ए-इंतिज़ार क्या है ये रुमूज़ तुझ पे खुलते तुझे भी किसी का ज़ालिम अगर इंतिज़ार होता उन्हें इस क़दर न होता ये ग़ुरूर-ए-बे-नियाज़ी मुझे अपने जज़्ब-ए-दिल पर अगर इख़्तियार होता मिरे शौक़-ए-बेकराँ की कोई इंतिहा न होती मिरे हल्क़ा-ए-जुनूँ का न कहीं हिसार होता इन्हीं हसरतों में गुज़रे मिरी ज़िंदगी के लम्हे कोई दिल-नवाज़ होता कोई ग़म-गुसार होता यही आरज़ू है या-रब मिरे जज़्बा-ए-दरूँ की मिरी ज़ात पर मदार-ए-ग़म-ए-रोज़गार होता कोई जल्वा-रेज़ होता मिरी बज़्म-ए-आरज़ू में मिरे दिल की अंजुमन में कोई नग़्मा-बार होता

More by Bashir Farooq
View all →"zabaan majbur hai lab par fughaan hai saraapaa dard meri daastaan hai nigaah-e-yaar bhi hai bad-gumaan si ghurur-e-husn bhi daaman-kashaan hai firaaq-e-dost kaa kyaa zikr aakhir visaal-e-yaar bhi dil par garaan hai yahaan par baat karnaa hai qayaamat vahaan fariyaad ki jurat kahaan hai miraa gham hai miraa sarmaaya-e-zist miraa har ashk meraa tarjumaan hai khumaar-aalud nazron mein hai jo kaif vo saaqi tere saaghar mein kahaan hai agar mai husn hai to ishq 'faaruq' khumaar-e-baada-e-shola-fishaan hai"
"takhliq-e-kaaenaat digar kar sake to kar paidaa khud apne shaam-o-sahar kar sake to kar phulon mein shab guzaarnaa mushkil nahin koi kaanTon pe koi raat basar kar sake to kar achchhaa nahin kisi ki tamannaa se khelnaa achchhaa yahi hai is se hazar kar sake to kar har ashk-e-khun hai makhzan-e-sarmaaya-e-hayaat har ashk-e-khun ko laal-o-gohar kar sake to kar taare maraahil-e-safar-e-shauq hi sahi taaron ko bhi sharik-e-safar kar sake to kar aql-o-khirad ke marhale tai kar liye to kyaa vahm-o-gumaan ke maarke sar kar sake to kar 'faaruq' ye bahaar-e-chaman phir na aaegi yaaraan-e-mai-kada ko khabar kar sake to kar"
"vo sitam-parvar ba-chashm ashk-baar aa hi gayaa chaak-daamaani pe meri us ko pyaar aa hi gayaa miTte miTte miT gai jaan-e-vafaa ki aarzu aate aate be-qaraari ko qaraar aa hi gayaa chupke chupke mujh pe meri khaamushi hansti rahi rote rote jazb-e-dil par ikhtiyaar aa hi gayaa koi vaada jis kaa maani-aashnaa hotaa nahin phir usi vaada-shikan par e'tibaar aa hi gayaa yaa ilaahi jazba-e-hosh-o-khirad ki khair ho muntazir jis kaa junun thaa vo dayaar aa hi gayaa"
"gham-e-bahaar mein raah-e-khizaan se guzre hain dilon ke qaafile har imtihaan se guzre hain junun ki raushni le kar nigaahbaan-e-hayaat hudud-e-zulmat-e-vahm-o-gumaan se guzre hain charaagh ban ke jale hain rah-e-tamannaa mein bahaar ban ke tire gulsitaan se guzre hain vahaan nigaah-e-talaatum pahunch nahin sakti sitam-kashon ke safine jahaan se guzre hain musaafiraan-e-haram ko khabar nahin ab tak balaa-kashaan-e-mohabbat kahaan se guzre hain tiri talaash mein dair-o-haram kaa zikr hi kyaa tiri talaash mein har aastaan se guzre hain hamein to un ke sitam bhi garaan nahin 'faaruq' mizaaj-e-naaz pe shikve garaan se guzre hain"
"dil kaa maqsum thaa mahv-e-gham-e-jaanaan honaa usi aaine se sikhe koi hairaan honaa apni hi anjuman-e-shauq mein ho naghma-saraa tang hai ghair ki mahfil mein ghazal-khvaan honaa zindagi kyaa hai tiri yaad tiraa zikr-e-jamil bandagi kyaa hai tire naam pe qurbaan honaa dil ye kahtaa hai pashemaan-e-mohabbat ho jaa dard kahtaa hai na minnat-kash-e-darmaan honaa un se itnaa na huaa pursish-e-gham hi karte ham se dekhaa na gayaa jin kaa pareshaan honaa mujh ko khush aa na sakaa ghairat-e-dini se faraar un ko raas aa gayaa ghaarat-gar-e-imaan honaa aashiqi zabt hai aur zabt hai raanaai-e-zist ishq ki shaan nahin chaak-garebaan honaa mujh ko un shokh nigaahon ne banaayaa kaafir jin ko manzur na thaa meraa musalmaan honaa haae us ashk-e-jigar-soz ki qismat 'faaruq' jis ki qismat na ho palkon pe farozaan honaa"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"