SHAWORDS

nadi pahaaD samundar chaTaan kuchh bhi nahin — Deedar Bastawi

HomeDeedar BastawiGhazal
"nadi pahaaD samundar chaTaan kuchh bhi nahin javaan ho azm to phir aasmaan kuchh bhi nahin ravish ghalat hai to raahon mein aDchanein hain bahut iraade nek hon to imtihaan kuchh bhi nahin vo apni shoala-bayaani se qatl kartaa hai agarche haath mein tir-o-kamaan kuchh bhi nahin hain mulk-o-qaum ke eazaaz sab tumhaare liye mire buzurgon ke shaayaan-e-shaan kuchh bhi nahin na ab to maan hai na hi maan ki yaad hai ghar mein sarautaa laung Dali paan-daan kuchh bhi nahin mire liye to ye baDh kar hai jaan se meri tire liye to miraa khaandaan kuchh bhi nahin ye beTiyon ki duaaon kaa nek-samra hai kaTi hai umr badan mein thakaan kuchh bhi nahin miri kahaaniyaan phaili hui hain chaaron taraf mire baghair tiri daastaan kuchh bhi nahin vatan ke naam hai 'didaar' zindagi apni vatan ke saamne ye jism-o-jaan kuchh bhi nahin"
Urdu

ندی پہاڑ سمندر چٹان کچھ بھی نہیں جواں ہو عزم تو پھر آسمان کچھ بھی نہیں روش غلط ہے تو راہوں میں اڑچنیں ہیں بہت ارادے نیک ہوں تو امتحان کچھ بھی نہیں وہ اپنی شعلہ بیانی سے قتل کرتا ہے اگرچہ ہاتھ میں تیر و کمان کچھ بھی نہیں ہیں ملک و قوم کے اعزاز سب تمہارے لئے مرے بزرگوں کے شایان شان کچھ بھی نہیں نہ اب تو ماں ہے نہ ہی ماں کی یاد ہے گھر میں سروتا لونگ ڈلی پاندان کچھ بھی نہیں مرے لئے تو یہ بڑھ کر ہے جان سے میری ترے لئے تو مرا خاندان کچھ بھی نہیں یہ بیٹیوں کی دعاؤں کا نیک ثمرہ ہے کٹی ہے عمر بدن میں تھکان کچھ بھی نہیں مری کہانیاں پھیلی ہوئی ہیں چاروں طرف مرے بغیر تری داستان کچھ بھی نہیں وطن کے نام ہے دیدارؔ زندگی اپنی وطن کے سامنے یہ جسم و جان کچھ بھی نہیں

Hindi

नदी पहाड़ समुंदर चटान कुछ भी नहीं जवाँ हो अज़्म तो फिर आसमान कुछ भी नहीं रविश ग़लत है तो राहों में अड़चनें हैं बहुत इरादे नेक हों तो इम्तिहान कुछ भी नहीं वो अपनी शो'ला-बयानी से क़त्ल करता है अगरचे हाथ में तीर-ओ-कमान कुछ भी नहीं हैं मुल्क-ओ-क़ौम के ए'ज़ाज़ सब तुम्हारे लिए मिरे बुज़ुर्गों के शायान-ए-शान कुछ भी नहीं न अब तो माँ है न ही माँ की याद है घर में सरौता लौंग डली पानदान कुछ भी नहीं मिरे लिए तो ये बढ़ कर है जान से मेरी तिरे लिए तो मिरा ख़ानदान कुछ भी नहीं ये बेटियों की दुआओं का नेक-समरा है कटी है उम्र बदन में थकान कुछ भी नहीं मिरी कहानियाँ फैली हुई हैं चारों तरफ़ मिरे बग़ैर तिरी दास्तान कुछ भी नहीं वतन के नाम है 'दीदार' ज़िंदगी अपनी वतन के सामने ये जिस्म-ओ-जान कुछ भी नहीं

nadī pahāḌ samundar chaTān kuchh bhī nahīñ
Deedar Bastawi
Deedar Bastawi
Deedar Bastawi
poet8 quotes

More by Deedar Bastawi

View all →
Quote
"rang-birangi yaadon kaa gul-daan bachaa hai le de kar mere jiine kaa bas ik saamaan bachaa hai le de kar khaane piine ki sab chizein mahngaai ki nazr huiin mehmaanon ke aage dastarkhvaan bachaa hai le de kar raddi kaaghaz ki qimat mein bachche us ko bech na dein ghar mein jo 'ghaalib' kaa ik divaan bachaa hai le de kar baap ki saari jaagirein to baanT liin mil kar beTon ne maan ke hisse mein ghar kaa daalaan bachaa hai le de kar daulat aurat aur shohrat ki divaani is duniyaa mein mushkil se kuchh logon kaa imaan bachaa hai le de kar kyaa jaane barsaat kaTegi kaise mere bachchon ki ghar ki Dheri mein thoDaa saa dhaan bachaa hai le de kar chal kar ab 'didaar' vahin par ghar apnaa aabaad karo gaanv mein jo purkhon kaa ik khaliyaan bachaa le de kar"
Deedar BastawiDeedar Bastawi
Quote
"miTTi se jo juDe the vo jazbaat le liye hijrat ne khet aur mire baaghaat le liye paDh kar darud ghar se safar ko main chal paDaa naam-e-nabi ne raah ke khadshaat le liye main ik hunar ke shahr kaa farzand-e-khaas thaa ghurbat ne mere saare kamaalaat le liye sharm-o-hayaa gharon se miTaane ke saath saath T v ne masjidon ke bhi auqaat le liye daulat ki main havas mein havaa par savaar thaa shohrat ne mere arz-o-samaavaat le liye qaumon ko baa-shuur banaane ke saath hi taalim ne qadim rusumaat le liye phir doston ki saf mein koi zalzala na ho ghibat-kadon ne mere bayaanaat le liye 'didaar' chaar misron pe thaa iktifaa miraa ghazlon ke shauq ne mire qat'aat le liye"
Deedar BastawiDeedar Bastawi
Quote
"hamaare zakhm kaa bharnaa bahut zaruri hai ab eqtidaar mein hissa bahut zaruri hai lahu hamaaraa bahut bah chukaa hai dharti par ab inqalaab kaa aanaa bahut zaruri hai badan pe khuub hai parde kaa ehtimaam magar nazar mein sharm kaa parda bahut zaruri hai bahut ziyaada khushi bhi maza nahin deti dilon se dard kaa rishta bahut zaruri hai jo chaahte ho mohabbat mein pukhtagi aae kisi se mil ke bichhaDnaa bahut zaruri hai mire baghair tiraa zikr naa-mukammal hai diye ki lau pe patangaa bahut zaruri hai jalaa rahaa hai gharon ko jo be-sabab 'didaar' ab us charaagh kaa bujhnaa bahut zaruri hai"
Deedar BastawiDeedar Bastawi
Quote
"shaanon pe na zulfein bikhraao dekho ye sharaarat Thiik nahin is roz qayaamat se pahle ik aur qayaamat Thiik nahin rukh se na haTaao parde ko ye chaand chhupaa hi rahne do jal jaae na saaraa husn kahin suraj ki tamaazat Thiik nahin ai husn ki malika hosh mein aa ye pyaar vafaa sab rahne de ham khaana-ba-doshon ki khaatir mahlon se baghaavat Thiik nahin ho jaaein na TukDe TukDe sab aankhon ke sunahre khvaab tire patthar ki haveli ke aage shishe ki imaarat Thiik nahin ab maan bhi jaa ai dil mere us phuul ki khvaahish chhoD bhi de jo phuul chaman ki zinat ho us phuul ki hasrat Thiik nahin jab jalte patangon ko dekhaa 'didaar' to ye maalum huaa aaghaaz-e-mohabbat Thiik to hai anjaam-e-mohabbat Thiik nahin"
Deedar BastawiDeedar Bastawi
Quote
"ab shikaayat kyaa karein guzre hue tufaan se raushni aane lagi hai phir se raushan-daan se khvaahishon ki arthiyaan ab to uTheingi shaan se dil lagaa baiThi hai meri muflisi dhanvaan se chhu gayaa jo bhuul se un ke dupaTTe kaa siraa khushbuein aane lagin sukhe hue gul-daan se zehn par duniyaa ki laalach phir se haavi ho gai de ke miTTi main abhi lauTaa thaa qabristaan se gar vafaadaari ki khvaahish hai to kutte paal le mat vafaa ki aas rakh is daur ke insaan se shart ye hai kuchh zamin bone ki khaatir to mile jiit lungaa main jahaan ko ek muTThi dhaan se chheDti hai yaad teri jab mujhe pichhle pahar rone lagtaa huun main lag ke 'mir' ke divaan se jin ko ho jaam-e-shahaadat ki talab 'didaar' phir vo nahin aate palaT kar jang ke maidaan se"
Deedar BastawiDeedar Bastawi

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi